11
Bābal kā Burj
1 Us waqt tak pūrī duniyā ke log ek hī zabān bolte the.
2 Mashriq kī taraf baṛhte baṛhte wuh Sinār ke ek maidān meṅ pahuṅch kar wahāṅ ābād hue.
3 Tab wuh ek dūsre se kahne lage, “Āo, ham miṭṭī se īṅṭeṅ banā kar unheṅ āg meṅ ḳhūb pakāeṅ.” Unhoṅ ne tāmīrī kām ke lie patthar kī jagah īṅṭeṅ aur masāle kī jagah tārkol istemāl kiyā.
4 Phir wuh kahne lage, “Āo, ham apne lie shahr banā leṅ jis meṅ aisā burj ho jo āsmān tak pahuṅch jāe phir hamārā nām qāym rahegā aur ham rū-e-zamīn par bikhar jāne se bach jāeṅge.”
5 Lekin Rab us shahr aur burj ko deḳhne ke lie utar āyā jise log banā rahe the.
6 Rab ne kahā, “Yih log ek hī qaum haiṅ aur ek hī zabān bolte haiṅ. Aur yih sirf us kā āġhāz hai jo wuh karnā chāhte haiṅ. Ab se jo bhī wuh mil kar karnā chāheṅge us se unheṅ rokā nahīṅ jā sakegā.
7 Is lie āo, ham duniyā meṅ utar kar un kī zabān ko darham-barham kar deṅ tāki wuh ek dūsre kī bāt samajh na pāeṅ.”
8 Is tarīqe se Rab ne unheṅ tamām rū-e-zamīn par muntashir kar diyā, aur shahr kī tāmīr ruk gaī.
9 Is lie shahr kā nām Bābal yānī Abtarī ṭhahrā, kyoṅki Rab ne wahāṅ tamām logoṅ kī zabān ko darham-barham karke unheṅ tamām rū-e-zamīn par muntashir kar diyā.
Sim se Abrām tak kā Nasabnāmā
10 Yih Sim kā nasabnāmā hai:
Sim 100 sāl kā thā jab us kā beṭā Arfaksad paidā huā. Yih sailāb ke do sāl bād huā.
11 Is ke bād wuh mazīd 500 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
12 Arfaksad 35 sāl kā thā jab Silah paidā huā.
13 Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
14 Silah 30 sāl kā thā jab Ibar paidā huā.
15 Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
16 Ibar 34 sāl kā thā jab Falaj paidā huā.
17 Is ke bād wuh mazīd 430 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
18 Falaj 30 sāl kā thā jab Raū paidā huā.
19 Is ke bād wuh mazīd 209 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
20 Raū 32 sāl kā thā jab Sarūj paidā huā.
21 Is ke bād wuh mazīd 207 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
22 Sarūj 30 sāl kā thā jab Nahūr paidā huā.
23 Is ke bād wuh mazīd 200 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
24 Nahūr 29 sāl kā thā jab Tārah paidā huā.
25 Is ke bād wuh mazīd 119 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
26 Tārah 70 sāl kā thā jab us ke beṭe Abrām, Nahūr aur Hārān paidā hue.
27 Yih Tārah kā nasabnāmā hai: Abrām, Nahūr aur Hārān Tārah ke beṭe the. Lūt Hārān kā beṭā thā.
28 Apne bāp Tārah kī zindagī meṅ hī Hārān Kasdiyoṅ ke Ūr meṅ intaqāl kar gayā jahāṅ wuh paidā bhī huā thā.
29 Bāqī donoṅ beṭoṅ kī shādī huī. Abrām kī bīwī kā nām Sāray thā aur Nahūr kī bīwī kā nām Milkāh. Milkāh Hārān kī beṭī thī, aur us kī ek bahan banām Iskā thī.
30 Sāray bāṅjh thī, is lie us ke bachche nahīṅ the.
31 Tārah Kasdiyoṅ ke Ūr se rawānā ho kar Mulk-e-Kanān kī taraf safr karne lagā. Us ke sāth us kā beṭā Abrām, us kā potā Lūt yānī Hārān kā beṭā aur us kī bahū Sāray the. Jab wuh Hārān pahuṅche to wahāṅ ābād ho gae.
32 Tārah 205 sāl kā thā jab us ne Hārān meṅ wafāt pāī.