4
Sulemān ke Sarkārī Afsaroṅ kī Fahrist
1 Ab Sulemān pūre Isrāīl par hukūmat kartā thā.
2 Yih us ke ālā afsar the:
imām-e-āzam: Azariyāh bin Sadoq,
3 mīrmunshī: Sīsā ke beṭe Ilīhūrif aur Aḳhiyāh,
bādshāh kā mushīr-e-ḳhās: Yahūsafat bin Aḳhīlūd,
4 fauj kā kamānḍar: Bināyāh bin Yahoyadā,
imām: Sadoq aur Abiyātar,
5 ziloṅ par muqarrar afsaroṅ kā sardār: Azariyāh bin Nātan,
bādshāh kā qarībī mushīr: imām Zabūd bin Nātan,
6 mahal kā inchārj: Aḳhīsar,
begāriyoṅ kā inchārj: Adūnīrām bin Abdā
7 Sulemān ne Mulk-e-Isrāīl ko bārah ziloṅ meṅ taqsīm karke har zile par ek afsar muqarrar kiyā thā. In afsaroṅ kī ek zimmedārī yih thī ki darbār kī zarūriyāt pūrī kareṅ. Har afsar ko sāl meṅ ek māh kī zarūriyāt pūrī karnī thīṅ.
8 Darj-e-zail in afsaroṅ aur un ke ilāqoṅ kī fahrist hai. Bin-hūr: Ifrāīm kā pahāṛī ilāqā,
9 Bin-diqar: Maqas, Sālbīm, Bait-shams aur Ailon-bait-hanān,
10 Bin Hasad: Arubbot, Sokā aur Hifar kā ilāqā,
11 Sulemān kī beṭī Tāfat kā shauhar Bin-abīnadāb: Sāhilī shahr Dor kā pahāṛī ilāqā,
12 Bānā bin Aḳhīlūd: Tānak, Majiddo aur us Bait-shān kā pūrā ilāqā jo Zartān ke paṛos meṅ Yazrael ke nīche wāqe hai, nīz Bait-shān se le kar Abīl-mahūlā tak kā pūrā ilāqā bashamūl Yuqmiyām,
13 Bin-jabar: Jiliyād meṅ Rāmāt kā ilāqā bashamūl Yāīr bin Manassī kī bastiyāṅ, phir Basan meṅ Arjūb kā ilāqā. Is meṅ 60 aise fasīldār shahr shāmil the jin ke darwāzoṅ par pītal ke kunḍe lage the,
14 Aḳhīnadāb bin Iddū: Mahanāym,
15 Sulemān kī beṭī Bāsamat kā shauhar Aḳhīmāz: Naftālī kā qabāylī ilāqā,
16 Bānā bin Hūsī: Āshar kā qabāylī ilāqā aur Bālot,
17 Yahūsafat bin Farūh: Ishkār kā qabāylī ilāqā,
18 Simaī bin Ailā: Binyamīn kā qabāylī ilāqā,
19 Jabar bin Ūrī Jiliyād kā wuh ilāqā jis par pahle Amorī bādshāh Sīhon aur Basan ke bādshāh Oj kī hukūmat thī. Is pūre ilāqe par sirf yihī ek afsar muqarrar thā.
Sulemān kī Hukūmat kī Azmat
20 Us zamāne meṅ Isrāīl aur Yahūdāh ke log sāhil kī ret kī mānind beshumār the. Logoṅ ko khāne aur pīne kī sab chīzeṅ dastyāb thīṅ, aur wuh ḳhush the.
21 Sulemān Dariyā-e-Furāt se le kar Filistiyoṅ ke ilāqe aur Misrī sarhad tak tamām mamālik par hukūmat kartā thā. Us ke jīte-jī yih mamālik us ke tābe rahe aur use ḳharāj dete the.
22 Sulemān ke darbār kī rozānā zarūriyāt yih thīṅ: taqrīban 5,000 kilogrām bārīk maidā, taqrīban 10,000 kilogrām ām maidā,
23 10 moṭe-tāze bail, charāgāhoṅ meṅ pale hue 20 ām bail, 100 bheṛ-bakriyāṅ, aur is ke alāwā hiran, ġhazāl, mrig aur muḳhtalif qism ke moṭe-tāze murġh.
24 Jitne mamālik Dariyā-e-Furāt ke maġhrib meṅ the un sab par Sulemān kī hukūmat thī, yānī Tifsah se le kar Ġhazzā tak. Kisī bhī paṛosī mulk se us kā jhagaṛā nahīṅ thā, balki sab ke sāth sulah thī.
25 Us ke jīte-jī pūre Yahūdāh aur Isrāīl meṅ sulah-salāmatī rahī. Shimāl meṅ Dān se le kar junūb meṅ Bair-sabā tak har ek salāmatī se angūr kī apnī bel aur anjīr ke apne daraḳht ke sāye meṅ baiṭh saktā thā.
26 Apne rathoṅ ke ghoṛoṅ ke lie Sulemān ne 4,000 thān banwāe. Us ke 12,000 ghoṛe the.
27 Bārah ziloṅ par muqarrar afsar bāqāydagī se Sulemān Bādshāh aur us ke darbār kī zarūriyāt pūrī karte rahe. Har ek ko sāl meṅ ek māh ke lie sab kuchh muhaiyā karnā thā. Un kī mehnat kī wajah se darbār meṅ koī kamī na huī.
28 Bādshāh kī hidāyat ke mutābiq wuh rathoṅ ke ghoṛoṅ aur dūsre ghoṛoṅ ke lie darkār jau aur bhūsā barāh-e-rāst un ke thānoṅ tak pahuṅchāte the.
29 Allāh ne Sulemān ko bahut zyādā hikmat aur samajh atā kī. Use sāhil kī ret jaisā wasī ilm hāsil huā.
30 Us kī hikmat Isrāīl ke mashriq meṅ rahne wāle aur Misr ke ālimoṅ se kahīṅ zyādā thī.
31 Is lihāz se koī bhī us ke barābar nahīṅ thā. Wuh Aitān Izrāhī aur Mahol ke beṭoṅ Haimān, Kalkūl aur Dardā par bhī sabqat le gayā thā. Us kī shohrat irdgird ke tamām mamālik meṅ phail gaī.
32 Us ne 3,000 kahāwateṅ aur 1,005 gīt likh die.
33 Wuh tafsīl se muḳhtalif qism ke paudoṅ ke bāre meṅ bāt kar saktā thā, Lubnān meṅ deodār ke baṛe daraḳht se le kar chhoṭe paude zūfā tak jo dīwār kī darāṛoṅ meṅ ugtā hai. Wuh mahārat se chaupāiyoṅ, parindoṅ, reṅgne wāle jānwaroṅ aur machhliyoṅ kī tafsīlāt bhī bayān kar saktā thā.
34 Chunāṅche tamām mamālik ke bādshāhoṅ ne apne safīroṅ ko Sulemān ke pās bhej diyā tāki us kī hikmat suneṅ.