3
Nae Ahd ke Ḳhādim
Kyā ham dubārā apnī ḳhūbiyoṅ kā ḍhanḍorā pīṭ rahe haiṅ? Yā kyā ham bāz logoṅ kī mānind haiṅ jinheṅ āp ko sifārishī ḳhat dene yā āp se aise ḳhat likhwāne kī zarūrat hotī hai? Nahīṅ, āp to ḳhud hamārā ḳhat haiṅ jo hamāre diloṅ par likhā huā hai. Sab ise pahchān aur paṛh sakte haiṅ. Yih sāf zāhir hai ki āp Masīh kā ḳhat haiṅ jo us ne hamārī ḳhidmat ke zariye likh diyā hai. Aur yih ḳhat siyāhī se nahīṅ balki zindā Ḳhudā ke Rūh se likhā gayā, patthar kī taḳhtiyoṅ par nahīṅ balki insānī diloṅ par.
Ham yih is lie yaqīn se kah sakte haiṅ kyoṅki ham Masīh ke wasīle se Allāh par etamād rakhte haiṅ. Hamāre andar to kuchh nahīṅ hai jis kī binā par ham dāwā kar sakte ki ham yih kām karne ke lāyq haiṅ. Nahīṅ, hamārī liyāqat Allāh kī taraf se hai. Usī ne hameṅ nae ahd ke ḳhādim hone ke lāyq banā diyā hai. Aur yih ahd likhī huī sharīat par mabnī nahīṅ hai balki Rūh par, kyoṅki likhī huī sharīat ke asar se ham mar jāte haiṅ jabki Rūh hameṅ zindā kar detā hai.
Sharīat ke hurūf patthar kī taḳhtiyoṅ par kandā kie gae aur jab use diyā gayā to Allāh kā jalāl zāhir huā. Yih jalāl itnā tez thā ki Isrāīlī Mūsā ke chehre ko lagātār dekh na sake. Agar us chīz kā jalāl itnā tez thā jo ab mansūḳh hai to kyā Rūh ke nizām kā jalāl is se kahīṅ zyādā nahīṅ hogā? Agar purānā nizām jo hameṅ mujrim ṭhahrātā thā jalālī thā to phir nayā nizām jo hameṅ rāstbāz qarār detā hai kahīṅ zyādā jalālī hogā. 10 Hāṅ, pahle nizām kā jalāl nae nizām ke zabardast jalāl kī nisbat kuchh bhī nahīṅ hai. 11 Aur agar us purāne nizām kā jalāl bahut thā jo ab mansūḳh hai to phir us nae nizām kā jalāl kahīṅ zyādā hogā jo qāym rahegā.
12 Pas chūṅki ham aisī ummīd rakhte haiṅ is lie baṛī dilerī se ḳhidmat karte haiṅ. 13 Ham Mūsā kī mānind nahīṅ haiṅ jis ne sharīat sunāne ke iḳhtitām par apne chehre par niqāb ḍāl liyā tāki Isrāīlī use takte na raheṅ jo ab mansūḳh hai. 14 To bhī wuh zahnī taur par aṛ gae. Kyoṅki āj tak jab purāne ahdnāme kī tilāwat kī jātī hai to yihī niqāb qāym hai. Āj tak niqāb ko haṭāyā nahīṅ gayā kyoṅki yih ahd sirf Masīh meṅ mansūḳh hotā hai. 15 Hāṅ, āj tak jab Mūsā kī sharīat paṛhī jātī hai to yih niqāb un ke diloṅ par paṛā rahtā hai. 16 Lekin jab bhī koī Ḳhudāwand kī taraf rujū kartā hai to yih niqāb haṭāyā jātā hai, 17 kyoṅki Ḳhudāwand Rūh hai aur jahāṅ Ḳhudāwand kā Rūh hai wahāṅ āzādī hai. 18 Chunāṅche ham sab jin ke chehroṅ se niqāb haṭāyā gayā hai Ḳhudāwand kā jalāl mun'akis karte aur qadam baqadam jalāl pāte hue Masīh kī sūrat meṅ badalte jāte haiṅ. Yih Ḳhudāwand hī kā kām hai jo Rūh hai.