22
1 “Bhāiyo aur buzurgo, merī bāt suneṅ ki maiṅ apne difā meṅ kuchh batāūṅ.”
2 Jab unhoṅ ne sunā ki wuh Arāmī zabān meṅ bol rahā hai to wuh mazīd ḳhāmosh ho gae. Paulus ne apnī bāt jārī rakhī.
3 “Maiṅ Yahūdī hūṅ aur Kilikiyā ke shahr Tarsus meṅ paidā huā. Lekin maiṅ ne isī shahr Yarūshalam meṅ parwarish pāī aur Jamliyel ke zer-e-nigarānī tālīm hāsil kī. Unhoṅ ne mujhe tafsīl aur ehtiyāt se hamāre bāpdādā kī sharīat sikhāī. Us waqt maiṅ bhī āp kī tarah Allāh ke lie sargarm thā.
4 Is lie maiṅ ne is naī rāh ke pairokāroṅ kā pīchhā kiyā aur mardoṅ aur ḳhawātīn ko giriftār karke jel meṅ ḍalwā diyā yahāṅ tak ki marwā bhī diyā.
5 Imām-e-āzam aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke membarān is bāt kī tasdīq kar sakte haiṅ. Unhīṅ se mujhe Damishq meṅ rahne wāle Yahūdī bhāiyoṅ ke lie sifārishī ḳhat mil gae tāki maiṅ wahāṅ bhī jā kar is nae firqe ke logoṅ ko giriftār karke sazā dene ke lie Yarūshalam lāūṅ.
Paulus kī Tabdīlī kā Bayān
6 Maiṅ is maqsad ke lie Damishq ke qarīb pahuṅch gayā thā ki achānak āsmān kī taraf se ek tez raushnī mere gird chamkī.
7 Maiṅ zamīn par gir paṛā to ek āwāz sunāī dī, ‘Sāūl, Sāūl, tū mujhe kyoṅ satātā hai?’
8 Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, āp kaun haiṅ?’ Āwāz ne jawāb diyā, ‘Maiṅ Īsā Nāsarī hūṅ jise tū satātā hai.’
9 Mere hamsafroṅ ne raushnī ko to dekhā, lekin mujh se muḳhātib hone wāle kī āwāz na sunī.
10 Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, maiṅ kyā karūṅ?’ Ḳhudāwand ne jawāb diyā, ‘Uṭh kar Damishq meṅ jā. Wahāṅ tujhe wuh sārā kām batāyā jāegā jo Allāh tere zimme lagāne kā irādā rakhtā hai.’
11 Raushnī kī tezī ne mujhe andhā kar diyā thā, is lie mere sāthī merā hāth pakaṛ kar mujhe Damishq le gae.
12 Wahāṅ ek ādmī rahtā thā jis kā nām Hananiyāh thā. Wuh sharīat kā kaṭar pairokār thā aur wahāṅ ke rahne wāle Yahūdiyoṅ meṅ neknām.
13 Wuh āyā aur mere pās khaṛe ho kar kahā, ‘Sāūl bhāī, dubārā bīnā ho jāeṅ!’ Usī lamhe maiṅ use dekh sakā.
14 Phir us ne kahā, ‘Hamāre bāpdādā ke Ḳhudā ne āp ko is maqsad ke lie chun liyā hai ki āp us kī marzī jān kar us ke rāst ḳhādim ko dekheṅ aur us ke apne muṅh se us kī āwāz suneṅ.
15 Jo kuchh āp ne dekh aur sun liyā hai us kī gawāhī āp tamām logoṅ ko deṅge.
16 Chunāṅche āp kyoṅ der kar rahe haiṅ? Uṭheṅ aur us ke nām meṅ baptismā leṅ tāki āp ke gunāh dhul jāeṅ.’
Paulus kī Ġhairyahūdiyoṅ meṅ Ḳhidmat kā Bulāwā
17 Jab maiṅ Yarūshalam wāpas āyā to maiṅ ek din Baitul-muqaddas meṅ gayā. Wahāṅ duā karte karte maiṅ wajd kī hālat meṅ ā gayā
18 aur Ḳhudāwand ko dekhā. Us ne farmāyā, ‘Jaldī kar! Yarūshalam ko fauran chhoṛ de kyoṅki log mere bāre meṅ terī gawāhī ko qabūl nahīṅ kareṅge.’
19 Maiṅ ne etarāz kiyā, ‘Ai Ḳhudāwand, wuh to jānte haiṅ ki maiṅ ne jagah bajagah ibādatḳhāne meṅ jā kar tujh par īmān rakhne wāloṅ ko giriftār kiyā aur un kī piṭāī karwāī.
20 Aur us waqt bhī jab tere shahīd Stifanus ko qatl kiyā jā rahā thā maiṅ sāth khaṛā thā. Maiṅ rāzī thā aur un logoṅ ke kapṛoṅ kī nigarānī kar rahā thā jo use sangsār kar rahe the.’
21 Lekin Ḳhudāwand ne kahā, ‘Jā, kyoṅki maiṅ tujhe dūr-darāz ilāqoṅ meṅ Ġhairyahūdiyoṅ ke pās bhej dūṅgā.’ ”
22 Yahāṅ tak hujūm Paulus kī bāteṅ suntā rahā. Lekin ab wuh chillā uṭhe, “Ise haṭā do! Ise jān se mār do! Yih zindā rahne ke lāyq nahīṅ!”
23 Wuh chīḳheṅ mār mār kar apnī chādareṅ utārne aur hawā meṅ gard uṛāne lage.
24 Is par kamānḍar ne hukm diyā ki Paulus ko qile meṅ le jāyā jāe aur koṛe lagā kar us kī pūchh-gachh kī jāe. Kyoṅki wuh mālūm karnā chāhtā thā ki log kis wajah se Paulus ke ḳhilāf yoṅ chīḳheṅ mār rahe haiṅ.
25 Jab wuh use koṛe lagāne ke lie le kar jā rahe the to Paulus ne sāth khaṛe afsar se kahā, “Kyā āp ke lie jāyz hai ki ek Romī shahrī ke koṛe lagwāeṅ aur wuh bhī adālat meṅ pesh kie baġhair?”
26 Afsar ne jab yih sunā to kamānḍar ke pās jā kar use ittalā dī, “Āp kyā karne ko haiṅ? Yih ādmī to Romī shahrī hai!”
27 Kamānḍar Paulus ke pās āyā aur pūchhā, “Mujhe sahīh batāeṅ, kyā āp Romī shahrī haiṅ?”
Paulus ne jawāb diyā, “Jī hāṅ.”
28 Kamānḍar ne kahā, “Maiṅ to baṛī raqam de kar shahrī banā hūṅ.”
Paulus ne jawāb diyā, “Lekin maiṅ to paidāishī shahrī hūṅ.”
29 Yih sunte hī wuh faujī jo us kī pūchh-gachh karne ko the pīchhe haṭ gae. Kamānḍar ḳhud ghabrā gayā ki maiṅ ne ek Romī shahrī ko zanjīroṅ meṅ jakaṛ rakhā hai.
Paulus Yahūdī Adālat-e-Āliyā ke Sāmne
30 Agle din kamānḍar sāf mālūm karnā chāhtā thā ki Yahūdī Paulus par kyoṅ ilzām lagā rahe haiṅ. Is lie us ne rāhnumā imāmoṅ aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke tamām membarān kā ijlās mun'aqid karne kā hukm diyā. Phir Paulus ko āzād karke qile se nīche lāyā aur un ke sāmne khaṛā kiyā.