2
Rab kā Farishtā Isrāīl ko Malāmat Kartā Hai
1 Rab kā farishtā Jiljāl se chaṛh kar bokīm pahuṅchā. Wahāṅ us ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Maiṅ tumheṅ Misr se nikāl kar us mulk meṅ lāyā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar tumhāre bāpdādā se kiyā thā. Us waqt maiṅ ne kahā ki maiṅ tumhāre sāth apnā ahd kabhī nahīṅ toṛūṅgā.
2 Aur maiṅ ne hukm diyā, ‘Is mulk kī qaumoṅ ke sāth ahd mat bāndhnā balki un kī qurbāngāhoṅ ko girā denā.’ Lekin tum ne merī na sunī. Yih tum ne kyā kiyā?
3 Is lie ab maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki maiṅ unheṅ tumhāre āge se nahīṅ nikālūṅgā. Wuh tumhāre pahluoṅ meṅ kāṅṭe baneṅge, aur un ke dewatā tumhāre lie phandā bane raheṅge.”
4 Rab ke farishte kī yih bāt sun kar Isrāīlī ḳhūb roe.
5 Yihī wajah hai ki us jagah kā nām bokīm yānī Rone Wāle paṛ gayā. Phir unhoṅ ne wahāṅ Rab ke huzūr qurbāniyāṅ pesh kīṅ.
Isrāīl Bewafā Ho Jātā Hai
6 Yashua ke qaum ko ruḳhsat karne ke bād har ek qabīlā apne ilāqe par qabzā karne ke lie rawānā huā thā.
7 Jab tak Yashua aur wuh buzurg zindā rahe jinhoṅ ne wuh azīm kām dekhe hue the jo Rab ne Isrāīliyoṅ ke lie kie the us waqt tak Isrāīlī Rab kī wafādārī se ḳhidmat karte rahe.
8 Phir Rab kā ḳhādim Yashua bin Nūn intaqāl kar gayā. Us kī umr 110 sāl thī.
9 Use Timnat-haris meṅ us kī apnī maurūsī zamīn meṅ dafnāyā gayā. (Yih shahr Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ jās pahāṛ ke shimāl meṅ hai.)
10 Jab hamasar Isrāīlī sab mar kar apne bāpdādā se jā mile to naī nasl ubhar āī jo na to Rab ko jāntī, na un kāmoṅ se wāqif thī jo Rab ne Isrāīl ke lie kie the.
11 Us waqt wuh aisī harkateṅ karne lage jo Rab ko burī lagīṅ. Unhoṅ ne Bāl Dewatā ke butoṅ kī pūjā karke
12 Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ko tark kar diyā jo unheṅ Misr se nikāl lāyā thā. Wuh gird-o-nawāh kī qaumoṅ ke dīgar mābūdoṅ ke pīchhe lag gae aur un kī pūjā bhī karne lage. Is se Rab kā ġhazab un par bhaṛkā,
13 kyoṅki unhoṅ ne us kī ḳhidmat chhoṛ kar Bāl Dewatā aur Astārāt Dewī kī pūjā kī.
14 Rab yih dekh kar Isrāīliyoṅ se nārāz huā aur unheṅ ḍākuoṅ ke hawāle kar diyā jinhoṅ ne un kā māl lūṭā. Us ne unheṅ irdgird ke dushmanoṅ ke hāth bech ḍālā, aur wuh un kā muqābalā karne ke qābil na rahe.
15 Jab bhī Isrāīlī laṛne ke lie nikle to Rab kā hāth un ke ḳhilāf thā. Natījatan wuh hārte gae jis tarah us ne qasam khā kar farmāyā thā.
Jab wuh is tarah baṛī musībat meṅ the
16 to Rab un ke darmiyān qāzī barpā kartā jo unheṅ lūṭne wāloṅ ke hāth se bachāte.
17 Lekin wuh un kī na sunte balki zinā karke dīgar mābūdoṅ ke pīchhe lage aur un kī pūjā karte rahte. Go un ke bāpdādā Rab ke ahkām ke tābe rahe the, lekin wuh ḳhud baṛī jaldī se us rāh se haṭ jāte jis par un ke bāpdādā chale the.
18 Lekin jab bhī wuh dushman ke zulm aur dabāw tale karāhne lagte to Rab ko un par tars ā jātā, aur wuh kisī qāzī ko barpā kartā aur us kī madad karke unheṅ bachātā.
Jitne arse tak qāzī zindā rahtā utnī der tak Isrāīlī dushmanoṅ ke hāth se mahfūz rahte.
19 Lekin us ke marne par wuh dubārā apnī purānī rāhoṅ par chalne lagte, balki jab wuh muṛ kar dīgar mābūdoṅ kī pairawī aur pūjā karne lagte to un kī rawish bāpdādā kī rawish se bhī burī hotī. Wuh apnī sharīr harkatoṅ aur haṭdharm rāhoṅ se bāz āne ke lie taiyār hī na hote.
20 Is lie Allāh ko Isrāīl par baṛā ġhussā āyā. Us ne kahā, “Is qaum ne wuh ahd toṛ diyā hai jo maiṅ ne is ke bāpdādā se bāndhā thā. Yih merī nahīṅ suntī,
21 is lie maiṅ un qaumoṅ ko nahīṅ nikālūṅgā jo Yashua kī maut se le kar āj tak mulk meṅ rah gaī haiṅ. Yih qaumeṅ is meṅ ābād raheṅgī,
22 aur maiṅ un se Isrāīliyoṅ ko āzmā kar dekhūṅgā ki āyā wuh apne bāpdādā kī tarah Rab kī rāh par chaleṅge yā nahīṅ.”
23 Chunāṅche Rab ne in qaumoṅ ko na Yashua ke hawāle kiyā, na fauran nikālā balki unheṅ mulk meṅ hī rahne diyā.