43
Binyamīn ke Hamrāh Dūsrā Safr
1 Kāl ne zor pakaṛā.
2 Jab Misr se lāyā gayā anāj ḳhatm ho gayā to Yāqūb ne kahā, “Ab wāpas jā kar hamāre lie kuchh aur ġhallā ḳharīd lāo.”
3 Lekin Yahūdāh ne kahā, “Us mard ne saḳhtī se kahā thā, ‘Tum sirf is sūrat meṅ mere pās ā sakte ho ki tumhārā bhāī sāth ho.’
4 Agar āp hamāre bhāī ko sāth bhejeṅ to phir ham jā kar āp ke lie ġhallā ḳharīdeṅge
5 warnā nahīṅ. Kyoṅki us ādmī ne kahā thā ki ham sirf is sūrat meṅ us ke pās ā sakte haiṅ ki hamārā bhāī sāth ho.”
6 Yāqūb ne kahā, “Tum ne use kyoṅ batāyā ki hamārā ek aur bhāī bhī hai? Is se tum ne mujhe baṛī musībat meṅ ḍāl diyā hai.”
7 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh ādmī hamāre aur hamāre ḳhāndān ke bāre meṅ pūchhtā rahā, ‘Kyā tumhārā bāp ab tak zindā hai? Kyā tumhārā koī aur bhāī hai?’ Phir hameṅ jawāb denā paṛā. Hameṅ kyā patā thā ki wuh hameṅ apne bhāī ko sāth lāne ko kahegā.”
8 Phir Yahūdāh ne bāp se kahā, “Laṛke ko mere sāth bhej deṅ to ham abhī rawānā ho jāeṅge. Warnā āp, hamāre bachche balki ham sab bhūkoṅ mar jāeṅge.
9 Maiṅ ḳhud us kā zāmin hūṅgā. Āp mujhe us kī jān kā zimmedār ṭhahrā sakte haiṅ. Agar maiṅ use salāmatī se wāpas na pahuṅchāūṅ to phir maiṅ zindagī ke āḳhir tak qusūrwār ṭhahrūṅga.
10 Jitnī der tak ham jhijakte rahe haiṅ utnī der meṅ to ham do dafā Misr jā kar wāpas ā sakte the.”
11 Tab un ke bāp Isrāīl ne kahā, “Agar aur koī sūrat nahīṅ to is mulk kī behtarīn paidāwār meṅ se kuchh tohfe ke taur par le kar us ādmī ko de do yānī kuchh balsān, shahd, lādan, mur, pistā aur bādām.
12 Apne sāth dugnī raqam le kar jāo, kyoṅki tumheṅ wuh paise wāpas karne haiṅ jo tumhārī boriyoṅ meṅ rakhe gae the. Shāyad kisī se ġhaltī huī ho.
13 Apne bhāī ko le kar sīdhe wāpas pahuṅchnā.
14 Allāh Qādir-e-mutlaq kare ki yih ādmī tum par rahm karke Binyamīn aur tumhāre dūsre bhāī ko wāpas bheje. Jahāṅ tak merā tālluq hai, agar mujhe apne bachchoṅ se mahrūm honā hai to aisā hī ho.”
15 Chunāṅche wuh tohfe, dugnī raqam aur Binyamīn ko sāth le kar chal paṛe. Misr pahuṅch kar wuh Yūsuf ke sāmne hāzir hue.
16 Jab Yūsuf ne Binyamīn ko un ke sāth dekhā to us ne apne ghar par muqarrar mulāzim se kahā, “In ādmiyoṅ ko mere ghar le jāo tāki wuh dopahar kā khānā mere sāth khāeṅ. Jānwar ko zabah karke khānā taiyār karo.”
17 Mulāzim ne aisā hī kiyā aur bhāiyoṅ ko Yūsuf ke ghar le gayā.
18 Jab unheṅ us ke ghar pahuṅchāyā jā rahā thā to wuh ḍar kar sochne lage, “Hameṅ un paisoṅ ke sabab se yahāṅ lāyā jā rahā hai jo pahlī dafā hamārī boriyoṅ meṅ wāpas kie gae the. Wuh ham par achānak hamlā karke hamāre gadhe chhīn leṅge aur hameṅ ġhulām banā leṅge.”
19 Is lie ghar ke darwāze par pahuṅch kar unhoṅ ne ghar par muqarrar mulāzim se kahā,
20 “Janāb-e-ālī, hamārī bāt sun lījie. Is se pahle ham anāj ḳharīdne ke lie yahāṅ āe the.
21 Lekin jab ham yahāṅ se rawānā ho kar rāste meṅ rāt ke lie ṭhahre to ham ne apnī boriyāṅ khol kar dekhā ki har borī ke muṅh meṅ hamāre paisoṅ kī pūrī raqam paṛī hai. Ham yih paise wāpas le āe haiṅ.
22 Nīz, ham mazīd ḳhurāk ḳharīdne ke lie aur paise le āe haiṅ. Ḳhudā jāne kis ne hamāre yih paise hamārī boriyoṅ meṅ rakh die.”
23 Mulāzim ne kahā, “Fikr na kareṅ. Mat ḍareṅ. Āp ke aur āp ke bāp ke Ḳhudā ne āp ke lie āp kī boriyoṅ meṅ yih ḳhazānā rakhā hogā. Baharhāl mujhe āp ke paise mil gae haiṅ.”
Mulāzim Shamāūn ko un ke pās bāhar le āyā.
24 Phir us ne bhāiyoṅ ko Yūsuf ke ghar meṅ le jā kar unheṅ pāṅw dhone ke lie pānī aur gadhoṅ ko chārā diyā.
25 Unhoṅ ne apne tohfe taiyār rakhe, kyoṅki unheṅ batāyā gayā, “Yūsuf dopahar kā khānā āp ke sāth hī khāegā.”
26 Jab Yūsuf ghar pahuṅchā to wuh apne tohfe le kar us ke sāmne āe aur muṅh ke bal jhuk gae.
27 Us ne un se ḳhairiyat dariyāft kī aur phir kahā, “Tum ne apne būṛhe bāp kā zikr kiyā. Kyā wuh ṭhīk haiṅ? Kyā wuh ab tak zindā haiṅ?”
28 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jī, āp ke ḳhādim hamāre bāp ab tak zindā haiṅ.” Wuh dubārā muṅh ke bal jhuk gae.
29 Jab Yūsuf ne apne sage bhāī Binyamīn ko dekhā to us ne kahā, “Kyā yih tumhārā sab se chhoṭā bhāī hai jis kā tum ne zikr kiyā thā? Beṭā, Allāh kī nazar-e-karm tum par ho.”
30 Yūsuf apne bhāī ko dekh kar itnā muta'assir huā ki wuh rone ko thā, is lie wuh jaldī se wahāṅ se nikal kar apne sone ke kamre meṅ gayā aur ro paṛā.
31 Phir wuh apnā muṅh dho kar wāpas āyā. Apne āp par qābū pā kar us ne hukm diyā ki naukar khānā le āeṅ.
32 Naukaroṅ ne Yūsuf ke lie khāne kā alag intazām kiyā aur bhāiyoṅ ke lie alag. Misriyoṅ ke lie bhī khāne kā alag intazām thā, kyoṅki Ibrāniyoṅ ke sāth khānā khānā un kī nazar meṅ qābil-e-nafrat thā.
33 Bhāiyoṅ ko un kī umr kī tartīb ke mutābiq Yūsuf ke sāmne biṭhāyā gayā. Yih dekh kar bhāī nihāyat hairān hue.
34 Naukaroṅ ne unheṅ Yūsuf kī mez par se khānā le kar khilāyā. Lekin Binyamīn ko dūsroṅ kī nisbat pāṅch gunā zyādā milā. Yoṅ unhoṅ ne Yūsuf ke sāth jī bhar kar khāyā aur piyā.