7
Achchhā Kyā Hai?
Achchhā nām ḳhushbūdār tel se aur maut kā din paidāish ke din se behtar hai.
Ziyāfat karne wāloṅ ke ghar meṅ jāne kī nisbat mātam karne wāloṅ ke ghar meṅ jānā behtar hai, kyoṅki har insān kā anjām maut hī hai. Jo zindā haiṅ wuh is bāt par ḳhūb dhyān deṅ. Dukh haṅsī se behtar hai, utrā huā chehrā dil kī behtarī kā bāis hai. Dānishmand kā dil mātam karne wāloṅ ke ghar meṅ ṭhahartā jabki ahmaq kā dil aish-o-ishrat karne wāloṅ ke ghar meṅ ṭik jātā hai.
Ahmaqoṅ ke gīt sunane kī nisbat dānishmand kī jhiṛkiyoṅ par dhyān denā behtar hai. Ahmaq ke qahqahe degchī tale chaṭaḳhne wāle kāṅṭoṅ kī āg kī mānind haiṅ. Yih bhī bātil hī hai.
Nārawā nafā dānishmand ko ahmaq banā detā, rishwat dil ko bigāṛ detī hai.
Kisī muāmale kā anjām us kī ibtidā se behtar hai, sabar karnā maġhrūr hone se behtar hai.
Ġhussā karne meṅ jaldī na kar, kyoṅki ġhussā ahmaqoṅ kī god meṅ hī ārām kartā hai.
10 Yih na pūchh ki āj kī nisbat purānā zamānā behtar kyoṅ thā, kyoṅki yih hikmat kī bāt nahīṅ.
11 Agar hikmat ke alāwā mīrās meṅ milkiyat bhī mil jāe to yih achchhī bāt hai, yih un ke lie sūdmand hai jo sūraj deḳhte haiṅ. 12 Kyoṅki hikmat paisoṅ kī tarah panāh detī hai, lekin hikmat kā ḳhās fāydā yih hai ki wuh apne mālik kī jān bachāe rakhtī hai.
13 Allāh ke kām kā mulāhazā kar. Jo kuchh us ne pechdār banāyā kaun use suljhā saktā hai?
14 Ḳhushī ke din ḳhush ho, lekin musībat ke din ḳhayāl rakh ki Allāh ne yih din bhī banāyā aur wuh bhī is lie ki insān apne mustaqbil ke bāre meṅ kuchh mālūm na kar sake.
Intahāpasandoṅ se Dareġh Kar
15 Apnī abas zindagī ke daurān maiṅ ne do bāteṅ dekhī haiṅ. Ek taraf rāstbāz apnī rāstbāzī ke bāwujūd tabāh ho jātā jabki dūsrī taraf bedīn apnī bedīnī ke bāwujūd umrrasīdā ho jātā hai. 16 Na had se zyādā rāstbāzī dikhā, na had se zyādā dānishmandī. Apne āp ko tabāh karne kī kyā zarūrat hai? 17 Na had se zyādā bedīnī, na had se zyādā hamāqat dikhā. Muqarrarā waqt se pahle marne kī kyā zarūrat hai? 18 Achchhā hai ki tū yih bāt thāme rakhe aur dūsrī bhī na chhoṛe. Jo Allāh kā ḳhauf māne wuh donoṅ ḳhatroṅ se bach niklegā.
19 Hikmat dānishmand ko shahr ke das hukmrānoṅ se zyādā tāqatwar banā detī hai. 20 Duniyā meṅ koī bhī insān itnā rāstbāz nahīṅ ki hameshā achchhā kām kare aur kabhī gunāh na kare.
21 Logoṅ kī har bāt par dhyān na de, aisā na ho ki tū naukar kī lānat bhī sun le jo wuh tujh par kartā hai. 22 Kyoṅki dil meṅ tū jāntā hai ki tū ne ḳhud muta'addid bār dūsroṅ par lānat bhejī hai.
Kaun Dānishmand Hai?
23 Hikmat ke zariye maiṅ ne in tamām bātoṅ kī jāṅch-paṛtāl kī. Maiṅ bolā, “Maiṅ dānishmand bananā chāhtā hūṅ,” lekin hikmat mujh se dūr rahī. 24 Jo kuchh maujūd hai wuh dūr aur nihāyat gahrā hai. Kaun us kī tah tak pahuṅch saktā hai? 25 Chunāṅche maiṅ ruḳh badal kar pūre dhyān se is kī tahqīq-o-taftīsh karne lagā ki hikmat aur muḳhtalif bātoṅ ke sahīh natāyj kyā haiṅ. Nīz, maiṅ bedīnī kī hamāqat aur behūdagī kī dīwānagī mālūm karnā chāhtā thā.
26 Mujhe mālūm huā ki maut se kahīṅ talḳh wuh aurat hai jo phandā hai, jis kā dil jāl aur hāth zanjīreṅ haiṅ. Jo ādmī Allāh ko manzūr ho wuh bach niklegā, lekin gunāhgār us ke jāl meṅ ulajh jāegā.
27 Wāiz farmātā hai, “Yih sab kuchh mujhe mālūm huā jab maiṅ ne muḳhtalif bāteṅ ek dūsre ke sāth munsalik kīṅ tāki sahīh natāyj tak pahuṅchūṅ. 28 Lekin jise maiṅ ḍhūṅḍtā rahā wuh na milā. Hazār afrād meṅ se mujhe sirf ek hī diyānatdār mard milā, lekin ek bhī diyānatdār aurat nahīṅ. *
29 Mujhe sirf itnā hī mālūm huā ki go Allāh ne insānoṅ ko diyānatdār banāyā, lekin wuh kaī qism kī chālākiyāṅ ḍhūnḍ nikālte haiṅ.”
* 7:28 ‘Diyānatdār’ izāfā hai tāki āyat kā jo ġhāliban matlab hai wuh sāf ho jāe.