25
Bildad: Allāh ke sāmne Koī Rāstbāz Nahīṅ Ṭhahar Saktā
Phir Bildad Sūḳhī ne jawāb de kar kahā,
“Allāh kī hukūmat dahshatnāk hai. Wuhī apnī bulandiyoṅ par salāmatī qāym rakhtā hai. Kyā koī us ke dastoṅ kī tādād gin saktā hai? Us kā nūr kis par nahīṅ chamaktā? To phir insān Allāh ke sāmne kis tarah rāstbāz ṭhahar saktā hai? Jo aurat se paidā huā wuh kis tarah pāk-sāf sābit ho saktā hai? Us kī nazar meṅ na chāṅd purnūr hai, na sitāre pāk haiṅ. To phir insān kis tarah pāk ṭhahar saktā hai jo kīṛā hī hai? Ādamzād to makoṛā hī hai.”