14
Isrāīl Samundar meṅ se Guzartā Hai
1 Tab Rab ne Mūsā se kahā,
2 “Isrāīliyoṅ ko kah denā ki wuh pīchhe muṛ kar Mijdāl aur samundar ke bīch yānī Fī-haḳhīrot ke nazdīk ruk jāeṅ. Wuh Bāl-safon ke muqābil sāhil par apne ḳhaime lagāeṅ.
3 Yih dekh kar Firaun samjhegā ki Isrāīlī rāstā bhūl kar āwārā phir rahe haiṅ aur ki registān ne chāroṅ taraf unheṅ gher rakhā hai.
4 Phir maiṅ Firaun ko dubārā aṛ jāne dūṅgā, aur wuh Isrāīliyoṅ kā pīchhā karegā. Lekin maiṅ Firaun aur us kī pūrī fauj par apnā jalāl zāhir karūṅga. Misrī jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.” Isrāīliyoṅ ne aisā hī kiyā.
5 Jab Misr ke bādshāh ko ittalā dī gaī ki Isrāīlī hijrat kar gae haiṅ to us ne aur us ke darbāriyoṅ ne apnā ḳhayāl badal kar kahā, “Ham ne kyā kiyā hai? Ham ne unheṅ jāne diyā hai, aur ab ham un kī ḳhidmat se mahrūm ho gae haiṅ.”
6 Chunāṅche bādshāh ne apnā jangī rath taiyār karwāyā aur apnī fauj ko le kar niklā.
7 Wuh 600 behtarīn qism ke rath aur Misr ke bāqī tamām rathoṅ ko sāth le gayā. Tamām rathoṅ par afsarān muqarrar the.
8 Rab ne Misr ke bādshāh Firaun ko dubārā aṛ jāne diyā thā, is lie jab Isrāīlī baṛe iḳhtiyār ke sāth nikal rahe the to wuh un kā tāqqub karne lagā.
9 Isrāīliyoṅ kā pīchhā karte karte Firaun ke tamām ghoṛe, rath, sawār aur faujī un ke qarīb pahuṅche. Isrāīlī Bahr-e-Qulzum ke sāhil par Bāl-safon ke muqābil Fī-haḳhīrot ke nazdīk ḳhaime lagā chuke the.
10 Jab Isrāīliyoṅ ne Firaun aur us kī fauj ko apnī taraf baṛhte dekhā to wuh saḳht ghabrā gae aur madad ke lie Rab ke sāmne chīḳhne-chillāne lage.
11 Unhoṅ ne Mūsā se kahā, “Kyā Misr meṅ qabroṅ kī kamī thī ki āp hameṅ registān meṅ le āe haiṅ? Hameṅ Misr se nikāl kar āp ne hamāre sāth kyā kiyā hai?
12 Kyā ham ne Misr meṅ āp se darḳhāst nahīṅ kī thī ki mehrbānī karke hameṅ chhoṛ deṅ, hameṅ Misriyoṅ kī ḳhidmat karne deṅ? Yahāṅ ā kar registān meṅ mar jāne kī nisbat behtar hotā ki ham Misriyoṅ ke ġhulām rahte.”
13 Lekin Mūsā ne jawāb diyā, “Mat ghabrāo. Ārām se khaṛe raho aur dekho ki Rab tumheṅ āj kis tarah bachāegā. Āj ke bād tum in Misriyoṅ ko phir kabhī nahīṅ dekhoge.
14 Rab tumhāre lie laṛegā. Tumheṅ bas, chup rahnā hai.”
15 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Tū mere sāmne kyoṅ chīḳh rahā hai? Isrāīliyoṅ ko āge baṛhne kā hukm de.
16 Apnī lāṭhī ko pakaṛ kar use samundar ke ūpar uṭhā to wuh do hissoṅ meṅ baṭ jāegā. Isrāīlī ḳhushk zamīn par samundar meṅ se guzareṅge.
17 Maiṅ Misriyoṅ ko aṛe rahne dūṅgā tāki wuh Isrāīliyoṅ kā pīchhā kareṅ. Phir maiṅ Firaun, us kī sārī fauj, us ke rathoṅ aur us ke sawāroṅ par apnā jalāl zāhir karūṅga.
18 Jab maiṅ Firaun, us ke rathoṅ aur us ke sawāroṅ par apnā jalāl zāhir karūṅga to Misrī jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
19 Allāh kā farishtā Isrāīlī lashkar ke āge āge chal rahā thā. Ab wuh wahāṅ se haṭ kar un ke pīchhe khaṛā ho gayā. Bādal kā satūn bhī logoṅ ke āge se haṭ kar un ke pīchhe jā khaṛā huā.
20 Is tarah bādal Misriyoṅ aur Isrāīliyoṅ ke lashkaroṅ ke darmiyān ā gayā. Pūrī rāt Misriyoṅ kī taraf andherā hī andherā thā jabki Isrāīliyoṅ kī taraf raushnī thī. Is lie Misrī pūrī rāt ke daurān Isrāīliyoṅ ke qarīb na ā sake.
21 Mūsā ne apnā hāth samundar ke ūpar uṭhāyā to Rab ne mashriq se tez āṅdhī chalāī. Āṅdhī tamām rāt chaltī rahī. Us ne samundar ko pīchhe haṭā kar us kī tah ḳhushk kar dī. Samundar do hissoṅ meṅ baṭ gayā
22 to Isrāīlī samundar meṅ se ḳhushk zamīn par chalte hue guzar gae. Un ke dāīṅ aur bāīṅ taraf pānī dīwār kī tarah khaṛā rahā.
23 Jab Misriyoṅ ko patā chalā to Firaun ke tamām ghoṛe, rath aur ghuṛsawār bhī un ke pīchhe pīchhe samundar meṅ chale gae.
24 Subah-sawere hī Rab ne bādal aur āg ke satūn se Misr kī fauj par nigāh kī aur us meṅ abtarī paidā kar dī.
25 Un ke rathoṅ ke pahie nikal gae to un par qābū pānā mushkil ho gayā. Misriyoṅ ne kahā, “Āo, ham Isrāīliyoṅ se bhāg jāeṅ, kyoṅki Rab un ke sāth hai. Wuhī Misr kā muqābalā kar rahā hai.”
26 Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Apnā hāth samundar ke ūpar uṭhā. Phir pānī wāpas ā kar Misriyoṅ, un ke rathoṅ aur ghuṛsawāroṅ ko ḍubo degā.”
27 Mūsā ne apnā hāth samundar ke ūpar uṭhāyā to din nikalte waqt pānī māmūl ke mutābiq bahne lagā, aur jis taraf Misrī bhāg rahe the wahāṅ pānī hī pānī thā. Yoṅ Rab ne unheṅ samundar meṅ bahā kar ġharq kar diyā.
28 Pānī wāpas ā gayā. Us ne rathoṅ aur ghuṛsawāroṅ ko ḍhāṅk liyā. Firaun kī pūrī fauj jo Isrāīliyoṅ kā tāqqub kar rahī thī ḍūb kar tabāh ho gaī. Un meṅ se ek bhī na bachā.
29 Lekin Isrāīlī ḳhushk zamīn par samundar meṅ se guzare. Un ke dāīṅ aur bāīṅ taraf pānī dīwār kī tarah khaṛā rahā.
30 Us din Rab ne Isrāīliyoṅ ko Misriyoṅ se bachāyā. Misriyoṅ kī lāsheṅ unheṅ sāhil par nazar āīṅ.
31 Jab Isrāīliyoṅ ne Rab kī yih azīm qudrat dekhī jo us ne Misriyoṅ par zāhir kī thī to Rab kā ḳhauf un par chhā gayā. Wuh us par aur us ke ḳhādim Mūsā par etamād karne lage.