18
Kurinthus Meṅ
1 Is ke bād Paulus Athene ko chhoṛ kar Kurinthus Shahr āyā.
2 Wahāṅ us kī mulāqāt ek Yahūdī se huī jis kā nām Akwilā thā. Wuh Puntus kā rahne wālā thā aur thoṛī der pahle apnī bīwī Priskillā samet Iṭalī se āyā thā. Wajah yih thī ki shahanshāh Klaudiyus ne hukm sādir kiyā thā ki tamām Yahūdī Rom ko chhoṛ kar chale jāeṅ. Un logoṅ ke pās Paulus gayā
3 aur chūṅki un kā peshā bhī ḳhaime silāī karnā thā is lie wuh un ke ghar ṭhahar kar rozī kamāne lagā.
4 Sāth sāth us ne har Sabat ko Yahūdī ibādatḳhāne meṅ tālīm de kar Yahūdiyoṅ aur Yūnāniyoṅ ko qāyl karne kī koshish kī.
5 Jab Sīlās aur Tīmuthiyus Makiduniyā se āe to Paulus apnā pūrā waqt kalām sunāne meṅ sarf karne lagā. Us ne Yahūdiyoṅ ko gawāhī dī ki Īsā kalām-e-muqaddas meṅ bayān kiyā gayā Masīh hai.
6 Lekin jab wuh us kī muḳhālafat karke us kī tazlīl karne lage to us ne ehtijāj meṅ apne kapṛoṅ se gard jhāṛ kar kahā, “Āp ḳhud apnī halākat ke zimmedār haiṅ, maiṅ bequsūr hūṅ. Ab se maiṅ Ġhairyahūdiyoṅ ke pās jāyā karūṅga.”
7 Phir wuh wahāṅ se nikal kar ibādatḳhāne ke sāth wāle ghar meṅ gayā. Wahāṅ Titus Yūstus rahtā thā jo Yahūdī nahīṅ thā, lekin Ḳhudā kā ḳhauf māntā thā.
8 Aur Krispus jo ibādatḳhāne kā rāhnumā thā apne gharāne samet Ḳhudāwand par īmān lāyā. Kurinthus ke bahut sāre aur logoṅ ne bhī jab Paulus kī bāteṅ sunīṅ to īmān lāe aur baptismā liyā.
9 Ek rāt Ḳhudāwand royā meṅ Paulus se hamkalām huā, “Mat ḍar! Kalām kartā jā aur ḳhāmosh na ho,
10 kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ. Koī hamlā karke tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchāegā, kyoṅki is shahr meṅ mere bahut-se log haiṅ.”
11 Phir Paulus mazīd ḍeṛh sāl wahāṅ ṭhahar kar logoṅ ko Allāh kā kalām sikhātā rahā.
12 Un dinoṅ meṅ jab Galliyo sūbā Aḳhayā kā gawarnar thā to Yahūdī muttahid ho kar Paulus ke ḳhilāf jamā hue aur use adālat meṅ Galliyo ke sāmne lāe.
13 Unhoṅ ne kahā, “Yih ādmī logoṅ ko aise tarīqe se Allāh kī ibādat karne par uksā rahā hai jo hamārī sharīat ke ḳhilāf hai.”
14 Paulus jawāb meṅ kuchh kahne ko thā ki Galliyo ḳhud Yahūdiyoṅ se muḳhātib huā, “Suneṅ, Yahūdī mardo! Agar āp kā ilzām koī nāinsāfī yā sangīn jurm hotā to āp kī bāt qābil-e-bardāsht hotī.
15 Lekin āp kā jhagaṛā mazhabī tālīm, nāmoṅ aur āp kī Yahūdī sharīat se tālluq rakhtā hai, is lie use ḳhud hal kareṅ. Maiṅ is muāmale meṅ faislā karne ke lie taiyār nahīṅ hūṅ.”
16 Yih kah kar us ne unheṅ adālat se bhagā diyā.
17 Is par hujūm ne Yahūdī ibādatḳhāne ke rāhnumā Sosthines ko pakaṛ kar adālat ke sāmne us kī piṭāī kī. Lekin Galliyo ne parwā na kī.
Antākiyā tak Wāpasī kā Safr
18 Is ke bād bhī Paulus bahut din Kurinthus meṅ rahā. Phir bhāiyoṅ ko ḳhairbād kah kar wuh qarīb ke shahr Kinḳhriyā gayā jahāṅ us ne kisī mannat ke pūre hone par apne sar ke bāl munḍwā die. Is ke bād wuh Priskillā aur Akwilā ke sāth jahāz par sawār ho kar Mulk-e-Shām ke lie rawānā huā.
19 Pahle wuh Ifisus pahuṅche jahāṅ Paulus ne Priskillā aur Akwilā ko chhoṛ diyā. Wahāṅ bhī us ne Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar Yahūdiyoṅ se bahs kī.
20 Unhoṅ ne us se darḳhāst kī ki mazīd waqt un ke sāth guzāre, lekin us ne inkār kiyā
21 aur unheṅ ḳhairbād kah kar kahā, “Agar Allāh kī marzī ho to maiṅ āp ke pās wāpas āūṅgā.” Phir wuh jahāz par sawār ho kar Ifisus se rawānā huā.
22 Safr karte karte wuh Qaisariyā pahuṅch gayā, jahāṅ se wuh Yarūshalam jā kar maqāmī jamāt se milā. Is ke bād wuh Antākiyā wāpas chalā gayā
23 jahāṅ wuh kuchh der ṭhahrā. Phir āge nikal kar wuh Galatiyā aur Farūgiyā ke ilāqe meṅ se guzarte hue wahāṅ ke tamām īmāndāroṅ ko mazbūt kartā gayā.
Apullos Ifisus aur Kurinthus Meṅ
24 Itne meṅ ek fasīh Yahūdī jise kalām-e-muqaddas kā zabardast ilm thā Ifisus pahuṅch gayā thā. Us kā nām Apullos thā. Wuh Misr ke shahr Iskandariyā kā rahne wālā thā.
25 Use Ḳhudāwand kī rāh ke bāre meṅ tālīm dī gaī thī aur wuh baṛī sargarmī se logoṅ ko Īsā ke bāre meṅ sikhātā rahā. Us kī yih tālīm sahīh thī agarche wuh abhī tak sirf Yahyā kā baptismā jāntā thā.
26 Ifisus ke Yahūdī ibādatḳhāne meṅ wuh baṛī dilerī se kalām karne lagā. Yih sun kar Priskillā aur Akwilā ne use ek taraf le jā kar us ke sāmne Allāh kī rāh ko mazīd tafsīl se bayān kiyā.
27 Apullos sūbā Aḳhayā jāne kā ḳhayāl rakhtā thā to Ifisus ke bhāiyoṅ ne us kī hauslā-afzāī kī. Unhoṅ ne wahāṅ ke shāgirdoṅ ko ḳhat likhā ki wuh us kā istiqbāl kareṅ. Jab wuh wahāṅ pahuṅchā to un ke lie baṛī madad kā bāis banā jo Allāh ke fazl se īmān lāe the,
28 kyoṅki wuh alāniyā mubāhasoṅ meṅ zabardast dalāyl se Yahūdiyoṅ par ġhālib āyā aur kalām-e-muqaddas se sābit kiyā ki Īsā Masīh hai.