8
Bildad kā Jawāb: Apne Gunāh se Taubā Kar!
Tab Bildad Sūḳhī ne jawāb de kar kahā,
“Tū kab tak is qism kī bāteṅ karegā? Kab tak tere muṅh se āṅdhī ke jhoṅke nikleṅge? Kyā Allāh insāf kā ḳhūn kar saktā, kyā Qādir-e-mutlaq rāstī ko āge pīchhe kar saktā hai? Tere beṭoṅ ne us kā gunāh kiyā hai, is lie us ne unheṅ un ke jurm ke qabze meṅ chhoṛ diyā. Ab tere lie lāzim hai ki tū Allāh kā tālib ho aur Qādir-e-mutlaq se iltijā kare, ki tū pāk ho aur sīdhī rāh par chale. Phir wuh ab bhī terī ḳhātir josh meṅ ā kar terī rāstbāzī kī sukūnatgāh ko bahāl karegā. Tab terā mustaqbil nihāyat azīm hogā, ḳhāh terī ibtidāī hālat kitnī past kyoṅ na ho.
Guzashtā nasl se zarā pūchh le, us par dhyān de jo un ke bāpdādā ne tahqīqāt ke bād mālūm kiyā. Kyoṅki ham ḳhud kal hī paidā hue aur kuchh nahīṅ jānte, zamīn par hamāre din sāye jaise ārizī haiṅ. 10 Lekin yih tujhe tālīm de kar bāt batā sakte haiṅ, yih tujhe apne dil meṅ jamāshudā ilm pesh kar sakte haiṅ. 11 Kyā ābī narsal wahāṅ ugtā hai jahāṅ daldal nahīṅ? Kyā sarkanḍā wahāṅ phaltā-phūltā hai jahāṅ pānī nahīṅ? 12 Us kī koṅpleṅ abhī nikal rahī haiṅ aur use toṛā nahīṅ gayā ki agar pānī na mile to bāqī hariyālī se pahle hī sūkh jātā hai. 13 Yih hai un kā anjām jo Allāh ko bhūl jāte haiṅ, isī tarah bedīn kī ummīd jātī rahtī hai. 14 Jis par wuh etamād kartā hai wuh nihāyat hī nāzuk hai, jis par us kā bharosā hai wuh makaṛī ke jāle jaisā kamzor hai. 15 Jab wuh jāle par ṭek lagāe to khaṛā nahīṅ rahtā, jab use pakaṛ le to qāym nahīṅ rahtā.
16 Bedīn dhūp meṅ shādāb bel kī mānind hai. Us kī koṅpleṅ chāroṅ taraf phail jātī, 17 us kī jaṛeṅ patthar ke ḍher par chhā kar un meṅ ṭik jātī haiṅ. 18 Lekin agar use ukhāṛā jāe to jis jagah pahle ug rahī thī wuh us kā inkār karke kahegī, ‘Maiṅ ne tujhe kabhī dekhā bhī nahīṅ.’ 19 Yih hai us kī rāh kī nām-nihād ḳhushī! Jahāṅ pahle thā wahāṅ dīgar paude zamīn se phūṭ nikleṅge.
20 Yaqīnan Allāh be'ilzām ādmī ko mustarad nahīṅ kartā, yaqīnan wuh sharīr ādmī ke hāth mazbūt nahīṅ kartā. 21 Wuh ek bār phir tujhe aisī ḳhushī baḳhshegā ki tū haṅs uṭhegā aur shādmānī ke nāre lagāegā. 22 Jo tujh se nafrat karte haiṅ wuh sharm se mulabbas ho jāeṅge, aur bedīnoṅ ke ḳhaime nest-o-nābūd hoṅge.”