49
Rab kā Paiġhambar Aqwām kā Nūr Hai
1 Ai jazīro, suno! Ai dūr-darāz qaumo, dhyān do! Rab ne mujhe paidāish se pahle hī bulāyā, merī māṅ ke peṭ se hī mere nām ko yād kartā āyā hai.
2 Us ne mere muṅh ko tez talwār banā kar mujhe apne hāth ke sāye meṅ chhupāe rakhā, mujhe tez tīr banā kar apne tarkash meṅ poshīdā rakhā hai.
3 Wuh mujh se hamkalām huā, “Tū merā ḳhādim Isrāīl hai, jis ke zariye maiṅ apnā jalāl zāhir karūṅga.”
4 Maiṅ to bolā thā, “Merī mehnat-mashaqqat besūd thī, maiṅ ne apnī tāqat befāydā aur bemaqsad zāe kar dī hai. Tāham merā haq Allāh ke hāth meṅ hai, merā Ḳhudā hī mujhe ajr degā.”
5 Lekin ab Rab mujh se hamkalām huā hai, wuh jo māṅ ke peṭ se hī mujhe is maqsad se tashkīl detā āyā hai ki maiṅ us kī ḳhidmat karke Yāqūb kī aulād ko us ke pās wāpas lāūṅ aur Isrāīl ko us ke huzūr jamā karūṅ. Rab hī ke huzūr merā ehtirām kiyā jāegā, merā Ḳhudā hī merī quwwat hogā.
6 Wuhī farmātā hai, “Tū merī ḳhidmat karke na sirf Yāqūb ke qabīle bahāl karegā aur unheṅ wāpas lāegā jinheṅ maiṅ ne mahfūz rakhā hai balki tū is se kahīṅ baṛh kar karegā. Kyoṅki maiṅ tujhe dīgar aqwām kī raushnī banā dūṅgā tāki tū merī najāt ko duniyā kī intahā tak pahuṅchāe.”
7 Rab jo Isrāīl kā Chhuṛāne Wālā aur us kā Quddūs hai us se hamkalām huā hai jise log haqīr jānte haiṅ, jis se dīgar aqwām ghin khāte haiṅ aur jo hukmrānoṅ kā ġhulām hai. Us se Rab farmātā hai, “Tujhe deḳhte hī bādshāh khaṛe ho jāeṅge aur ra'īs muṅh ke bal jhuk jāeṅge. Yih Rab kī ḳhātir hī pesh āegā jo wafādār hai aur Isrāīl ke Quddūs ke bāis hī wuqūpazīr hogā jis ne tujhe chun liyā hai.”
8 Rab farmātā hai, “Qabūliyat ke waqt maiṅ terī sunūṅgā, najāt ke din terī madad karūṅga. Tab maiṅ tujhe mahfūz rakh kar muqarrar karūṅga ki tū mere aur qaum ke darmiyān ahd bane, ki tū mulk bahāl karke tabāhshudā maurūsī zamīn ko nae sire se taqsīm kare,
9 ki tū qaidiyoṅ ko kahe, ‘Nikal āo’ aur tārīkī meṅ basne wāloṅ ko, ‘Raushnī meṅ ā jāo!’ Tab merī bheṛeṅ rāstoṅ ke kināre kināre chareṅgī, aur tamām banjar bulandiyoṅ par bhī un kī harī harī charāgāheṅ hoṅgī.
10 Na unheṅ bhūk satāegī na pyās. Na taptī garmī, na dhūp unheṅ jhulsāegī. Kyoṅki jo un par tars khātā hai wuh un kī qiyādat karke unheṅ chashmoṅ ke pās le jāegā.
11 Maiṅ pahāṛoṅ ko hamwār rāstoṅ meṅ tabdīl kar dūṅgā jabki merī shāhrāheṅ ūṅchī ho jāeṅgī.
12 Tab wuh dūr-darāz ilāqoṅ se āeṅge, kuchh shimāl se, kuchh maġhrib se, aur kuchh Misr ke junūbī shahr Aswān se bhī.”
13 Ai āsmān, ḳhushī ke nāre lagā! Ai zamīn, bāġh bāġh ho jā! Ai pahāṛo, shādmānī ke gīt gāo! Kyoṅki Rab ne apnī qaum ko tasallī dī hai, use apne musībatzadā logoṅ par tars āyā hai.
Rab Apnī Qaum ko Kabhī Nahīṅ Bhūlegā
14 Lekin Siyyūn kahtī hai, “Rab ne mujhe tark kar diyā hai, Qādir-e-mutlaq mujhe bhūl gayā hai.”
15 “Yih kaise ho saktā hai? Kyā māṅ apne shīrḳhār ko bhūl saktī hai? Jis bachche ko us ne janm diyā, kyā wuh us par tars nahīṅ khāegī? Shāyad wuh bhūl jāe, lekin maiṅ tujhe kabhī nahīṅ bhūlūṅgā!
16 Dekh, maiṅ ne tujhe apnī donoṅ hatheliyoṅ meṅ kandā kar diyā hai, terī zamīnbos dīwāreṅ hameshā mere sāmne haiṅ.
17 Jo tujhe nae sire se tāmīr karnā chāhte haiṅ wuh dauṛ kar wāpas ā rahe haiṅ jabki jin logoṅ ne tujhe ḍhā kar tabāh kiyā wuh tujh se nikal rahe haiṅ.
18 Ai Siyyūn Beṭī, nazar uṭhā kar chāroṅ taraf deḳh! Yih sab jamā ho kar tere pās ā rahe haiṅ. Merī hayāt kī qasam, yih sab tere zewarāt baneṅge jin se tū apne āp ko dulhan kī tarah ārāstā karegī.” Yih Rab kā farmān hai.
19 “Filhāl tere mulk meṅ chāroṅ taraf khanḍarāt, ujāṛ aur tabāhī nazar ātī hai, lekin āindā wuh apne bāshindoṅ kī kasrat ke bāis chhoṭā hogā. Aur jinhoṅ ne tujhe haṛap kar liyā thā wuh dūr raheṅge.
20 Pahle tū beaulād thī, lekin ab tere itne bachche hoṅge ki wuh tere pās ā kar kaheṅge, ‘Mere lie jagah kam hai, mujhe aur zamīn deṅ tāki maiṅ ārām se zindagī guzār sakūṅ.’ Tū apne kānoṅ se yih sunegī.
21 Tab tū hairān ho kar dil meṅ sochegī, ‘Kis ne yih bachche mere lie paidā kie? Maiṅ to bachchoṅ se mahrūm aur beaulād thī, mujhe jilāwatan karke haṭāyā gayā thā. Kis ne in ko pālā? Mujhe to tanhā hī chhoṛ diyā gayā thā. To phir yih kahāṅ se ā gae haiṅ’?”
22 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Dekh, maiṅ dīgar qaumoṅ ko hāth se ishārā de kar un ke sāmne apnā jhanḍā gāṛ dūṅgā. Tab wuh tere beṭoṅ ko uṭhā kar apne bāzuoṅ meṅ wāpas le āeṅge aur terī beṭiyoṅ ko kandhe par biṭhā kar tere pās pahuṅchāeṅge.
23 Bādshāh tere bachchoṅ kī dekh-bhāl kareṅge, aur rāniyāṅ un kī dāiyāṅ hoṅgī. Wuh muṅh ke bal jhuk kar tere pāṅwoṅ kī ḳhāk chāṭeṅge. Tab tū jān legī ki maiṅ hī Rab hūṅ, ki jo bhī mujh se ummīd rakhe wuh kabhī sharmindā nahīṅ hogā.”
24 Kyā sūrme kā lūṭā huā māl us ke hāth se chhīnā jā saktā hai? Yā kyā zālim ke qaidī us ke qabze se chhūṭ sakte haiṅ? Mushkil hī se.
25 Lekin Rab farmātā hai, “Yaqīnan sūrme kā qaidī us ke hāth se chhīn liyā jāegā aur zālim kā lūṭā huā māl us ke qabze se chhūṭ jāegā. Jo tujh se jhagaṛe us ke sāth maiṅ ḳhud jhagaṛūṅgā, maiṅ hī tere bachchoṅ ko najāt dūṅgā.
26 Jinhoṅ ne tujh par zulm kiyā unheṅ maiṅ un kā apnā gosht khilāūṅgā, un kā apnā ḳhūn yoṅ pilāūṅgā ki wuh use naī mai kī tarah pī pī kar mast ho jāeṅge. Tab tamām insān jān leṅge ki maiṅ Rab terā Najātdahindā, terā Chhuṛāne Wālā aur Yāqūb kā Zabardast Sūrmā hūṅ.”