41
Ismāīl Jidaliyāh Gawarnar ko Qatl Kartā Hai
1 Ismāīl bin Nataniyāh bin Ilīsamā shāhī nasl kā thā aur pahle Shāh-e-Yahūdāh kā ālā afsar thā. Sātweṅ mahīne meṅ wuh das ādmiyoṅ ko apne sāth le kar Misfāh meṅ Jidaliyāh se milne āyā. Jab wuh mil kar khānā khā rahe the
2 to Ismāīl aur us ke das ādmī achānak uṭhe aur apnī talwāroṅ ko khīṅch kar Jidaliyāh ko mār ḍālā. Yoṅ Ismāīl ne us ādmī ko qatl kiyā jise Bābal ke bādshāh ne sūbā Yahūdāh par muqarrar kiyā thā.
3 Us ne Misfāh meṅ Jidaliyāh ke sāth rahne wāle tamām hamwatanoṅ ko bhī qatl kiyā aur wahāṅ ṭhaharne wāle Bābal ke faujiyoṅ ko bhī.
4 Agle din jab kisī ko mālūm nahīṅ thā ki Jidaliyāh ko qatl kiyā gayā hai
5 to 80 ādmī wahāṅ pahuṅche jo Sikam, Sailā aur Sāmariya se ā kar Rab ke tabāhshudā ghar meṅ us kī parastish karne jā rahe the. Un ke pās ġhallā aur baḳhūr kī qurbāniyāṅ thīṅ, aur unhoṅ ne ġham ke māre apnī dāṛhiyāṅ munḍwā kar apne kapṛe phāṛ lie aur apnī jild ko zaḳhmī kar diyā thā.
6 Ismāīl rote rote Misfāh se nikal kar un se milne āyā. Jab wuh un ke pās pahuṅchā to kahne lagā, “Jidaliyāh bin Aḳhīqām ke pās āo aur dekho ki kyā huā hai!”
7 Jyoṅ hī wuh shahr meṅ dāḳhil hue to Ismāīl aur us ke sāthiyoṅ ne unheṅ qatl karke ek hauz meṅ phaiṅk diyā.
8 Sirf das ādmī bach gae jab unhoṅ ne Ismāīl se kahā, “Hameṅ mat qatl karnā, kyoṅki hamāre pās gandum, jau aur shahd ke zaḳhīre haiṅ jo ham ne khule maidān meṅ kahīṅ chhupā rakhe haiṅ.” Yih sun kar us ne unheṅ dūsroṅ kī tarah na mārā balki zindā chhoṛā.
9 Jis hauz meṅ Ismāīl ne un ādmiyoṅ kī lāsheṅ pheṅk dīṅ jo us ne Jidliyāh ke māmale meṅ mār ḍāle the use Yahūdāh ke bādshāh Āsā ne banwāyā thā—us waqt jab wuh Isrāīlī bādshāh Bāshā kī wajah se Misfāh ko mazbūt banā rahā thā. Ismāīl ne isī hauz ko maqtūloṅ se bhar diyā.
10 Misfāh ke bāqī logoṅ ko us ne qaidī banā liyā. Un meṅ Yahūdāh ke bādshāh kī beṭiyāṅ aur bāqī wuh tamām log shāmil the jin par shāhī muhāfizoṅ ke sardār Nabūzarādān ne Jidaliyāh bin Aḳhīqām ko muqarrar kiyā thā. Phir Ismāīl un sab ko apne sāth le kar Mulk-e-Ammon ke lie rawānā huā.
11 Lekin Yūhanān bin Qarīh aur us ke sāthī afsaroṅ ko ittalā dī gaī ki Ismāīl se kyā jurm huā hai.
12 Tab wuh apne tamām faujiyoṅ ko jamā karke Ismāīl se laṛne ke lie nikle aur us kā tāqqub karte karte use Jibaūn ke johaṛ ke pās jā liyā.
13 Jyoṅ hī Ismāīl ke qaidiyoṅ ne Yūhanān aur us ke afsaroṅ ko dekhā to wuh ḳhush hue.
14 Sab ne Ismāīl ko chhoṛ diyā aur muṛ kar Yūhanān ke pās bhāg āe.
15 Ismāīl āṭh sāthiyoṅ samet farār huā aur Yūhanān ke hāth se bach kar Mulk-e-Ammon meṅ chalā gayā.
16 Yoṅ Misfāh ke bache hue tamām log Jibaūn meṅ Yūhanān aur us ke sāthī afsaroṅ ke zer-e-nigarānī āe. Un meṅ wuh tamām faujī, ḳhawātīn, bachche aur darbārī shāmil the jinheṅ Ismāīl ne Jidaliyāh ko qatl karne ke bād qaidī banāyā thā.
17 Lekin wuh Misfāh wāpas na gae balki āge chalte chalte Bait-laham ke qarīb ke gāṅw banām Sarāy-kimhām meṅ ruk gae. Wahāṅ wuh Misr ke lie rawānā hone kī taiyāriyāṅ karne lage,
18 kyoṅki wuh Bābal ke intaqām se ḍarte the, is lie ki Jidaliyāh bin Aḳhīqām ko qatl karne se Ismāīl bin Nataniyāh ne us ādmī ko maut ke ghāṭ utārā thā jise Shāh-e-Bābal ne Yahūdāh kā gawarnar muqarrar kiyā thā.