10
Paulus Apnī Ḳhidmat kā Difā Kartā Hai
1 Maiṅ āp se apīl kartā hūṅ, maiṅ Paulus jis ke bāre meṅ kahā jātā hai ki maiṅ āp ke rūbarū ājiz hotā hūṅ aur sirf āp se dūr ho kar diler hotā hūṅ. Masīh kī halīmī aur narmī ke nām meṅ
2 maiṅ āp se minnat kartā hūṅ ki mujhe āp ke pās ā kar itnī dilerī se un logoṅ se nipaṭnā na paṛe jo samajhte haiṅ ki hamārā chāl-chalan duniyāwī hai. Kyoṅki filhāl aisā lagtā hai ki is kī zarūrat hogī.
3 Beshak ham insān hī haiṅ, lekin ham duniyā kī tarah jang nahīṅ laṛte.
4 Aur jo hathiyār ham is jang meṅ istemāl karte haiṅ wuh is duniyā ke nahīṅ haiṅ, balki unheṅ Allāh kī taraf se qile ḍhā dene kī quwwat hāsil hai. In se ham ġhalat ḳhayālāt ke ḍhāṅche
5 aur har ūṅchī chīz ḍhā dete haiṅ jo Allāh ke ilm-o-irfān ke ḳhilāf khaṛī ho jātī hai. Aur ham har ḳhayāl ko qaid karke Masīh ke tābe kar dete haiṅ.
6 Hāṅ, āp ke pūre taur par tābe ho jāne par ham har nāfarmānī kī sazā dene ke lie taiyār hoṅge.
7 Āp sirf zāhirī bātoṅ par ġhaur kar rahe haiṅ. Agar kisī ko is bāt kā etamād ho ki wuh Masīh kā hai to wuh is kā bhī ḳhayāl kare ki ham bhī usī kī tarah Masīh ke haiṅ.
8 Kyoṅki agar maiṅ us iḳhtiyār par mazīd faḳhr bhī karūṅ jo Ḳhudāwand ne hameṅ diyā hai to bhī maiṅ sharmindā nahīṅ hūṅgā. Ġhaur kareṅ ki us ne hameṅ āp ko ḍhā dene kā nahīṅ balki āp kī ruhānī tāmīr karne kā iḳhtiyār diyā hai.
9 Maiṅ nahīṅ chāhtā ki aisā lage jaise maiṅ āp ko apne ḳhatoṅ se ḍarāne kī koshish kar rahā hūṅ.
10 Kyoṅki bāz kahte haiṅ, “Paulus ke ḳhat zordār aur zabardast haiṅ, lekin jab wuh ḳhud hāzir hotā hai to wuh kamzor aur us ke bolne kā tarz hiqāratāmez hai.”
11 Aise log is bāt kā ḳhayāl kareṅ ki jo bāteṅ ham āp se dūr hote hue apne ḳhatoṅ meṅ pesh karte haiṅ unhīṅ bātoṅ par ham amal kareṅge jab āp ke pās āeṅge.
12 Ham to apne āp ko un meṅ shumār nahīṅ karte jo apnī tārīf karke apnī sifārish karte rahte haiṅ, na apnā un ke sāth muwāzanā karte haiṅ. Wuh kitne besamajh haiṅ jab wuh apne āp ko meyār banā kar usī par apne āp ko jāṅchte haiṅ aur apnā muwāzanā apne āp se karte haiṅ.
13 Lekin ham munāsib had se zyādā faḳhr nahīṅ kareṅge balki sirf us had tak jo Allāh ne hamāre lie muqarrar kiyā hai. Aur āp bhī is had ke andar ā jāte haiṅ.
14 Is meṅ ham munāsib had se zyādā faḳhr nahīṅ kar rahe, kyoṅki ham to Masīh kī ḳhushḳhabrī le kar āp tak pahuṅch gae haiṅ. Agar aisā na hotā to phir aur bāt hotī.
15 Ham aise kām par faḳhr nahīṅ karte jo dūsroṅ kī mehnat se saranjām diyā gayā hai. Is meṅ bhī ham munāsib haddoṅ ke andar rahte haiṅ, balki ham yih ummīd rakhte haiṅ ki āp kā īmān baṛh jāe aur yoṅ hamārī qadar-o-qīmat bhī Allāh kī muqarrarā had tak baṛh jāe. Ḳhudā kare ki āp meṅ hamārā yih kām itnā baṛh jāe
16 ki ham Allāh kī ḳhushḳhabrī āp se āge jā kar bhī sunā sakeṅ. Kyoṅki ham us kām par faḳhr nahīṅ karnā chāhte jise dūsre kar chuke haiṅ.
17 Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Faḳhr karne wālā Ḳhudāwand hī par faḳhr kare.”
18 Jab log apnī tārīf karke apnī sifārish karte haiṅ to is meṅ kyā hai! Is se wuh sahīh sābit nahīṅ hote, balki aham bāt yih hai ki Ḳhudāwand hī is kī tasdīq kare.