25
1 Is lie Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar tamām fauj ko apne sāth le kar dubārā Yarūshalam pahuṅchā tāki us par hamlā kare.
Sidqiyāh kī hukūmat ke naweṅ sāl meṅ Bābal kī fauj Yarūshalam kā muhāsarā karne lagī. Yih kām dasweṅ mahīne ke dasweṅ din shurū huā. Pūre shahr ke irdgird bādshāh ne pushte banwāe.
2 Sidqiyāh kī hukūmat ke 11weṅ sāl tak Yarūshalam qāym rahā.
3 Lekin phir kāl ne shahr meṅ zor pakaṛā, aur awām ke lie khāne kī chīzeṅ na rahīṅ.
Chauthe mahīne ke naweṅ din
4 Bābal ke faujiyoṅ ne fasīl meṅ raḳhnā ḍāl diyā. Usī rāt Sidqiyāh apne tamām faujiyoṅ samet farār hone meṅ kāmyāb huā, agarche shahr dushman se ghirā huā thā. Wuh fasīl ke us darwāze se nikle jo Shāhī Bāġh ke sāth mulhiq do dīwāroṅ ke bīch meṅ thā. Wuh Wādī-e-Yardan kī taraf bhāgne lage,
5 lekin Bābal kī fauj ne bādshāh kā tāqqub karke use Yarīhū ke maidān meṅ pakaṛ liyā. Us ke faujī us se alag ho kar chāroṅ taraf muntashir ho gae.
6 Aur wuh ḳhud giriftār ho gayā.
Phir use Riblā meṅ Shāh-e-Bābal ke pās lāyā gayā, aur wahīṅ Sidqiyāh par faislā sādir kiyā gayā.
7 Sidqiyāh ke deḳhte deḳhte us ke beṭoṅ ko qatl kiyā gayā. Is ke bād faujiyoṅ ne us kī āṅkheṅ nikāl kar use pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā aur Bābal le gae.
Yarūshalam aur Rab ke Ghar kī Tabāhī
8 Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar kī hukūmat ke 19weṅ sāl meṅ bādshāh kā ḳhās afsar Nabūzarādān Yarūshalam pahuṅchā. Wuh shāhī muhāfizoṅ par muqarrar thā. Pāṅchweṅ mahīne ke sātweṅ din us ne ā kar
9 Rab ke ghar, shāhī mahal aur Yarūshalam ke tamām makānoṅ ko jalā diyā. Har baṛī imārat bhasm ho gaī.
10 Us ne apne tamām faujiyoṅ se shahr kī fasīl ko bhī girā diyā.
11 Phir Nabūzarādān ne sab ko jilāwatan kar diyā jo Yarūshalam aur Yahūdāh meṅ pīchhe rah gae the. Wuh bhī un meṅ shāmil the jo jang ke daurān ġhaddārī karke Shāh-e-Bābal ke pīchhe lag gae the.
12 Lekin Nabūzarādān ne sab se nichle tabqe ke bāz logoṅ ko Mulk-e-Yahūdāh meṅ chhoṛ diyā tāki wuh angūr ke bāġhoṅ aur khetoṅ ko saṅbhāleṅ.
13 Bābal ke faujiyoṅ ne Rab ke ghar meṅ jā kar pītal ke donoṅ satūnoṅ, pānī ke bāsanoṅ ko uṭhāne wālī hathgāṛiyoṅ aur Samundar nāmī pītal ke hauz ko toṛ diyā aur sārā pītal uṭhā kar Bābal le gae.
14 Wuh Rab ke ghar kī ḳhidmat saranjām dene ke lie darkār sāmān bhī le gae yānī bālṭiyāṅ, belche, battī katarne ke auzār, bartan aur pītal kā bāqī sārā sāmān.
15 Ḳhālis sone aur chāṅdī ke bartan bhī is meṅ shāmil the yānī jalte hue koele ke bartan aur chhiṛkāw ke kaṭore. Shāhī muhāfizoṅ kā afsar sārā sāmān uṭhā kar Bābal le gayā.
16 Jab donoṅ satūnoṅ, Samundar nāmī hauz aur bāsanoṅ ko uṭhāne wālī hathgāṛiyoṅ kā pītal tuṛwāyā gayā to wuh itnā waznī thā ki use tolā na jā sakā. Sulemān Bādshāh ne yih chīzeṅ Rab ke ghar ke lie banwāī thīṅ.
17 Har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭ thī. Un ke bālāī hissoṅ kī ūṅchāī sāṛhe chār fuṭ thī, aur wuh pītal kī jālī aur anāroṅ se saje hue the.
18 Shāhī muhāfizoṅ ke afsar Nabūzarādān ne zail ke qaidiyoṅ ko alag kar diyā: imām-e-āzam Sirāyāh, us ke bād āne wālā imām Safaniyāh, Rab ke ghar ke tīn darbānoṅ,
19 shahr ke bache huoṅ meṅ se us afsar ko jo shahr ke faujiyoṅ par muqarrar thā, Sidqiyāh Bādshāh ke pāṅch mushīroṅ, ummat kī bhartī karne wāle afsar aur shahr meṅ maujūd us ke 60 mardoṅ ko.
20 Nabūzarādān in sab ko alag karke sūbā Hamāt ke shahr Riblā le gayā jahāṅ Bābal kā bādshāh thā.
21 Wahāṅ Nabūkadnazzar ne unheṅ sazā-e-maut dī.
Yoṅ Yahūdāh ke bāshindoṅ ko jilāwatan kar diyā gayā.
Jidaliyāh kī Hukūmat
22 Jin logoṅ ko Bābal ke bādshāh Nabūkadnazzar ne Yahūdāh meṅ pīchhe chhoṛ diyā thā, un par us ne Jidaliyāh bin Aḳhīqām bin Sāfan muqarrar kiyā.
23 Jab fauj ke bache hue afsaroṅ aur un ke dastoṅ ko ḳhabar milī ki Jidaliyāh ko gawarnar muqarrar kiyā gayā hai to wuh Misfāh meṅ us ke pās āe. Afsaroṅ ke nām Ismāīl bin Nataniyāh, Yūhanān bin Qarīh, Sirāyāh bin Tanhūmat Natūfātī aur Yāzaniyāh bin Mākātī the. Un ke faujī bhī sāth āe.
24 Jidaliyāh ne qasam khā kar un se wādā kiyā, “Bābal ke afsaroṅ se mat ḍarnā! Mulk meṅ rah kar Bābal ke bādshāh kī ḳhidmat kareṅ to āp kī salāmatī hogī.”
25 Lekin us sāl ke sātweṅ mahīne meṅ Ismāīl bin Nataniyāh bin Ilīsamā ne das sāthiyoṅ ke sāth Misfāh ā kar dhoke se Jidaliyāh ko qatl kiyā. Ismāīl shāhī nasl kā thā. Jidaliyāh ke alāwā unhoṅ ne us ke sāth rahne wāle Yahūdāh aur Bābal ke tamām logoṅ ko bhī qatl kiyā.
26 Yih dekh kar Yahūdāh ke tamām bāshinde chhoṭe se le kar baṛe tak faujī afsaroṅ samet hijrat karke Misr chale gae. Kyoṅki wuh Bābal ke intaqām se ḍarte the.
Yahūyākīn ko Āzād Kiyā Jātā Hai
27 Yahūdāh ke bādshāh Yahūyākīn kī jilāwatanī ke 37weṅ sāl meṅ Awīl-marūdak Bābal kā bādshāh banā. Usī sāl ke 12weṅ mahīne ke 27weṅ din us ne Yahūyākīn ko qaidḳhāne se āzād kar diyā.
28 Us ne us se narm bāteṅ karke use izzat kī aisī kursī par biṭhāyā jo Bābal meṅ jilāwatan kie gae bāqī bādshāhoṅ kī nisbat zyādā aham thī.
29 Yahūyākīn ko qaidiyoṅ ke kapṛe utārne kī ijāzat milī, aur use zindagī-bhar bādshāh kī mez par bāqāydagī se sharīk hone kā sharf hāsil rahā.
30 Bādshāh ne muqarrar kiyā ki Yahūyākīn ko umr-bhar itnā wazīfā miltā rahe ki us kī rozmarrā zarūriyāt pūrī hotī raheṅ.