6
Muqaddamābāzī
Āp meṅ yih jurrat kaise paidā huī ki jab kisī kā kisī dūsre īmāndār ke sāth tanāzā ho to wuh apnā jhagaṛā bedīnoṅ ke sāmne le jātā hai na ki muqaddasoṅ ke sāmne? Kyā āp nahīṅ jānte ki muqaddasīn duniyā kī adālat kareṅge? Aur agar āp duniyā kī adālat kareṅge to kyā āp is qābil nahīṅ ki chhoṭe moṭe jhagaṛoṅ kā faislā kar sakeṅ? Kyā āp ko mālūm nahīṅ ki ham farishtoṅ kī adālat kareṅge? To phir kyā ham rozmarrā ke muāmalāt ko nahīṅ nipṭā sakte? Aur is qism ke muāmalāt ko faisal karne ke lie āp aise logoṅ ko kyoṅ muqarrar karte haiṅ jo jamāt kī nigāh meṅ koī haisiyat nahīṅ rakhte? Yih bāt maiṅ āp ko sharm dilāne ke lie kahtā hūṅ. Kyā āp meṅ ek bhī sayānā shaḳhs nahīṅ jo apne bhāiyoṅ ke mābain faislā karne ke qābil ho? Lekin nahīṅ. Bhāī apne hī bhāī par muqaddamā chalātā hai aur wuh bhī ġhairīmāndāroṅ ke sāmne.
Awwal to āp se yih ġhaltī huī ki āp ek dūsre se muqaddamābāzī karte haiṅ. Agar koī āp se nāinsāfī kar rahā ho to kyā behtar nahīṅ ki āp use aisā karne deṅ? Aur agar koī āp ko ṭhag rahā ho to kyā yih behtar nahīṅ ki āp use ṭhagne deṅ? Is ke baraks āp kā yih hāl hai ki āp ḳhud hī nāinsāfī karte aur ṭhagte haiṅ aur wuh bhī apne bhāiyoṅ ko. Kyā āp nahīṅ jānte ki nāinsāf Allāh kī bādshāhī mīrās meṅ nahīṅ pāeṅge? Fareb na khāeṅ! Harāmkār, butparast, zinākār, hamjinsparast, launḍebāz, 10 chor, lālchī, sharābī, badzabān, luṭere, yih sab Allāh kī bādshāhī mīrās meṅ nahīṅ pāeṅge. 11 Āp meṅ se kuchh aise the bhī. Lekin āp ko dhoyā gayā, āp ko muqaddas kiyā gayā, āp ko Ḳhudāwand Īsā Masīh ke nām aur hamāre Ḳhudā ke Rūh se rāstbāz banāyā gayā hai.
Jism Allāh kā Ghar Hai
12 Mere lie sab kuchh jāyz hai, lekin sab kuchh mufīd nahīṅ. Mere lie sab kuchh jāyz to hai, lekin maiṅ kisī bhī chīz ko ijāzat nahīṅ dūṅgā ki mujh par hukūmat kare. 13 Beshak ḳhurāk peṭ ke lie aur peṭ ḳhurāk ke lie hai, magar Allāh donoṅ ko nest kar degā. Lekin ham is se yih natījā nahīṅ nikāl sakte ki jism zinākārī ke lie hai. Hargiz nahīṅ! Jism Ḳhudāwand ke lie hai aur Ḳhudāwand jism ke lie. 14 Allāh ne apnī qudrat se Ḳhudāwand Īsā ko zindā kiyā aur isī tarah wuh hameṅ bhī zindā karegā.
15 Kyā āp nahīṅ jānte ki āp ke jism Masīh ke āzā haiṅ? To kyā maiṅ Masīh ke āzā ko le kar fāhishā ke āzā banāūṅ? Hargiz nahīṅ. 16 Kyā āp ko mālūm nahīṅ ki jo fāhishā se lipaṭ jātā hai wuh us ke sāth ek tan ho jātā hai? Jaise pāk nawishtoṅ meṅ likhā hai, “Wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.” 17 Is ke baraks jo Ḳhudāwand se lipaṭ jātā hai wuh us ke sāth ek rūh ho jātā hai.
18 Zinākārī se bhāgeṅ! Insān se sarzad hone wālā har gunāh us ke jism se bāhar hotā hai siwāe zinā ke. Zinākār to apne hī jism kā gunāh kartā hai. 19 Kyā āp nahīṅ jānte ki āp kā badan Rūhul-quds kā ghar hai jo āp ke andar sukūnat kartā hai aur jo āp ko Allāh kī taraf se milā hai? Āp apne mālik nahīṅ haiṅ 20 kyoṅki āp ko qīmat adā karke ḳharīdā gayā hai. Ab apne badan se Allāh ko jalāl deṅ.