31
Misr kī Madad Bekār Hai
Un par afsos jo madad ke lie Misr jāte haiṅ. Un kī pūrī ummīd ghoṛoṅ se hai, aur wuh apne muta'addid rathoṅ aur tāqatwar ghuṛsawāroṅ par etamād rakhte haiṅ. Afsos, na wuh Isrāīl ke Quddūs kī taraf nazar uṭhāte, na Rab kī marzī dariyāft karte haiṅ. Lekin Allāh bhī dānā hai. Wuh tum par āfat lāegā aur apnā farmān mansūḳh nahīṅ karegā balki sharīroṅ ke ghar aur un ke muāwinoṅ ke ḳhilāf uṭh khaṛā hogā. Misrī to Ḳhudā nahīṅ balki insān haiṅ. Aur un ke ghoṛe ālam-e-arwāh ke nahīṅ balki fānī duniyā ke haiṅ. Jahāṅ bhī Rab apnā hāth baṛhāe wahāṅ madad karne wāle madad milne wāloṅ samet ṭhokar khā kar gir jāte haiṅ, sab mil kar halāk ho jāte haiṅ.
Rab mujh se hamkalām huā, “Siyyūn par utarte waqt maiṅ us jawān sherbabar kī tarah hūṅgā jo bakrī mār kar us ke ūpar khaṛā ġhurrātā hai. Go muta'addid gallābānoṅ ko use bhagāne ke lie bulāyā jāe to bhī wuh un kī chīḳhoṅ se dahshat nahīṅ khātā, na un ke shor-sharābā se ḍar kar dabak jātā hai. Rabbul-afwāj isī tarah hī Koh-e-Siyyūn par utar kar laṛegā. Rabbul-afwāj par phailāe hue parinde kī tarah Yarūshalam ko panāh degā, wuh use mahfūz rakh kar chhuṭkārā degā, use sazā dene ke bajāe rihā karegā.”
Ai Isrāīliyo, jis se tum sarkash ho kar itne dūr ho gae ho us ke pās wāpas ā jāo. Ab tak tum apne hāthoṅ se bane hue sone-chāṅdī ke butoṅ kī pūjā karte ho, ab tak tum is gunāh meṅ mulawwas ho. Lekin wuh din āne wālā hai jab har ek apne butoṅ ko radd karegā.
“Asūr talwār kī zad meṅ ā kar gir jāegā. Lekin yih kisī mard kī talwār nahīṅ hogī. Jo talwār Asūr ko khā jāegī wuh fānī insān kī nahīṅ hogī. Asūr talwār ke āge āge bhāgegā, aur us ke jawānoṅ ko begār meṅ kām karnā paṛegā. Us kī chaṭān ḍar ke māre jātī rahegī, us ke afsar lashkarī jhanḍe ko dekh kar dahshat khāeṅge.” Yih Rab kā farmān hai jis kī āg Siyyūn meṅ bhaṛaktī aur jis kā tanūr Yarūshalam meṅ taptā hai.