13
Kanān ke Bāqī Ilāqoṅ par Qabzā Karne kā Hukm
1 Jab Yashua būṛhā thā to Rab ne us se kahā, “Tū bahut būṛhā ho chukā hai, lekin abhī kāfī kuchh bāqī rah gayā hai jis par qabzā karne kī zarūrat hai.
2-3 Is meṅ Filistiyoṅ ke tamām ilāqe un ke shāhī shahroṅ Ġhazzā, Ashdūd, Askqalūn, Jāt aur Aqrūn samet shāmil haiṅ aur isī tarah Jasūr kā ilāqā jis kī junūbī sarhad Wādī-e-Saihūr hai jo Misr ke mashriq meṅ hai aur jis kī shimālī sarhad Aqrūn hai. Use bhī Mulk-e-Kanān kā hissā qarār diyā jātā hai. Awwiyoṅ kā ilāqā bhī
4 jo junūb meṅ hai ab tak Isrāīl ke qabze meṅ nahīṅ āyā. Yihī bāt shimāl par bhī sādiq ātī hai. Saidāniyoṅ ke shahr Ma'ārā se le kar Afīq Shahr aur Amoriyoṅ kī sarhad tak sab kuchh ab tak Isrāīl kī hukūmat se bāhar hai.
5 Is ke alāwā jabliyoṅ kā mulk aur mashriq meṅ pūrā Lubnān Harmūn Pahāṛ ke dāman meṅ Bāl-jad se le kar Labo-hamāt tak bāqī rah gayā hai.
6 Is meṅ un Saidāniyoṅ kā tamām ilāqā bhī shāmil hai jo Lubnān ke pahāṛoṅ aur Misrafāt-māym ke darmiyān ke pahāṛī ilāqe meṅ ābād haiṅ. Isrāīliyoṅ ke baṛhte baṛhte maiṅ ḳhud hī in logoṅ ko un ke sāmne se nikāl dūṅgā. Lekin lāzim hai ki tū qurā ḍāl kar yih pūrā mulk mere hukm ke mutābiq Isrāīliyoṅ meṅ taqsīm kare.
7 Use nau bāqī qabīloṅ aur Manassī ke ādhe qabīle ko wirāsat meṅ de de.”
Yardan ke Mashriq meṅ Mulk kī Taqsīm
8 Rab kā ḳhādim Mūsā Rūbin, Jad aur Manassī ke bāqī ādhe qabīle ko Dariyā-e-Yardan kā mashriqī ilāqā de chukā thā.
9-10 Yoṅ Hasbon ke Amorī bādshāh Sīhon ke tamām shahr un ke qabze meṅ ā gae the yānī junūbī Wādī-e-Arnon ke kināre par shahr Aroīr aur usī wādī ke bīch ke shahr se le kar shimāl meṅ Ammoniyoṅ kī sarhad tak. Dībon aur Mīdabā ke darmiyān kā maidān-e-murtafā bhī is meṅ shāmil thā
11 aur isī tarah Jiliyād, Jasūriyoṅ aur Mākātiyoṅ kā ilāqā, Harmūn kā pahāṛī ilāqā aur Salkā Shahr tak Basan kā sārā ilāqā bhī.
12 Pahle yih sārā ilāqā Basan ke bādshāh Oj ke qabze meṅ thā jis kī hukūmat ke markaz Astārāt aur Idraī the. Rafāiyoṅ ke dewqāmat qabīle se sirf Oj bāqī rah gayā thā. Mūsā kī rāhnumāī ke taht Isrāīliyoṅ ne us ilāqe par fatah pā kar tamām bāshindoṅ ko nikāl diyā thā.
13 Sirf Jasūrī aur Mākātī bāqī rah gae the, aur yih āj tak Isrāīliyoṅ ke darmiyān rahte haiṅ.
14 Sirf Lāwī ke qabīle ko koī zamīn na milī, kyoṅki un kā maurūsī hissā jalne wālī wuh qurbāniyāṅ haiṅ jo Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie chaṛhāī jātī haiṅ. Rab ne yihī kuchh Mūsā ko batāyā thā.
Rūbin kā Qabāylī Ilāqā
15 Mūsā ne Rūbin ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq zail kā ilāqā diyā.
16 Wādī-e-Arnon ke kināre par shahr Aroīr aur usī wādī ke bīch ke shahr se le kar Mīdabā
17 aur Hasbon tak. Wahāṅ ke maidān-e-murtafā par wāqe tamām shahr bhī Rūbin ke sapurd kie gae yānī Dībon, Bāmāt-bāl, Bait-bāl-maūn,
18 Yahaz, Qadīmāt, Mifāt,
19 Qiriyatāym, Sibmāh, Zirat-us-sahar jo Bahīrā-e-Murdār ke mashriq meṅ wāqe pahāṛī ilāqe meṅ hai,
20 Bait-faġhūr, Pisgā ke pahāṛī silsile par maujūd ābādiyāṅ aur Bait-yasīmot.
21 Maidān-e-murtafā ke tamām shahr Rūbin ke qabīle ko die gae yānī Amoriyoṅ ke bādshāh Sīhon kī pūrī bādshāhī jis kā dārul-hukūmat Hasbon Shahr thā. Mūsā ne Sīhon ko mār ḍālā thā aur us ke sāth pāṅch Midiyānī ra'īsoṅ ko bhī jinheṅ Sīhon ne apne mulk meṅ muqarrar kiyā thā. In ra'īsoṅ ke nām Iwī, Raqam, Sūr, Hūr aur Rabā the.
22 Jin logoṅ ko us waqt mārā gayā un meṅ se Bilām bin Baor bhī thā jo ġhaibdān thā.
23 Rūbin ke qabīle kī maġhribī sarhad Dariyā-e-Yardan thī. Yihī shahr aur ābādiyāṅ Rūbin ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq dī gaīṅ, aur wuh us kī mīrās ṭhahrīṅ.
Jad ke Qabīle kā Ilāqā
24 Mūsā ne Jad ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq zail kā ilāqā diyā.
25 Yāzer kā ilāqā, Jiliyād ke tamām shahr, Ammoniyoṅ kā ādhā hissā Rabbā ke qarīb shahr Aroīr tak
26-27 aur Hasbon ke bādshāh Sīhon kī bādshāhī kā bāqī shimālī hissā yānī Hasbon, Rāmatul-Misfāh aur Batūnīm ke darmiyān kā ilāqā aur Mahanāym aur Dabīr ke darmiyān kā ilāqā. Is ke alāwā Jad ko Wādī-e-Yardan kā wuh mashriqī hissā bhī mil gayā jo Bait-hāram, Bait-nimrā, Sukkāt aur Safon par mushtamil thā. Yoṅ us kī shimālī sarhad Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl kā junūbī kinārā thā.
28 Yihī shahr aur ābādiyāṅ Jad ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq dī gaīṅ, aur wuh us kī mīrās ṭhahrīṅ.
Manassī ke Mashriqī Hisse kā Ilāqā
29 Jo ilāqā Mūsā ne Manassī ke ādhe hisse ko us ke kunboṅ ke mutābiq diyā thā
30 wuh Mahanāym se le kar shimāl meṅ Oj Bādshāh kī tamām bādshāhī par mushtamil thā. Us meṅ Mulk-e-Basan aur wuh 60 ābādiyāṅ shāmil thīṅ jin par Yāīr ne fatah pāī thī.
31 Jiliyād kā ādhā hissā Oj kī hukūmat ke do marākiz Astārāt aur Idraī samet Makīr bin Manassī kī aulād ko us ke kunboṅ ke mutābiq diyā gayā.
32 Mūsā ne in maurūsī zamīnoṅ kī taqsīm us waqt kī thī jab wuh Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Moāb ke maidānī ilāqe meṅ Yarīhū Shahr ke muqābil thā.
33 Lekin Lāwī ko Mūsā se koī maurūsī zamīn nahīṅ milī thī, kyoṅki Rab Isrāīl kā Ḳhudā un kā maurūsī hissā hai jis tarah us ne un se wādā kiyā thā.