12
Īsā ko Bait-aniyāh meṅ Masah Kiyā Jātā Hai
Fasah kī Īd meṅ abhī chhih din bāqī the ki Īsā Bait-aniyāh pahuṅchā. Yih wuh jagah thī jahāṅ us Lāzar kā ghar thā jise Īsā ne murdoṅ meṅ se zindā kiyā thā. Wahāṅ us ke lie ek ḳhās khānā banāyā gayā. Marthā khāne wāloṅ kī ḳhidmat kar rahī thī jabki Lāzar Īsā aur bāqī mehmānoṅ ke sāth khāne meṅ sharīk thā. Phir Mariyam ne ādhā liṭar ḳhālis jaṭāmāsī kā nihāyat qīmtī itr le kar Īsā ke pāṅwoṅ par unḍel diyā aur unheṅ apne bāloṅ se poṅchh kar ḳhushk kiyā. Ḳhushbū pūre ghar meṅ phail gaī. Lekin Īsā ke shāgird Yahūdāh Iskariyotī ne etarāz kiyā. (Bād meṅ usī ne Īsā ko dushman ke hawāle kar diyā.) Us ne kahā, “Is itr kī qīmat chāṅdī ke 300 sikke thī. Ise kyoṅ nahīṅ bechā gayā tāki is ke paise ġharīboṅ ko die jāte?” Us ne yih bāt is lie nahīṅ kī ki use ġharīboṅ kī fikr thī. Asal meṅ wuh chor thā. Wuh shāgirdoṅ kā ḳhazāṅchī thā aur jamāshudā paisoṅ meṅ se baddiyānatī kartā rahtā thā.
Lekin Īsā ne kahā, “Use chhoṛ de! Us ne merī tadfīn kī taiyārī ke lie yih kiyā hai. Ġharīb to hameshā tumhāre pās raheṅge, lekin maiṅ hameshā tumhāre pās nahīṅ rahūṅgā.”
Lāzar ke ḳhilāf Mansūbābandī
Itne meṅ Yahūdiyoṅ kī baṛī tādād ko mālūm huā ki Īsā wahāṅ hai. Wuh na sirf Īsā se milne ke lie āe balki Lāzar se bhī jise us ne murdoṅ meṅ se zindā kiyā thā. 10 Is lie rāhnumā imāmoṅ ne Lāzar ko bhī qatl karne kā mansūbā banāyā. 11 Kyoṅki us kī wajah se bahut-se Yahūdī un meṅ se chale gae aur Īsā par īmān le āe the.
Yarūshalam meṅ Īsā kā Purjosh Istiqbāl
12 Agle din īd ke lie āe hue logoṅ ko patā chalā ki Īsā Yarūshalam ā rahā hai. Ek baṛā hujūm 13 khajūr kī ḍāliyāṅ pakaṛe shahr se nikal kar us se milne āyā. Chalte chalte wuh chillā kar nāre lagā rahe the,
“Hoshānā! *
Mubārak hai wuh jo Rab ke nām se ātā hai!
Isrāīl kā Bādshāh mubārak hai!”
14 Īsā ko kahīṅ se ek jawān gadhā mil gayā aur wuh us par baiṭh gayā, jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai,
15 “Ai Siyyūn Beṭī, mat ḍar!
Dekh, terā bādshāh gadhe ke bachche par sawār ā rahā hai.”
16 Us waqt us ke shāgirdoṅ ko is bāt kī samajh na āī. Lekin bād meṅ jab Īsā apne jalāl ko pahuṅchā to unheṅ yād āyā ki logoṅ ne us ke sāth yih kuchh kiyā thā aur wuh samajh gae ki kalām-e-muqaddas meṅ is kā zikr bhī hai.
17 Jo hujūm us waqt Īsā ke sāth thā jab us ne Lāzar ko murdoṅ meṅ se zindā kiyā thā, wuh dūsroṅ ko is ke bāre meṅ batātā rahā thā. 18 Isī wajah se itne log Īsā se milne ke lie āe the, unhoṅ ne us ke is ilāhī nishān ke bāre meṅ sunā thā. 19 Yih dekh kar Farīsī āpas meṅ kahne lage, “Āp dekh rahe haiṅ ki bāt nahīṅ ban rahī. Dekho, tamām duniyā us ke pīchhe ho lī hai.”
Kuchh Yūnānī Īsā ko Talāsh Karte Haiṅ
20 Kuchh Yūnānī bhī un meṅ the jo Fasah kī Īd ke mauqe par parastish karne ke lie āe hue the. 21 Ab wuh Filippus se milne āe jo Galīl ke Bait-saidā se thā. Unhoṅ ne kahā, “Janāb, ham Īsā se milnā chāhte haiṅ.”
22 Filippus ne Andriyās ko yih bāt batāī aur phir wuh mil kar Īsā ke pās gae aur use yih ḳhabar pahuṅchāī. 23 Lekin Īsā ne jawāb diyā, “Ab waqt ā gayā hai ki Ibn-e-Ādam ko jalāl mile. 24 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jab tak gandum kā dānā zamīn meṅ gir kar mar na jāe wuh akelā hī rahtā hai. Lekin jab wuh mar jātā hai to bahut-sā phal lātā hai. 25 Jo apnī jān ko pyār kartā hai wuh use kho degā, aur jo is duniyā meṅ apnī jān se dushmanī rakhtā hai wuh use abad tak mahfūz rakhegā. 26 Agar koī merī ḳhidmat karnā chāhe to wuh mere pīchhe ho le, kyoṅki jahāṅ maiṅ hūṅ wahāṅ merā ḳhādim bhī hogā. Aur jo merī ḳhidmat kare merā Bāp us kī izzat karegā.
Īsā Apnī Maut kā Zikr Kartā Hai
27 Ab merā dil muztarib hai. Maiṅ kyā kahūṅ? Kyā maiṅ kahūṅ, ‘Ai Bāp, mujhe is waqt se bachāe raḳh’? Nahīṅ, maiṅ to isī lie āyā hūṅ. 28 Ai Bāp, apne nām ko jalāl de.”
Tab āsmān se ek āwāz sunāī dī, “Maiṅ use jalāl de chukā hūṅ aur dubārā bhī jalāl dūṅgā.”
29 Hujūm ke jo log wahāṅ khaṛe the unhoṅ ne yih sun kar kahā, “Bādal garaj rahe haiṅ.” Auroṅ ne ḳhayāl pesh kiyā, “Koī farishtā us se hamkalām huā hai.”
30 Īsā ne unheṅ batāyā, “Yih āwāz mere wāste nahīṅ balki tumhāre wāste thī. 31 Ab duniyā kī adālat karne kā waqt ā gayā hai, ab duniyā ke hukmrān ko nikāl diyā jāegā. 32 Aur maiṅ ḳhud zamīn se ūṅche par chaṛhāe jāne ke bād sab ko apne pās khīṅch lūṅgā.” 33 In alfāz se us ne is taraf ishārā kiyā ki wuh kis tarah kī maut maregā.
34 Hujūm bol uṭhā, “Kalām-e-muqaddas se ham ne sunā hai ki Masīh abad tak qāym rahegā. To phir āp kī yih kaisī bāt hai ki Ibn-e-Ādam ko ūṅche par chaṛhāyā jānā hai? Āḳhir Ibn-e-Ādam hai kaun?”
35 Īsā ne jawāb diyā, “Nūr thoṛī der aur tumhāre pās rahegā. Jitnī der wuh maujūd hai is nūr meṅ chalte raho tāki tārīkī tum par chhā na jāe. Jo andhere meṅ chaltā hai use nahīṅ mālūm ki wuh kahāṅ jā rahā hai. 36 Nūr ke tumhāre pās se chale jāne se pahle pahle us par īmān lāo tāki tum nūr ke farzand ban jāo.”
Log Īmān Nahīṅ Rakhte
Yih kahne ke bād Īsā chalā gayā aur ġhāyb ho gayā. 37 Agarche Īsā ne yih tamām ilāhī nishān un ke sāmne hī dikhāe to bhī wuh us par īmān na lāe. 38 Yoṅ Yasāyāh Nabī kī peshgoī pūrī huī,
“Ai Rab, kaun hamāre paiġhām par īmān lāyā?
Aur Rab kī qudrat kis par zāhir huī?”
39 Chunāṅche wuh īmān na lā sake, jis tarah Yasāyāh Nabī ne kahīṅ aur farmāyā hai,
40 “Allāh ne un kī āṅkhoṅ ko andhā
aur un ke dil ko behis kar diyā hai,
aisā na ho ki wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅ,
apne dil se samjheṅ,
merī taraf rujū kareṅ
aur maiṅ unheṅ shifā dūṅ.”
41 Yasāyāh ne yih is lie farmāyā kyoṅki us ne Īsā kā jalāl dekh kar us ke bāre meṅ bāt kī.
42 To bhī bahut-se log Īsā par īmān rakhte the. Un meṅ kuchh rāhnumā bhī shāmil the. Lekin wuh is kā alāniyā iqrār nahīṅ karte the, kyoṅki wuh ḍarte the ki Farīsī hameṅ Yahūdī jamāt se ḳhārij kar deṅge. 43 Asal meṅ wuh Allāh kī izzat kī nisbat insān kī izzat ko zyādā azīz rakhte the.
Īsā kā Kalām Logoṅ kī Adālat Karegā
44 Phir Īsā pukār uṭhā, “Jo mujh par īmān rakhtā hai wuh na sirf mujh par balki us par īmān rakhtā hai jis ne mujhe bhejā hai. 45 Aur jo mujhe deḳhtā hai wuh use deḳhtā hai jis ne mujhe bhejā hai. 46 Maiṅ nūr kī haisiyat se is duniyā meṅ āyā hūṅ tāki jo bhī mujh par īmān lāe wuh tārīkī meṅ na rahe. 47 Jo merī bāteṅ sun kar un par amal nahīṅ kartā maiṅ us kī adālat nahīṅ karūṅga, kyoṅki maiṅ duniyā kī adālat karne ke lie nahīṅ āyā balki use najāt dene ke lie. 48 To bhī ek hai jo us kī adālat kartā hai. Jo mujhe radd karke merī bāteṅ qabūl nahīṅ kartā merā pesh kiyā gayā kalām hī qiyāmat ke din us kī adālat karegā. 49 Kyoṅki jo kuchh maiṅ ne bayān kiyā hai wuh merī taraf se nahīṅ hai. Mere bhejne wāle Bāp hī ne mujhe hukm diyā ki kyā kahnā aur kyā sunānā hai. 50 Aur maiṅ jāntā hūṅ ki us kā hukm abadī zindagī tak pahuṅchātā hai. Chunāṅche jo kuchh maiṅ sunātā hūṅ wuhī kuchh hai jo Bāp ne mujhe batāyā hai.”
* 12:13 Hoshānā (Ibrānī: Mehrbānī karke hameṅ bachā). Yahāṅ is meṅ hamd-o-sanā kā unsur bhī pāyā jātā hai.