21
Ayyūb: Bahut Dafā Bedīnoṅ ko Sazā Nahīṅ Miltī
Phir Ayyūb ne jawāb meṅ kahā,
“Dhyān se mere alfāz suno! Yihī karne se mujhe tasallī do! Jab tak maiṅ apnī bāt pesh na karūṅ mujhe bardāsht karo, is ke bād agar chāho to merā mazāq uṛāo. Kyā maiṅ kisī insān se ehtijāj kar rahā hūṅ? Hargiz nahīṅ! To phir kyā ajab ki merī rūh itnī tang ā gaī hai. Mujh par nazar ḍālo to tumhāre roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge aur tum hairānī se apnā hāth muṅh par rakhoge.
Jab kabhī mujhe wuh ḳhayāl yād ātā hai jo maiṅ pesh karnā chāhtā hūṅ to maiṅ dahshatzadā ho jātā hūṅ, mere jism par thartharāhaṭ tārī ho jātī hai. Ḳhayāl yih hai ki bedīn kyoṅ jīte rahte haiṅ? Na sirf wuh umrrasīdā ho jāte balki un kī tāqat baṛhtī rahtī hai.
Un ke bachche un ke sāmne qāym ho jāte, un kī aulād un kī āṅkhoṅ ke sāmne mazbūt ho jātī hai. Un ke ghar mahfūz haiṅ. Na koī chīz unheṅ ḍarātī, na Allāh kī sazā un par nāzil hotī hai. 10 Un kā sānḍ nasl baṛhāne meṅ kabhī nākām nahīṅ hotā, un kī gāy waqt par janm detī, aur us ke bachche kabhī zāe nahīṅ hote.
11 Wuh apne bachchoṅ ko bāhar khelne ke lie bhejte haiṅ to wuh bheṛ-bakriyoṅ ke rewaṛ kī tarah ghar se nikalte haiṅ. Un ke laṛke kūdte phāṅdte nazar āte haiṅ. 12 Wuh daf aur sarod bajā kar gīt gāte aur bāṅsrī kī surīlī āwāz nikāl kar apnā dil bahlāte haiṅ. 13 Un kī zindagī ḳhushhāl rahtī hai, wuh har din se pūrā lutf uṭhāte aur āḳhirkār baṛe sukūn se Pātāl meṅ utar jāte haiṅ.
14 Aur yih wuh log haiṅ jo Allāh se kahte haiṅ, ‘Ham se dūr ho jā, ham terī rāhoṅ ko jānanā nahīṅ chāhte. 15 Qādir-e-mutlaq kaun hai ki ham us kī ḳhidmat kareṅ? Us se duā karne se hameṅ kyā fāydā hogā?’ 16 Kyā un kī ḳhushhālī un ke apne hāth meṅ nahīṅ hotī? Kyā bedīnoṅ ke mansūbe Allāh se dūr nahīṅ rahte?
17 Aisā lagtā hai ki bedīnoṅ kā charāġh kabhī nahīṅ bujhtā. Kyā un par kabhī musībat ātī hai? Kyā Allāh kabhī qahr meṅ ā kar un par wuh tabāhī nāzil kartā hai jo un kā munāsib hissā hai? 18 Kyā hawā ke jhoṅke kabhī unheṅ bhūse kī tarah aur āṅdhī kabhī unheṅ tūṛī kī tarah uṛā le jātī hai? Afsos, aisā nahīṅ hotā. 19 Shāyad tum kaho, ‘Allāh unheṅ sazā dene ke bajāe un ke bachchoṅ ko sazā degā.’ Lekin maiṅ kahtā hūṅ ki use bāp ko hī sazā denī chāhie tāki wuh apne gunāhoṅ kā natījā ḳhūb jān le. 20 Us kī apnī hī āṅkheṅ us kī tabāhī dekheṅ, wuh ḳhud Qādir-e-mutlaq ke ġhazab kā pyālā pī le. 21 Kyoṅki jab us kī zindagī ke muqarrarā din iḳhtitām tak pahuṅcheṅ to use kyā parwā hogī ki mere bād ghar wāloṅ ke sāth kyā hogā.
22 Lekin kaun Allāh ko ilm sikhā saktā hai? Wuh to bulandiyoṅ par rahne wāloṅ kī bhī adālat kartā hai. 23 Ek shaḳhs wafāt pāte waqt ḳhūb tandurust hotā hai. Jīte-jī wuh baṛe sukūn aur itmīnān se zindagī guzār sakā. 24 Us ke bartan dūdh se bhare rahe, us kī haḍḍiyoṅ kā gūdā tar-o-tāzā rahā. 25 Dūsrā shaḳhs shikastā hālat meṅ mar jātā hai aur use kabhī ḳhushhālī kā lutf nasīb nahīṅ huā. 26 Ab donoṅ mil kar ḳhāk meṅ paṛe rahte haiṅ, donoṅ kīṛe-makoṛoṅ se ḍhāṅpe rahte haiṅ.
27 Suno, maiṅ tumhāre ḳhayālāt aur un sāzishoṅ se wāqif hūṅ jin se tum mujh par zulm karnā chāhte ho. 28 Kyoṅki tum kahte ho, ‘Raīs kā ghar kahāṅ hai? Wuh ḳhaimā kidhar gayā jis meṅ bedīn baste the? Wuh apne gunāhoṅ ke sabab se hī tabāh ho gae haiṅ.’ 29 Lekin un se pūchh lo jo idhar-udhar safr karte rahte haiṅ. Tumheṅ un kī gawāhī taslīm karnī chāhie 30 ki āfat ke din sharīr ko sahīh-salāmat chhoṛā jātā hai, ki ġhazab ke din use rihāī miltī hai.
31 Kaun us ke rūbarū us ke chāl-chalan kī malāmat kartā, kaun use us ke ġhalat kām kā munāsib ajr detā hai? 32 Log us ke janāze meṅ sharīk ho kar use qabr tak le jāte haiṅ. Us kī qabr par chaukīdār lagāyā jātā hai. 33 Wādī kī miṭṭī ke ḍhele use mīṭhe lagte haiṅ. Janāze ke pīchhe pīchhe tamām duniyā, us ke āge āge anginat hujūm chaltā hai. 34 Chunāṅche tum mujhe abas bātoṅ se kyoṅ tasallī de rahe ho? Tumhāre jawāboṅ meṅ tumhārī bewafāī hī nazar ātī hai.”