34
Adom par Adālat kā Elān
1 Ai qaumo, qarīb ā kar sun lo! Ai ummato, dhyān do! Duniyā aur jo bhī us meṅ hai kān lagāe, zamīn aur jo kuchh us meṅ se phūṭ niklā hai tawajjuh de!
2 Kyoṅki Rab ko tamām ummatoṅ par ġhussā ā gayā hai, aur us kā ġhazab un ke tamām lashkaroṅ par nāzil ho rahā hai. Wuh unheṅ mukammal taur par tabāh karegā, inheṅ saffāk ke hawāle karegā.
3 Un ke maqtūloṅ ko bāhar phaiṅkā jāegā, aur lāshoṅ kī badbū chāroṅ taraf phailegī. Pahāṛ un ke ḳhūn se sharābor hoṅge.
4 Tamām sitāre gal jāeṅge, aur āsmān ko tūmār kī tarah lapeṭā jāegā. Sitāroṅ kā pūrā lashkar angūr ke murjhāe hue pattoṅ kī tarah jhaṛ jāegā, wuh anjīr ke daraḳht kī sūkhī hariyālī kī tarah gir jāegā.
5 Kyoṅki āsmān par merī talwār ḳhūn pī pī kar mast ho gaī hai. Dekho, ab wuh Adom par nāzil ho rahī hai tāki us kī adālat kare, us qaum kī jis kī mukammal tabāhī kā faislā maiṅ kar chukā hūṅ.
6 Rab kī talwār ḳhūnālūdā ho gaī hai, aur us se charbī ṭapaktī hai. Bheṛ-bakriyoṅ kā ḳhūn aur menḍhoṅ ke gurdoṅ kī charbī us par lagī hai, kyoṅki Rab Busrā Shahr meṅ qurbānī kī īd aur Mulk-e-Adom meṅ qatl-e-ām kā tahwār manāegā.
7 Us waqt janglī bail un ke sāth gir jāeṅge, aur bachhṛe tāqatwar sānḍoṅ samet ḳhatm ho jāeṅge. Un kī zamīn ḳhūn se mast aur ḳhāk charbī se sharābor hogī.
8 Kyoṅki wuh din ā gayā hai jab Rab badlā legā, wuh sāl jab wuh Adom se Isrāīl kā intaqām legā.
9 Adom kī nadiyoṅ meṅ tārkol hī bahegā, aur gandhak zamīn ko ḍhāṅpegī. Mulk bhaṛaktī huī rāl se bhar jāegā,
10 jis kī āg na din aur na rāt bujhegī balki hameshā tak dhuāṅ chhoṛtī rahegī. Mulk nasl-dar-nasl wīrān-o-sunsān rahegā, yahāṅ tak ki musāfir bhī hameshā tak us meṅ se guzarne se gurez kareṅge.
11 Dashtī ullū aur ḳhārpusht us par qabzā kareṅge, chinghāṛne wāle ullū aur kawwe us meṅ baserā kareṅge. Kyoṅki Rab fīte aur sāhūl se Adom kā pūrā mulk nāp nāp kar ujāṛ aur wīrānī ke hawāle karegā.
12 Us ke shurafā kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā. Kuchh nahīṅ rahegā jo bādshāhī kahlāe, mulk ke tamām ra'īs jāte raheṅge.
13 Kāṅṭedār paude us ke mahaloṅ par chhā jāeṅge, ḳhudrau paude aur ūṅṭkaṭāre us ke qilāband shahroṅ meṅ phail jāeṅge. Mulk gīdaṛ aur uqābī ullū kā ghar banegā.
14 Wahāṅ registān ke jānwar janglī kuttoṅ se mileṅge, aur bakrānumā jin ek dūsre se mulāqāt kareṅge. Līlīt nāmī āseb bhī us meṅ ṭhahregā, wahāṅ use bhī ārāmgāh milegī.
15 Mādā sāṅp us ke sāye meṅ bil banā kar us meṅ apne anḍe degī aur unheṅ se kar pālegī. Shikārī parinde bhī do do ho kar wahāṅ jamā hoṅge.
16 Rab kī kitāb meṅ paṛh kar is kī tahqīq karo! Adom meṅ yih tamām chīzeṅ mil jāeṅgī. Mulk ek se bhī mahrūm nahīṅ rahegā balki sab mil kar us meṅ pāī jāeṅgī. Kyoṅki Rab hī ke muṅh ne is kā hukm diyā hai, aur usī kā Rūh inheṅ ikaṭṭhā karegā.
17 Wuhī sārī zamīn kī paimāish karegā aur phir qurā ḍāl kar mazkūrā jāndāroṅ meṅ taqsīm karegā. Tab mulk abad tak un kī milkiyat meṅ āegā, aur wuh nasl-dar-nasl us meṅ ābād hoṅge.