6
Rab ne jawāb diyā, “Ab tū dekhegā ki maiṅ Firaun ke sāth kyā kuchh kartā hūṅ. Merī azīm qudrat kā tajrabā karke wuh mere logoṅ ko jāne degā balki unheṅ jāne par majbūr karegā.”
Allāh ne Mūsā se yih bhī kahā, “Maiṅ Rab hūṅ. Maiṅ Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb par zāhir huā. Wuh mere nām Allāh Qādir-e-mutlaq * se wāqif hue, lekin maiṅ ne un par apne nām Rab kā inkishāf nahīṅ kiyā. Maiṅ ne un se ahd karke wādā kiyā ki unheṅ Mulk-e-Kanān dūṅgā jis meṅ wuh ajnabī ke taur par rahte the. Ab maiṅ ne sunā hai ki Isrāīlī kis tarah Misriyoṅ kī ġhulāmī meṅ karāh rahe haiṅ, aur maiṅ ne apnā ahd yād kiyā hai. Chunāṅche Isrāīliyoṅ ko batānā, ‘Maiṅ Rab hūṅ. Maiṅ tumheṅ Misriyoṅ ke jue se āzād karūṅga aur un kī ġhulāmī se bachāūṅgā. Maiṅ baṛī qudrat ke sāth tumheṅ chhuṛāūṅgā aur un kī adālat karūṅga. Maiṅ tumheṅ apnī qaum banāūṅgā aur tumhārā Ḳhudā hūṅgā. Tab tum jān loge ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ jis ne tumheṅ Misriyoṅ ke jue se āzād kar diyā hai. Maiṅ tumheṅ us mulk meṅ le jāūṅgā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā hai. Wuh mulk tumhārī apnī milkiyat hogā. Maiṅ Rab hūṅ.’ ”
Mūsā ne yih sab kuchh Isrāīliyoṅ ko batā diyā, lekin unhoṅ ne us kī bāt na mānī, kyoṅki wuh saḳht kām ke bāis himmat hār gae the. 10 Tab Rab ne Mūsā se kahā, 11 “Jā, Misr ke bādshāh Firaun ko batā denā ki Isrāīliyoṅ ko apne mulk se jāne de.” 12 Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Isrāīlī merī bāt sunanā nahīṅ chāhte to Firaun kyoṅ merī bāt māne jabki maiṅ ruk ruk kar boltā hūṅ?”
13 Lekin Rab ne Mūsā aur Hārūn ko hukm diyā, “Isrāīliyoṅ aur Misr ke bādshāh Firaun se bāt karke Isrāīliyoṅ ko Misr se nikālo.”
Mūsā aur Hārūn ke Ābā-o-Ajdād
14 Isrāīl ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāh yih the: Isrāīl ke pahlauṭhe Rūbin ke chār beṭe Hanūk, Fallū, Hasron aur Karmī the. In se Rūbin kī chār shāḳheṅ niklīṅ.
15 Shamāūn ke pāṅch beṭe Yamuel, Yamīn, Uhad, Yakīn, Suhar aur Sāūl the. (Sāūl Kanānī aurat kā bachchā thā.) In se Shamāūn kī pāṅch shāḳheṅ niklīṅ.
16 Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. (Lāwī 137 sāl kī umr meṅ faut huā.)
17 Jairson ke do beṭe Libnī aur Simaī the. In se Jairson kī do shāḳheṅ niklīṅ. 18 Qihāt ke chār beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the. (Qihāt 133 sāl kī umr meṅ faut huā.) 19 Mirārī ke do beṭe Mahlī aur Mūshī the. In sab se Lāwī kī muḳhtalif shāḳheṅ niklīṅ.
20 Amrām ne apnī phūphī Yūkabid se shādī kī. Un ke do beṭe Hārūn aur Mūsā paidā hue. (Amrām 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) 21 Izhār ke tīn beṭe Qorah, Nafaj aur Zikrī the. 22 Uzziyel ke tīn beṭe Mīsāel, Ilsafan aur Sitrī the.
23 Hārūn ne Ilīsibā se shādī kī. (Ilīsibā Ammīnadāb kī beṭī aur Nahson kī bahan thī.) Un ke chār beṭe Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar the. 24 Qorah ke tīn beṭe Assīr, Ilqānā aur Abiyāsaf the. Un se Qorahiyoṅ kī tīn shāḳheṅ niklīṅ. 25 Hārūn ke beṭe Iliyazar ne Fūtiyel kī ek beṭī se shādī kī. Un kā ek beṭā Fīnhās thā.
Yih sab Lāwī ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāh the.
26 Rab ne Amrām ke do beṭoṅ Hārūn aur Mūsā ko hukm diyā ki merī qaum ko us ke ḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq Misr se nikālo. 27 Inhīṅ do ādmiyoṅ ne Misr ke bādshāh Firaun se bāt kī ki Isrāīliyoṅ ko Misr se jāne de.
Rab Dubārā Mūsā se Hamkalām Hotā Hai
28 Misr meṅ Rab ne Mūsā se kahā, 29 “Maiṅ Rab hūṅ. Misr ke bādshāh ko wuh sab kuchh batā denā jo maiṅ tujhe batātā hūṅ.” 30 Mūsā ne etarāz kiyā, “Maiṅ to ruk ruk kar boltā hūṅ. Firaun kis tarah merī bāt mānegā.”
* 6:3 Ibrānī meṅ El-shadaī. 6:3 Ibrānī meṅ Yahwe.