46
Yāqūb Misr Jātā Hai
1 Yāqūb sab kuchh le kar rawānā huā aur Bair-sabā pahuṅchā. Wahāṅ us ne apne bāp Is'hāq ke Ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ.
2 Rāt ko Allāh royā meṅ us se hamkalām huā. Us ne kahā, “Yāqūb, Yāqūb!” Yāqūb ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
3 Allāh ne kahā, “Maiṅ Allāh hūṅ, tere bāp Is'hāq kā Ḳhudā. Misr jāne se mat ḍar, kyoṅki wahāṅ maiṅ tujh se ek baṛī qaum banāūṅgā.
4 Maiṅ tere sāth Misr jāūṅgā aur tujhe is mulk meṅ wāpas bhī le āūṅgā. Jab tū maregā to Yūsuf ḳhud terī āṅkheṅ band karegā.”
5 Is ke bād Yāqūb Bair-sabā se rawānā huā. Us ke beṭoṅ ne use aur apne bāl-bachchoṅ ko un gāṛiyoṅ meṅ biṭhā diyā jo Misr ke bādshāh ne bhijwāī thīṅ.
6 Yoṅ Yāqūb aur us kī tamām aulād apne maweshī aur Kanān meṅ hāsil kiyā huā māl le kar Misr chale gae.
7 Yāqūb ke beṭe-beṭiyāṅ, pote-potiyāṅ aur bāqī aulād sab sāth gae.
8 Isrāīl kī aulād ke nām jo Misr chalī gaī yih haiṅ:
Yāqūb ke pahlauṭhe Rūbin
9 ke beṭe Hanūk, Fallū, Hasron aur Karmī the.
10 Shamāūn ke beṭe āshruel, Yamīn, Uhad, Yakīn, Suhar aur Sāūl the. (Sāūl Kanānī aurat kā bachchā thā.)
11 Lāwī ke beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the.
12 Yahūdāh ke beṭe Er, Onān, Selā, Fāras aur Zārah the. (Er aur Onān Kanān meṅ mar chuke the.) Fāras ke do beṭe Hasron aur Hamūl the.
13 Ishkār ke beṭe Tolā, Fuwwā, Yob aur Simron the.
14 Zabūlūn ke beṭe sard, Ailon aur Yahliyel the.
15 In beṭoṅ kī māṅ Liyāh thī, aur wuh Masoputāmiyā meṅ paidā hue. In ke alāwā Dīnā us kī beṭī thī. Kul 33 mard Liyāh kī aulād the.
16 Jad ke beṭe Sifyān, Hajjī, Sūnī, Isbūn, Erī, Arūdī aur Arelī the.
17 Āshar ke beṭe Yimnā, Iswāh, Iswī aur Bariyā the. Āshar kī beṭī Sirah thī, aur Bariyā ke do beṭe the, Hibar aur Malkiyel.
18 Kul 16 afrād Zilfā kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Liyāh ko diyā thā.
19 Rāḳhil ke beṭe Yūsuf aur Binyamīn the.
20 Yūsuf ke do beṭe Manassī aur Ifrāīm Misr meṅ paidā hue. Un kī māṅ On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat thī.
21 Binyamīn ke beṭe Bālā, Bakar, Ashbel, Jīrā, Nāmān, Iḳhī, Ros, Muffīm, Huffīm aur Ard the.
22 Kul 14 mard Rāḳhil kī aulād the.
23 Dān kā beṭā Hushīm thā.
24 Naftālī ke beṭe Yahsiyel, Jūnī, Yisar aur Sillīm the.
25 Kul 7 mard Bilhāh kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Rāḳhil ko diyā thā.
26 Yāqūb kī aulād ke 66 afrād us ke sāth Misr chale gae. Is tādād meṅ beṭoṅ kī bīwiyāṅ shāmil nahīṅ thīṅ.
27 Jab ham Yāqūb, Yūsuf aur us ke do beṭe in meṅ shāmil karte haiṅ to Yāqūb ke gharāne ke 70 afrād Misr gae.
Yāqūb aur Us kā Ḳhāndān Misr Meṅ
28 Yāqūb ne Yahūdāh ko apne āge Yūsuf ke pās bhejā tāki wuh Jushan meṅ un se mile. Jab wuh wahāṅ pahuṅche
29 to Yūsuf apne rath par sawār ho kar apne bāp se milne ke lie Jushan gayā. Use dekh kar wuh us ke gale lag kar kāfī der rotā rahā.
30 Yāqūb ne Yūsuf se kahā, “Ab maiṅ marne ke lie taiyār hūṅ, kyoṅki maiṅ ne ḳhud dekhā hai ki tū zindā hai.”
31 Phir Yūsuf ne apne bhāiyoṅ aur apne bāp ke ḳhāndān ke bāqī afrād se kahā, “Zarūrī hai ki maiṅ jā kar bādshāh ko ittalā dūṅ ki mere bhāī aur mere bāp kā pūrā ḳhāndān jo Kanān ke rahne wāle haiṅ mere pās ā gae haiṅ.
32 Maiṅ us se kahūṅgā, ‘Yih ādmī bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. Wuh maweshī pālte haiṅ, is lie apnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur bāqī sārā māl apne sāth le āe haiṅ.’
33 Bādshāh tumheṅ bulā kar pūchhegā ki tum kyā kām karte ho?
34 Phir tum ko jawāb denā hai, ‘Āp ke ḳhādim bachpan se maweshī pālte āe haiṅ. Yih hamāre bāpdādā kā peshā thā aur hamārā bhī hai.’ Agar tum yih kaho to tumheṅ Jushan meṅ rahne kī ijāzat milegī. Kyoṅki bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe Misriyoṅ kī nazar meṅ qābil-e-nafrat haiṅ.”