2
Allāh kī Jawān Isrāīl ke lie Fikr
Rab kā kalām mujh par nāzil huā, “Jā, zor se Yarūshalam ke kān meṅ pukār ki Rab farmātā hai, ‘Mujhe terī jawānī kī wafādārī ḳhūb yād hai. Jab terī shādī qarīb āī to tū mujhe kitnā pyār kartī thī, yahāṅ tak ki tū registān meṅ bhī jahāṅ khetībāṛī nāmumkin thī mere pīchhe pīchhe chaltī rahī. Us waqt Isrāīl Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas thā, wuh us kī fasal kā pahlā phal thā. Jis ne bhī us meṅ se kuchh khāyā wuh mujrim ṭhahrā, aur us par āfat nāzil huī. Yih Rab kā farmān hai.’ ”
Isrāīl ke Bāpdādā ke Gunāh
Ai Yāqūb kī aulād, Rab kā kalām suno! Ai Isrāīl ke tamām gharāno, dhyān do! Rab farmātā hai, “Tumhāre bāpdādā ne mujh meṅ kaun-sī nāinsāfī pāī ki mujh se itne dūr ho gae. Hech butoṅ ke pīchhe ho kar wuh ḳhud hech ho gae. Unhoṅ ne pūchhā tak nahīṅ ki Rab kahāṅ hai jo hameṅ Misr se nikāl lāyā aur registān meṅ sahīh rāh dikhāī, go wuh ilāqā wīrān-o-sunsān thā. Har taraf ghāṭiyoṅ, pānī kī saḳht kamī aur tārīkī kā sāmnā karnā paṛā. Na koī us meṅ se guzartā, na koī wahāṅ rahtā hai. Maiṅ to tumheṅ bāġhoṅ se bhare mulk meṅ lāyā tāki tum us ke phal aur achchhī paidāwār se lutfandoz ho sako. Lekin tum ne kyā kiyā? Mere mulk meṅ dāḳhil hote hī tum ne use nāpāk kar diyā, aur maiṅ apnī maurūsī milkiyat se ghin khāne lagā. Na imāmoṅ ne pūchhā ki Rab kahāṅ hai, na sharīat ko amal meṅ lāne wāle mujhe jānte the. Qaum ke gallābān mujh se bewafā hue, aur nabī befāydā butoṅ ke pīchhe lag kar Bāl Dewatā ke paiġhāmāt sunāne lage.”
Rab kā Apnī Qaum ke ḳhilāf Muqaddamā
Rab farmātā hai, “Isī wajah se maiṅ āindā bhī adālat meṅ tumhāre sāth laṛūṅgā. Hāṅ, na sirf tumhāre sāth balki tumhārī āne wālī nasloṅ ke sāth bhī. 10 Jāo, samundar ko pār karke Jazīrā-e-Qubrus kī taftīsh karo! Apne qāsidoṅ ko Mulk-e-Qīdār meṅ bhej kar ġhaur se dariyāft karo ki kyā wahāṅ kabhī yahāṅ kā-sā kām huā hai? 11 Kyā kisī qaum ne kabhī apne dewatāoṅ ko tabdīl kiyā, go wuh haqīqat meṅ Ḳhudā nahīṅ haiṅ? Hargiz nahīṅ! Lekin merī qaum apnī shān-o-shaukat ke Ḳhudā ko chhoṛ kar befāydā butoṅ kī pūjā karne lagī hai.” 12 Rab farmātā hai, “Ai āsmān, yih dekh kar haibatzadā ho jā, tere roṅgṭe khaṛe ho jāeṅ, hakkā-bakkā rah jā! 13 Kyoṅki merī qaum se do sangīn jurm sarzad hue haiṅ. Ek, unhoṅ ne mujhe tark kiyā, go maiṅ zindagī ke pānī kā sarchashmā hūṅ. Dūsre, unhoṅ ne apne zātī hauz banāe haiṅ jo darāṛoṅ kī wajah se bhar hī nahīṅ sakte.
Isrāīl kī Bewafāī ke Natāyj
14 Kyā Isrāīl ibtidā se hī ġhulām hai? Kyā us ke wālidain ġhulām the ki wuh ab tak ġhulām hai? Hargiz nahīṅ! To phir wuh kyoṅ dūsroṅ kā lūṭā huā māl ban gayā hai? 15 Jawān sherbabar dahāṛte hue us par ṭūṭ paṛe haiṅ, garajte garajte unhoṅ ne Mulk-e-Isrāīl ko barbād kar diyā hai. Us ke shahr nazar-e-ātish ho kar wīrān-o-sunsān ho gae haiṅ. 16 Sāth sāth Memfis aur Tahfanhīs ke log bhī tere sar ko munḍwā rahe haiṅ.
17 Ai Isrāīlī qaum, kyā yih tere ġhalat kām kā natījā nahīṅ? Kyoṅki tū ne Rab apne Ḳhudā ko us waqt tark kiyā jab wuh terī rāhnumāī kar rahā thā. 18 Ab mujhe batā ki Misr ko jā kar Dariyā-e-Nīl kā pānī pīne kā kyā fāydā? Mulk-e-Asūr meṅ jā kar Dariyā-e-Furāt kā pānī pīne se kyā hāsil? 19 Terā ġhalat kām tujhe sazā de rahā hai, terī bewafā harkateṅ hī terī sarzanish kar rahī haiṅ. Chunāṅche jān le aur dhyān de ki Rab apne Ḳhudā ko chhoṛ kar us kā ḳhauf na mānane kā phal kitnā burā aur kaṛwā hai.” Yih Qādir-e-mutlaq Rabbul-afwāj kā farmān hai.
20 “Kyoṅki shurū se hī tū apne jue aur rassoṅ ko toṛ kar kahtī rahī, ‘Maiṅ terī ḳhidmat nahīṅ karūṅgī!’ Tū har bulandī par aur har ghane daraḳht ke sāye meṅ leṭ kar ismatfaroshī kartī rahī. 21 Pahle tū angūr kī maḳhsūs aur qābil-e-etamād nasl kī panīrī thī jise maiṅ ne ḳhud zamīn meṅ lagāyā. To yih kyā huā ki tū bigaṛ kar janglī * bel ban gaī? 22 Ab tere qusūr kā dāġh utar nahīṅ saktā, ḳhāh tū kitnā khārī soḍā aur sābun kyoṅ na istemāl kare.” Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
23 “Tū kis tarah yih kahne kī jurrat kar saktī hai ki maiṅ ne apne āp ko ālūdā nahīṅ kiyā, maiṅ Bāl dewatāoṅ ke pīchhe nahīṅ gaī. Wādī meṅ apnī harkatoṅ par to ġhaur kar! Jān le ki tujh se kyā kuchh sarzad huā hai. Tū bemaqsad idhar-udhar bhāgne wālī ūṅṭnī hai. 24 Balki tū registān meṅ rahne kī ādī gadhī hī hai jo shahwat ke māre hāṅptī hai. Mastī ke is ālam meṅ kaun us par qābū pā saktā hai? Jo bhī us se milnā chāhe use zyādā jidd-o-jahd kī zarūrat nahīṅ, kyoṅki mastī ke mausam meṅ wuh har ek ke lie hāzir hai. 25 Ai Isrāīl, itnā na dauṛ ki tere jūte ghis kar phaṭ jāeṅ aur terā galā ḳhushk ho jāe. Lekin afsos, tū bazid hai, ‘Nahīṅ, mujhe chhoṛ de! Maiṅ ajnabī mābūdoṅ ko pyār kartī hūṅ, aur lāzim hai ki maiṅ un ke pīchhe bhāgtī jāūṅ.’
26 Suno! Isrāīlī qaum ke tamām afrād un ke bādshāhoṅ, afsaroṅ, imāmoṅ aur nabiyoṅ samet sharmindā ho jāeṅge. Wuh pakaṛe hue chor kī-sī sharm mahsūs kareṅge. 27 Yih log lakaṛī ke but se kahte haiṅ, ‘Tū merā bāp hai’ aur patthar ke dewatā se, ‘Tū ne mujhe janm diyā.’ Lekin go yih merī taraf rujū nahīṅ karte balki apnā muṅh mujh se pher kar chalte haiṅ to bhī jyoṅ hī koī āfat un par ā jāe to yih mujh se iltijā karne lagte haiṅ ki ā kar hameṅ bachā! 28 Ab yih but kahāṅ haiṅ jo tū ne apne lie banāe? Wuhī khaṛe ho kar dikhāeṅ ki tujhe musībat se bachā sakte haiṅ. Ai Yahūdāh, āḳhir jitne tere shahr haiṅ utne tere dewatā bhī haiṅ.” 29 Rab farmātā hai, “Tum mujh par kyoṅ ilzām lagāte ho? Tum to sab mujh se bewafā ho gae ho. 30 Maiṅ ne tumhāre bachchoṅ ko sazā dī, lekin befāydā. Wuh merī tarbiyat qabūl nahīṅ karte. Balki tum ne phāṛne wāle sherbabar kī tarah apne nabiyoṅ par ṭūṭ kar unheṅ talwār se qatl kiyā.
31 Ai maujūdā nasl, Rab ke kalām par dhyān do! Kyā maiṅ Isrāīl ke lie registān yā tārīktarīn ilāqe kī mānind thā? Merī qaum kyoṅ kahtī hai, ‘Ab ham āzādī se idhar-udhar phir sakte haiṅ, āindā ham tere huzūr nahīṅ āeṅge?’ 32 Kyā kuṅwārī kabhī apne zewarāt ko bhūl saktī hai, yā dulhan apnā urūsī libās? Hargiz nahīṅ! Lekin merī qaum beshumār dinoṅ se mujhe bhūl gaī hai.
33 Tū ishq ḍhūṅḍne meṅ kitnī māhir hai! Badkār aurateṅ bhī tujh se bahut kuchh sīkh letī haiṅ. 34 Tere libās kā dāman begunāh ġharīboṅ ke ḳhūn se ālūdā hai, go tū ne unheṅ naqabzanī jaisā ġhalat kām karte waqt na pakaṛā. Is sab kuchh ke bāwujūd bhī 35 tū bazid hai ki maiṅ bequsūr hūṅ, Allāh kā mujh par ġhussā ṭhanḍā ho gayā hai. Lekin maiṅ terī adālat karūṅga, is lie ki tū kahtī hai, ‘Mujh se gunāh sarzad nahīṅ huā.’
36 Tū kabhī idhar, kabhī idhar jā kar itnī āsānī se apnā ruḳh kyoṅ badaltī hai? Yaqīn kar ki jis tarah tū apne ittahādī Asūr se māyūs ho kar sharmindā huī hai usī tarah tū nae ittahādī Misr se bhī nādim ho jāegī. 37 Tū us jagah se bhī apne hāthoṅ ko sar par rakh kar niklegī. Kyoṅki Rab ne unheṅ radd kiyā hai jin par tū bharosā rakhtī hai. Un se tujhe madad hāsil nahīṅ hogī.”
* 2:21 Lafzī tarjumā: ajnabī.