30
Misr kī Tāqat Ḳhatm Ho Jāegī
Rab mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, nabuwwat karke yih paiġhām sunā de,
‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āh-o-zārī karo! Us din par afsos jo āne wālā hai. Kyoṅki Rab kā din qarīb hī hai. Us din ghane bādal chhā jāeṅge, aur maiṅ aqwām kī adālat karūṅga. Misr par talwār nāzil ho kar wahāṅ ke bāshindoṅ ko mār ḍālegī. Mulk kī daulat chhīn lī jāegī, aur us kī buniyādoṅ ko ḍhā diyā jāegā. Yih dekh kar Ethopiyā laraz uṭhegā, kyoṅki us ke log bhī talwār kī zad meṅ ā jāeṅge. Kaī qaumoṅ ke afrād Misriyoṅ ke sāth halāk ho jāeṅge. Ethopiyā ke, Libiyā ke, Ludiyā ke, Misr meṅ basne wāle tamām ajnabī qaumoṅ ke, Kūb ke aur mere ahd kī qaum Isrāīl ke log halāk ho jāeṅge. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Misr ko sahārā dene wāle sab gir jāeṅge, aur jis tāqat par wuh faḳhr kartā hai wuh jātī rahegī. Shimāl meṅ Mijdāl se le kar junūbī shahr Aswān tak unheṅ talwār mār ḍālegī. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai. Irdgird ke dīgar mamālik kī tarah Misr bhī wīrān-o-sunsān hogā, irdgird ke dīgar shahroṅ kī tarah us ke shahr bhī malbe ke ḍher hoṅge. Jab maiṅ Misr meṅ yoṅ āg lagā kar us ke madadgāroṅ ko kuchal ḍālūṅgā to log jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ab tak Ethopiyā apne āp ko mahfūz samajhtā hai, lekin us din merī taraf se qāsid nikal kar us mulk ke bāshindoṅ ko aisī ḳhabar pahuṅchāeṅge jis se wuh thartharā uṭheṅge. Kyoṅki qāsid kashtiyoṅ meṅ baiṭh kar Dariyā-e-Nīl ke zariye un tak pahuṅcheṅge aur unheṅ ittalā deṅge ki Misr tabāh ho gayā hai. Yih sun kar wahāṅ ke log kāṅp uṭheṅge. Yaqīn karo, yih din jald hī āne wālā hai. 10 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ke zariye maiṅ Misr kī shān-o-shaukat chhīn lūṅgā. 11 Use fauj samet Misr meṅ lāyā jāegā tāki use tabāh kare. Tab aqwām meṅ se sab se zālim yih log apnī talwāroṅ ko chalā kar mulk ko maqtūloṅ se bhar deṅge. 12 Maiṅ Dariyā-e-Nīl kī shāḳhoṅ ko ḳhushk karūṅga aur Misr ko faroḳht karke sharīr ādmiyoṅ ke hawāle kar dūṅgā. Pardesiyoṅ ke zariye maiṅ mulk aur jo kuchh bhī us meṅ hai tabāh kar dūṅgā. Yih merā, Rab kā farmān hai.
13 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Misrī butoṅ ko barbād karūṅga aur Memfis ke mujassame haṭā dūṅgā. Misr meṅ hukmrān nahīṅ rahegā, aur maiṅ mulk par ḳhauf tārī karūṅga. 14 Mere hukm par junūbī Misr barbād aur Zuan nazar-e-ātish hogā. Maiṅ Thības kī adālat 15 aur Misrī qile Palūsiyam par apnā ġhazab nāzil karūṅga. Hāṅ, Thības kī shān-o-shaukat nest-o-nābūd ho jāegī. 16 Maiṅ Misr ko nazar-e-ātish karūṅga. Tab Palūsiyam dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāegā, Thības dushman ke qabze meṅ āegā aur Memfis musalsal musībat meṅ phaṅsā rahegā. 17 Dushman kī talwār Hīliyopulis aur Būbastis ke jawānoṅ ko mār ḍālegī jabki bachī huī aurateṅ ġhulām ban kar jilāwatan ho jāeṅgī. 18 Tahfanhīs meṅ din tārīk ho jāegā jab maiṅ wahāṅ Misr ke jue ko toṛ dūṅgā. Wahīṅ us kī zabardast tāqat jātī rahegī. Ghanā bādal shahr par chhā jāegā, aur gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ qaidī ban kar jilāwatan ho jāeṅgī. 19 Yoṅ maiṅ Misr kī adālat karūṅga aur wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’ ”
20 Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke gyārhweṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Pahle mahīne kā sātwāṅ din * thā. Us ne farmāyā thā, 21 “Ai ādamzād, maiṅ ne Misrī bādshāh Firaun kā bāzū toṛ ḍālā hai. Shifā pāne ke lie lāzim thā ki bāzū par paṭṭī bāndhī jāe, ki ṭūṭī huī haḍḍī ke sāth khapachchī bāndhī jāe tāki bāzū mazbūt ho kar talwār chalāne ke qābil ho jāe. Lekin is qism kā ilāj huā nahīṅ.
22 Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Misrī bādshāh Firaun se nipaṭ kar us ke donoṅ bāzuoṅ ko toṛ ḍālūṅgā, sehhatmand bāzū ko bhī aur ṭūṭe hue ko bhī. Tab talwār us ke hāth se gir jāegī 23 aur maiṅ Misriyoṅ ko muḳhtalif aqwām-o-mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā.
24 Maiṅ Shāh-e-Bābal ke bāzuoṅ ko taqwiyat de kar use apnī hī talwār pakaṛā dūṅgā. Lekin Firaun ke bāzuoṅ ko maiṅ toṛ ḍālūṅgā, aur wuh Shāh-e-Bābal ke sāmne marne wāle zaḳhmī ādmī kī tarah karāh uṭhegā. 25 Shāh-e-Bābal ke bāzuoṅ ko maiṅ taqwiyat dūṅgā jabki Firaun ke bāzū behis-o-harkat ho jāeṅge. Jis waqt maiṅ apnī talwār ko Shāh-e-Bābal ko pakaṛā dūṅgā aur wuh use Misr ke ḳhilāf chalāegā us waqt log jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ. 26 Hāṅ, jis waqt maiṅ Misriyoṅ ko dīgar aqwām-o-mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā us waqt wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
* 30:20 29 Aprail.