28
1 Is'hāq ne Yāqūb ko bulā kar use barkat dī aur kahā, “Lāzim hai ki tū kisī Kanānī aurat se shādī na kare.
2 Ab sīdhe Masoputāmiyā meṅ apne nānā Batuel ke ghar jā aur wahāṅ apne māmūṅ Lāban kī laṛkiyoṅ meṅ se kisī ek se shādī kar.
3 Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe barkat de kar phalne-phūlne de aur tujhe itnī aulād de ki tū bahut sārī qaumoṅ kā bāp bane.
4 Wuh tujhe aur terī aulād ko Ibrāhīm kī barkat de jise us ne yih mulk diyā jis meṅ tū mehmān ke taur par rahtā hai. Yih mulk tumhāre qabze meṅ āe.”
5 Yoṅ Is'hāq ne Yāqūb ko Masoputāmiyā meṅ Lāban ke ghar bhejā. Lāban Arāmī mard Batuel kā beṭā aur Ribqā kā bhāī thā.
Esau Ek aur Shādī Kartā Hai
6 Esau ko patā chalā ki Is'hāq ne Yāqūb ko barkat de kar Masoputāmiyā bhej diyā hai tāki wahāṅ shādī kare. Use yih bhī mālūm huā ki Is'hāq ne use Kanānī aurat se shādī karne se manā kiyā hai
7 aur ki Yāqūb apne māṅ-bāp kī sun kar Masoputāmiyā chalā gayā hai.
8 Esau samajh gayā ki Kanānī aurateṅ mere bāp ko manzūr nahīṅ haiṅ.
9 Is lie wuh Ibrāhīm ke beṭe Ismāīl ke pās gayā aur us kī beṭī Mahalat se shādī kī. Wuh Nabāyot kī bahan thī. Yoṅ us kī bīwiyoṅ meṅ izāfā huā.
Baitel meṅ Yāqūb kā Ḳhāb
10 Yāqūb Bair-sabā se Hārān kī taraf rawānā huā.
11 Jab sūraj ġhurūb huā to wuh rāt guzārne ke lie ruk gayā aur wahāṅ ke pattharoṅ meṅ se ek ko le kar use apne sirhāne rakhā aur so gayā.
12 Jab wuh so rahā thā to ḳhāb meṅ ek sīṛhī dekhī jo zamīn se āsmān tak pahuṅchtī thī. Farishte us par chaṛhte aur utarte nazar āte the.
13 Rab us ke ūpar khaṛā thā. Us ne kahā, “Maiṅ Rab Ibrāhīm aur Is'hāq kā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih zamīn dūṅgā jis par tū leṭā hai.
14 Terī aulād zamīn par ḳhāk kī tarah beshumār hogī, aur tū chāroṅ taraf phail jāegā. Duniyā kī tamām qaumeṅ tere aur terī aulād ke wasīle se barkat pāeṅgī.
15 Maiṅ tere sāth hūṅgā, tujhe mahfūz rakhūṅgā aur āḳhirkār tujhe is mulk meṅ wāpas lāūṅgā. Mumkin hī nahīṅ ki maiṅ tere sāth apnā wādā pūrā karne se pahle tujhe chhoṛ dūṅ.”
16 Tab Yāqūb jāg uṭhā. Us ne kahā, “Yaqīnan Rab yahāṅ hāzir hai, aur mujhe mālūm nahīṅ thā.”
17 Wuh ḍar gayā aur kahā, “Yih kitnā ḳhaufnāk maqām hai. Yih to Allāh hī kā ghar aur āsmān kā darwāzā hai.”
18 Yāqūb subah-sawere uṭhā. Us ne wuh patthar liyā jo us ne apne sirhāne rakhā thā aur use satūn kī tarah khaṛā kiyā. Phir us ne us par zaitūn kā tel unḍel diyā.
19 Us ne maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. (Pahle sāth wāle shahr kā nām Lūz thā.)
20 Us ne qasam khā kar kahā, “Agar Rab mere sāth ho, safr par merī hifāzat kare, mujhe khānā aur kapṛā muhaiyā kare
21 aur maiṅ salāmatī se apne bāp ke ghar wāpas pahuṅchūṅ to phir wuh merā Ḳhudā hogā.
22 Jahāṅ yih patthar satūn ke taur par khaṛā hai wahāṅ Allāh kā ghar hogā, aur jo bhī tū mujhe degā us kā daswāṅ hissā tujhe diyā karūṅga.”