17
Manassī kā Ilāqā
1 Yūsuf ke pahlauṭhe Manassī kī aulād ko do ilāqe mil gae. Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Makīr ke gharāne ko Jiliyād aur Basan die gae. Makīr Manassī kā pahlauṭhā aur Jiliyād kā bāp thā, aur us kī aulād māhir faujī thī.
2 Ab qurā ḍālne se Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ wuh ilāqā muqarrar kiyā gayā jahāṅ Manassī ke bāqī beṭoṅ kī aulād ko ābād honā thā. In ke chhih kunbe the jin ke nām Abiyazar, Ḳhalaq, Asriyel, Sikam, Hifar aur Samīdā the.
3 Silāfihād bin Hifar bin Jiliyād bin Makīr bin Manassī ke beṭe nahīṅ the balki sirf beṭiyāṅ. Un ke nām Mahlāh, Nūsāh, Hujlāh, Milkāh aur Tirzā the.
4 Yih ḳhawātīn Iliyazar Imām, Yashua bin Nūn aur qaum ke buzurgoṅ ke pās āīṅ aur kahne lagīṅ, “Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā ki wuh hameṅ bhī qabāylī ilāqe kā koī hissā de.” Yashua ne Rab kā hukm mān kar na sirf Manassī kī narīnā aulād ko zamīn dī balki unheṅ bhī.
5 Natīje meṅ Manassī ke qabīle ko Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ zamīn ke das hisse mil gae aur mashriq meṅ Jiliyād aur Basan.
6 Maġhrib meṅ na sirf Manassī kī narīnā aulād ke ḳhāndānoṅ ko zamīn milī balki beṭiyoṅ ke ḳhāndānoṅ ko bhī. Is ke baraks mashriq meṅ Jiliyād kī zamīn sirf narīnā aulād meṅ taqsīm kī gaī.
7 Manassī ke qabīle ke ilāqe kī sarhad Āshar se shurū huī aur Sikam ke mashriq meṅ wāqe Mikmatāh se ho kar junūb kī taraf chaltī huī Ain-taffuah kī ābādī tak pahuṅchī.
8 Taffuah ke gird-o-nawāh kī zamīn Ifrāīm kī milkiyat thī, lekin Manassī kī sarhad par ke yih shahr Manassī kī apnī milkiyat the.
9 Wahāṅ se sarhad Qānā Nadī ke junūbī kināre tak utrī. Phir nadī ke sāth chaltī chaltī wuh samundar par ḳhatm huī. Nadī ke junūbī kināre par kuchh shahr Ifrāīm kī milkiyat the agarche wuh Manassī ke ilāqe meṅ the.
10 Lekin majmūī taur par Manassī kā qabāylī ilāqā Qānā Nadī ke shimāl meṅ thā aur Ifrāīm kā ilāqā us ke junūb meṅ. Donoṅ qabīloṅ kā ilāqā maġhrib meṅ samundar par ḳhatm huā. Manassī ke ilāqe ke shimāl meṅ Āshar kā qabāylī ilāqā thā aur mashriq meṅ Ishkār kā.
11 Āshar aur Ishkār ke ilāqoṅ ke darj-e-zail shahr Manassī kī milkiyat the: Bait-shān, Ibliyām, Dor yānī Nāfat-dor, Ain-dor, Tānak aur Majiddo un ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet.
12 Lekin Manassī kā qabīlā wahāṅ ke Kanāniyoṅ ko nikāl na sakā balki wuh wahāṅ baste rahe.
13 Bād meṅ bhī jab Isrāīl kī tāqat baṛh gaī to Kanāniyoṅ ko nikālā na gayā balki unheṅ begār meṅ kām karnā paṛā.
Ifrāīm aur Manassī Mazīd Zamīn kā Taqāzā Karte Haiṅ
14 Yūsuf ke qabīle Ifrāīm aur Manassī Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ zamīn pāne ke bād Yashua ke pās āe aur kahne lage, “Āp ne hamāre lie qurā ḍāl kar zamīn kā sirf ek hissā kyoṅ muqarrar kiyā? Ham to bahut zyādā log haiṅ, kyoṅki Rab ne hameṅ barkat de kar baṛī qaum banāyā hai.”
15 Yashua ne jawāb diyā, “Agar āp itne zyādā haiṅ aur āp ke lie Ifrāīm kā pahāṛī ilāqā kāfī nahīṅ hai to phir Farizziyoṅ aur Rafāiyoṅ ke pahāṛī jangloṅ meṅ jāeṅ aur unheṅ kāṭ kar kāsht ke qābil banā leṅ.”
16 Yūsuf ke qabīloṅ ne kahā, “Pahāṛī ilāqā hamāre lie kāfī nahīṅ hai, aur maidānī ilāqe meṅ ābād Kanāniyoṅ ke pās lohe ke rath haiṅ, un ke pās bhī jo Wādī-e-Yazrael meṅ haiṅ aur un ke pās bhī jo Bait-shān aur us ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ meṅ rahte haiṅ.”
17 Lekin Yashua ne jawāb meṅ kahā, “Āp itnī baṛī aur tāqatwar qaum haiṅ ki āp kā ilāqā ek hī hisse par mahdūd nahīṅ rahegā
18 balki jangal kā pahāṛī ilāqā bhī āp kī milkiyat meṅ āegā. Us ke jangloṅ ko kāṭ kar kāsht ke qābil banā leṅ to yih tamām ilāqā āp hī kā hogā. Āp bāqī ilāqe par bhī qabzā karke Kanāniyoṅ ko nikāl deṅge agarche wuh tāqatwar haiṅ aur un ke pās lohe ke rath haiṅ.”