17
Ahd kā Nishān: Ḳhatnā
1 Jab Abrām 99 sāl kā thā to Rab us par zāhir huā. Us ne kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Mere huzūr chaltā rah aur be'ilzām ho.
2 Maiṅ tere sāth apnā ahd bāndhūṅgā aur terī aulād ko bahut hī zyādā baṛhā dūṅgā.”
3 Abrām muṅh ke bal gir gayā, aur Allāh ne us se kahā,
4 “Merā tere sāth ahd hai ki tū bahut qaumoṅ kā bāp hogā.
5 Ab se tū Abrām yānī ‘Azīm Bāp’ nahīṅ kahlāegā balki terā nām Ibrāhīm yānī ‘Bahut Qaumoṅ kā Bāp’ hogā. Kyoṅki maiṅ ne tujhe bahut qaumoṅ kā bāp banā diyā hai.
6 Maiṅ tujhe bahut hī zyādā aulād baḳhsh dūṅgā, itnī ki qaumeṅ baneṅgī. Tujh se bādshāh bhī nikleṅge.
7 Maiṅ apnā ahd tere aur terī aulād ke sāth nasl-dar-nasl qāym karūṅga, ek abadī ahd jis ke mutābiq maiṅ terā aur terī aulād kā Ḳhudā hūṅgā.
8 Tū is waqt Mulk-e-Kanān meṅ pardesī hai, lekin maiṅ is pūre mulk ko tujhe aur terī aulād ko detā hūṅ. Yih hameshā tak un kā hī rahegā, aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā.”
9 Allāh ne Ibrāhīm se yih bhī kahā, “Tujhe aur terī aulād ko nasl-dar-nasl mere ahd kī sharāyt pūrī karnī haiṅ.
10 Is kī ek shart yih hai ki har ek mard kā ḳhatnā kiyā jāe
11 apnā ḳhatnā karāo. Yih hamāre āpas ke ahd kā zāhirī nishān hogā.
12 Lāzim hai ki tū aur terī aulād nasl-dar-nasl apne har ek beṭe kā āṭhweṅ din ḳhatnā karwāeṅ. Yih usūl us par bhī lāgū hai jo tere ghar meṅ rahtā hai lekin tujh se rishtā nahīṅ rakhtā, chāhe wuh ghar meṅ paidā huā ho yā kisī ajnabī se ḳharīdā gayā ho.
13 Ghar ke har ek mard kā ḳhatnā karnā lāzim hai, ḳhāh wuh ghar meṅ paidā huā ho yā kisī ajnabī se ḳharīdā gayā ho. Yih is bāt kā nishān hogā ki merā tere sāth ahd hameshā tak qāym rahegā.
14 Jis mard kā ḳhatnā na kiyā gayā use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāegā, kyoṅki us ne mere ahd kī sharāyt pūrī na kīṅ.”
15 Allāh ne Ibrāhīm se yih bhī kahā, “Apnī bīwī Sāray kā nām bhī badal denā. Ab se us kā nām Sāray nahīṅ balki Sārā yānī Shahzādī hogā.
16 Maiṅ use barkat baḳhshūṅgā aur tujhe us kī mārifat beṭā dūṅgā. Maiṅ use yahāṅ tak barkat dūṅgā ki us se qaumeṅ balki qaumoṅ ke bādshāh nikleṅge.”
17 Ibrāhīm muṅh ke bal gir gayā. Lekin dil hī dil meṅ wuh haṅs paṛā aur sochā, “Yih kis tarah ho saktā hai? Maiṅ to 100 sāl kā hūṅ. Aise ādmī ke hāṅ bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Aur Sārā jaisī umrrasīdā aurat ke bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Us kī umr to 90 sāl hai.”
18 Us ne Allāh se kahā, “Hāṅ, Ismāīl hī tere sāmne jītā rahe.”
19 Allāh ne kahā, “Nahīṅ, terī bīwī Sārā ke hāṅ beṭā paidā hogā. Tū us kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhnā. Maiṅ us ke aur us kī aulād ke sāth abadī ahd bāndhūṅgā.
20 Maiṅ Ismāīl ke silsile meṅ bhī terī darḳhāst pūrī karūṅga. Maiṅ use bhī barkat de kar phalne-phūlne dūṅgā aur us kī aulād bahut hī zyādā baṛhā dūṅgā. Wuh bārah ra'īsoṅ kā bāp hogā, aur maiṅ us kī mārifat ek baṛī qaum banāūṅgā.
21 Lekin merā ahd Is'hāq ke sāth hogā, jo ain ek sāl ke bād Sārā ke hāṅ paidā hogā.”
22 Allāh kī Ibrāhīm ke sāth bāt ḳhatm huī, aur wuh us ke pās se āsmān par chalā gayā.
23 Usī din Ibrāhīm ne Allāh kā hukm pūrā kiyā. Us ne ghar ke har ek mard kā ḳhatnā karwāyā, apne beṭe Ismāīl kā bhī aur un kā bhī jo us ke ghar meṅ rahte lekin us se rishtā nahīṅ rakhte the, chāhe wuh us ke ghar meṅ paidā hue the yā ḳharīde gae the.
24 Ibrāhīm 99 sāl kā thā jab us kā ḳhatnā huā,
25 jabki us kā beṭā Ismāīl 13 sāl kā thā.
26 Donoṅ kā ḳhatnā usī din huā.
27 Sāth sāth gharāne ke tamām bāqī mardoṅ kā ḳhatnā bhī huā, bashamūl un ke jin kā Ibrāhīm ke sāth rishtā nahīṅ thā, chāhe wuh ghar meṅ paidā hue yā kisī ajnabī se ḳharīde gae the.