13
Bīj Bone Wāle kī Tamsīl
Usī din Īsā ghar se nikal kar jhīl ke kināre baiṭh gayā. Itnā baṛā hujūm us ke gird jamā ho gayā ki āḳhirkār wuh ek kashtī meṅ baiṭh gayā jabki log kināre par khaṛe rahe. Phir us ne unheṅ bahut-sī bāteṅ tamsīloṅ meṅ sunāīṅ.
“Ek kisān bīj bone ke lie niklā. Jab bīj idhar-udhar bikhar gayā to kuchh dāne rāste par gire aur parindoṅ ne ā kar unheṅ chug liyā. Kuchh pathrīlī zamīn par gire jahāṅ miṭṭī kī kamī thī. Wuh jald ug āe kyoṅki miṭṭī gahrī nahīṅ thī. Lekin jab sūraj niklā to paude jhulas gae aur chūṅki wuh jaṛ na pakaṛ sake is lie sūkh gae. Kuchh ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān bhī gire. Wahāṅ wuh ugne to lage, lekin ḳhudrau paudoṅ ne sāth sāth baṛh kar unheṅ phalne-phūlne na diyā. Chunāṅche wuh bhī ḳhatm ho gae. Lekin aise dāne bhī the jo zarḳhez zamīn meṅ gire aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak zyādā phal lāe. Jo sun saktā hai wuh sun le!”
Tamsīloṅ kā Maqsad
10 Shāgird us ke pās ā kar pūchhne lage, “Āp logoṅ se tamsīloṅ meṅ bāt kyoṅ karte haiṅ?”
11 Us ne jawāb diyā, “Tum ko to āsmān kī bādshāhī ke bhed samajhne kī liyāqat dī gaī hai, lekin unheṅ yih liyāqat nahīṅ dī gaī. 12 Jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā aur us ke pās kasrat kī chīzeṅ hoṅgī. Lekin jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se wuh bhī chhīn liyā jāegā jo us ke pās hai. 13 Is lie maiṅ tamsīloṅ meṅ un se bāt kartā hūṅ. Kyoṅki wuh deḳhte hue kuchh nahīṅ deḳhte, wuh sunte hue kuchh nahīṅ sunte aur kuchh nahīṅ samajhte. 14 Un meṅ Yasāyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī ho rahī hai:
‘Tum apne kānoṅ se sunoge
magar kuchh nahīṅ samjhoge,
tum apnī āṅkhoṅ se dekhoge
magar kuchh nahīṅ jānoge.
15 Kyoṅki is qaum kā dil behis ho gayā hai.
Wuh mushkil se apne kānoṅ se sunte haiṅ,
unhoṅ ne apnī āṅkhoṅ ko band kar rakhā hai,
aisā na ho ki wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅ,
apne kānoṅ se suneṅ,
apne dil se samjheṅ,
merī taraf rujū kareṅ
aur maiṅ unheṅ shifā dūṅ.’
16 Lekin tumhārī āṅkheṅ mubārak haiṅ kyoṅki wuh dekh saktī haiṅ aur tumhāre kān mubārak haiṅ kyoṅki wuh sun sakte haiṅ. 17 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo kuchh tum dekh rahe ho bahut-se nabī aur rāstbāz ise dekh na pāe agarche wuh is ke ārzūmand the. Aur jo kuchh tum sun rahe ho ise wuh sunane na pāe, agarche wuh is ke ḳhāhishmand the.
Bīj Bone Wāle kī Tamsīl kā Matlab
18 Ab suno ki bīj bone wāle kī tamsīl kā matlab kyā hai. 19 Rāste par gire hue dāne wuh log haiṅ jo bādshāhī kā kalām sunte to haiṅ, lekin use samajhte nahīṅ. Phir Iblīs ā kar wuh kalām chhīn letā hai jo un ke diloṅ meṅ boyā gayā hai. 20 Pathrīlī zamīn par gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte hī use ḳhushī se qabūl to kar lete haiṅ, 21 lekin wuh jaṛ nahīṅ pakaṛte aur is lie zyādā der tak qāym nahīṅ rahte. Jyoṅ hī wuh kalām par īmān lāne ke bāis kisī musībat yā īzārasānī se dochār ho jāeṅ to wuh bargashtā ho jāte haiṅ. 22 Ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte to haiṅ, lekin phir rozmarrā kī pareshāniyāṅ aur daulat kā fareb kalām ko phalne-phūlne nahīṅ detā. Natīje meṅ wuh phal lāne tak nahīṅ pahuṅchtā. 23 Is ke muqābale meṅ zarḳhez zamīn meṅ gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām ko sun kar use samajh lete aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāte haiṅ.”
Ḳhudrau Paudoṅ kī Tamsīl
24 Īsā ne unheṅ ek aur tamsīl sunāī. “Āsmān kī bādshāhī us kisān se mutābiqat rakhtī hai jis ne apne khet meṅ achchhā bīj bo diyā. 25 Lekin jab log so rahe the to us ke dushman ne ā kar anāj ke paudoṅ ke darmiyān ḳhudrau paudoṅ kā bīj bo diyā. Phir wuh chalā gayā. 26 Jab anāj phūṭ niklā aur fasal pakne lagī to ḳhudrau paude bhī nazar āe. 27 Naukar mālik ke pās āe aur kahne lage, ‘Janāb, kyā āp ne apne khet meṅ achchhā bīj nahīṅ boyā thā? To phir yih ḳhudrau paude kahāṅ se ā gae haiṅ?’
28 Us ne jawāb diyā, ‘Kisī dushman ne yih kar diyā hai.’
Naukaroṅ ne pūchhā, ‘Kyā ham jā kar unheṅ ukhāṛeṅ?’
29 ‘Nahīṅ,’ us ne kahā. ‘Aisā na ho ki ḳhudrau paudoṅ ke sāth sāth tum anāj ke paude bhī ukhāṛ ḍālo. 30 Unheṅ fasal kī kaṭāī tak mil kar baṛhne do. Us waqt maiṅ fasal kī kaṭāī karne wāloṅ se kahūṅgā ki pahle ḳhudrau paudoṅ ko chun lo aur unheṅ jalāne ke lie gaṭhoṅ meṅ bāndh lo. Phir hī anāj ko jamā karke godām meṅ lāo.’ ”
Rāī ke Dāne kī Tamsīl
31 Īsā ne unheṅ ek aur tamsīl sunāī. “Āsmān kī bādshāhī rāī ke dāne kī mānind hai jo kisī ne le kar apne khet meṅ bo diyā. 32 Go yih bījoṅ meṅ sab se chhoṭā dānā hai, lekin baṛhte baṛhte yih sabziyoṅ meṅ sab se baṛā ho jātā hai. Balki yih daraḳht-sā ban jātā hai aur parinde ā kar us kī shāḳhoṅ meṅ ghoṅsle banā lete haiṅ.”
Ḳhamīr kī Tamsīl
33 Us ne unheṅ ek aur tamsīl bhī sunāī. “Āsmān kī bādshāhī ḳhamīr kī mānind hai jo kisī aurat ne le kar taqrīban 27 kilogrām āṭe meṅ milā diyā. Go wuh us meṅ chhup gayā to bhī hote hote pūre gundhe hue āṭe ko ḳhamīr banā diyā.”
Tamsīloṅ meṅ Bāt Karne kā Sabab
34 Īsā ne yih tamām bāteṅ hujūm ke sāmne tamsīloṅ kī sūrat meṅ kīṅ. Tamsīl ke baġhair us ne un se bāt hī nahīṅ kī. 35 Yoṅ nabī kī yih peshgoī pūrī huī ki “Maiṅ tamsīloṅ meṅ bāt karūṅga, maiṅ duniyā kī taḳhlīq se le kar āj tak chhupī huī bāteṅ bayān karūṅga.”
Ḳhudrau Paudoṅ kī Tamsīl kā Matlab
36 Phir Īsā hujūm ko ruḳhsat karke ghar ke andar chalā gayā. Us ke shāgird us ke pās ā kar kahne lage, “Khet meṅ ḳhudrau paudoṅ kī tamsīl kā matlab hameṅ samjhāeṅ.”
37 Us ne jawāb diyā, “Achchhā bīj bone wālā Ibn-e-Ādam hai. 38 Khet duniyā hai jabki achchhe bīj se murād bādshāhī ke farzand haiṅ. Ḳhudrau paude Iblīs ke farzand haiṅ 39 aur unheṅ bone wālā dushman Iblīs hai. Fasal kī kaṭāī kā matlab duniyā kā iḳhtitām hai jabki fasal kī kaṭāī karne wāle farishte haiṅ. 40 Jis tarah tamsīl meṅ ḳhudrau paude ukhāṛe jāte aur āg meṅ jalāe jāte haiṅ usī tarah duniyā ke iḳhtitām par bhī kiyā jāegā. 41 Ibn-e-Ādam apne farishtoṅ ko bhej degā, aur wuh us kī bādshāhī se bargashtagī kā har sabab aur sharīat kī ḳhilāfwarzī karne wāle har shaḳhs ko nikālte jāeṅge. 42 Wuh unheṅ bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅk deṅge jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge. 43 Phir rāstbāz apne Bāp kī bādshāhī meṅ sūraj kī tarah chamkeṅge. Jo sun saktā hai wuh sun le!
Chhupe Hue Ḳhazāne kī Tamsīl
44 Āsmān kī bādshāhī khet meṅ chhupe ḳhazāne kī mānind hai. Jab kisī ādmī ko us ke bāre meṅ mālūm huā to us ne use dubārā chhupā diyā. Phir wuh ḳhushī ke māre chalā gayā, apnī tamām milkiyat faroḳht kar dī aur us khet ko ḳharīd liyā.
Motī kī Tamsīl
45 Nīz, āsmān kī bādshāhī aise saudāgar kī mānind hai jo achchhe motiyoṅ kī talāsh meṅ thā. 46 Jab use ek nihāyat qīmtī motī ke bāre meṅ mālūm huā to wuh chalā gayā, apnī tamām milkiyat faroḳht kar dī aur us motī ko ḳharīd liyā.
Jāl kī Tamsīl
47 Āsmān kī bādshāhī jāl kī mānind bhī hai. Use jhīl meṅ ḍālā gayā to har qism kī machhliyāṅ pakaṛī gaīṅ. 48 Jab wuh bhar gayā to machheroṅ ne use kināre par khīṅch liyā. Phir unhoṅ ne baiṭh kar qābil-e-istemāl machhliyāṅ chun kar ṭokriyoṅ meṅ ḍāl dīṅ aur nāqābil-e-istemāl machhliyāṅ phaiṅk dīṅ. 49 Duniyā ke iḳhtitām par aisā hī hogā. Farishte āeṅge aur bure logoṅ ko rāstbāzoṅ se alag karke 50 unheṅ bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅk deṅge jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.”
Naī aur Purānī Sachchāiyāṅ
51 Īsā ne pūchhā, “Kyā tum ko in tamām bātoṅ kī samajh ā gaī hai?”
“Jī,” shāgirdoṅ ne jawāb diyā.
52 Us ne un se kahā, “Is lie sharīat kā har ālim jo āsmān kī bādshāhī meṅ shāgird ban gayā hai aise mālik-e-makān kī mānind hai jo apne ḳhazāne se nae aur purāne jawāhar nikāltā hai.”
Īsā ko Nāsarat meṅ Radd Kiyā Jātā Hai
53 Yih tamsīleṅ sunāne ke bād Īsā wahāṅ se chalā gayā. 54 Apne watanī shahr Nāsarat pahuṅch kar wuh ibādatḳhāne meṅ logoṅ ko tālīm dene lagā. Us kī bāteṅ sun kar wuh hairatzadā hue. Unhoṅ ne pūchhā, “Use yih hikmat aur mojize karne kī yih qudrat kahāṅ se hāsil huī hai? 55 Kyā yih baṛhaī kā beṭā nahīṅ hai? Kyā us kī māṅ kā nām Mariyam nahīṅ hai, aur kyā us ke bhāī Yāqūb, Yūsuf, Shamāūn aur Yahūdāh nahīṅ haiṅ? 56 Kyā us kī bahneṅ hamāre sāth nahīṅ rahtīṅ? To phir use yih sab kuchh kahāṅ se mil gayā?” 57 Yoṅ wuh us se ṭhokar khā kar use qabūl karne se qāsir rahe.
Īsā ne un se kahā, “Nabī kī izzat har jagah kī jātī hai siwāe us ke watanī shahr aur us ke apne ḳhāndān ke.” 58 Aur un ke īmān kī kamī ke bāis us ne wahāṅ zyādā mojize na kie