Filemon
1
1 Yih ḳhat Masīh Īsā ke qaidī Paulus aur Tīmuthiyus kī taraf se hai.
Maiṅ apne azīz dost aur hamḳhidmat Filemon ko likh rahā hūṅ
2 aur sāth sāth apnī bahan Afiyā, apne hamsipāh Arḳhippus aur us jamāt ko jo āp ke ghar meṅ jamā hotī hai.
3 Ḳhudā hamārā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ.
Filemon kī Muhabbat aur Īmān
4 Jab bhī maiṅ duā kartā hūṅ to āp ko yād karke apne Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ.
5 Kyoṅki mujhe Ḳhudāwand Īsā ke bāre meṅ āp ke īmān aur āp kī tamām muqaddasīn se muhabbat kī ḳhabar miltī rahtī hai.
6 Merī duā hai ki āp kī jo rifāqat īmān se paidā huī hai wuh āp meṅ yoṅ zor pakaṛe ki āp ko behtar taur par har us achchhī chīz kī samajh āe jo hameṅ Masīh meṅ hāsil hai.
7 Bhāī, āp kī muhabbat dekh kar mujhe baṛī ḳhushī aur tasallī huī hai, kyoṅki āp ne muqaddasīn ke diloṅ ko tar-o-tāzā kar diyā hai.
Unesimus kī Sifārish
8 Is wajah se maiṅ Masīh meṅ itnī dilerī mahsūs kartā hūṅ ki āp ko wuh kuchh karne kā hukm dūṅ jo ab munāsib hai.
9 To bhī maiṅ aisā nahīṅ karnā chāhtā balki muhabbat kī binā par āp se apīl hī kartā hūṅ. Go maiṅ Paulus Masīh Īsā kā elchī balki ab us kā qaidī bhī hūṅ
10 to bhī minnat karke apne beṭe Unesimus kī sifārish kartā hūṅ. Kyoṅki mere qaid meṅ hote hue wuh merā beṭā ban gayā.
11 Pahle to wuh āp ke kām nahīṅ ā saktā thā, lekin ab wuh āp ke lie aur mere lie kāfī mufīd sābit huā hai.
12 Ab maiṅ is ko goyā apnī jān ko āp ke pās wāpas bhej rahā hūṅ.
13 Asal meṅ maiṅ use apne pās rakhnā chāhtā thā tāki jab tak maiṅ ḳhushḳhabrī kī ḳhātir qaid meṅ hūṅ wuh āp kī jagah merī ḳhidmat kare.
14 Lekin maiṅ āp kī ijāzat ke baġhair kuchh nahīṅ karnā chāhtā thā. Kyoṅki maiṅ chāhtā hūṅ ki jo bhī mehrbānī āp kareṅge wuh āp majbūr ho kar na kareṅ balki ḳhushī se.
15 Ho saktā hai ki Unesimus is lie kuchh der ke lie āp se judā ho gayā ki wuh āp ko hameshā ke lie dubārā mil jāe.
16 Kyoṅki ab wuh na sirf ġhulām hai balki ġhulām se kahīṅ zyādā. Ab wuh ek azīz bhāī hai jo mujhe ḳhās azīz hai. Lekin wuh āp ko kahīṅ zyādā azīz hogā, ġhulām kī haisiyat se bhī aur Ḳhudāwand meṅ bhāī kī haisiyat se bhī.
17 Ġharz, agar āp mujhe apnā sāthī samjheṅ to use yoṅ ḳhushāmdīd kaheṅ jaise maiṅ ḳhud ā kar hāzir hotā.
18 Agar us ne āp ko koī nuqsān pahuṅchāyā yā āp kā qarzdār huā to maiṅ is kā muāwazā dene ke lie taiyār hūṅ.
19 Yahāṅ maiṅ Paulus apne hī hāth se is bāt kī tasdīq kartā hūṅ: Maiṅ is kā muāwazā dūṅgā agarche mujhe āp ko yād dilāne kī zarūrat nahīṅ ki āp ḳhud mere qarzdār haiṅ. Kyoṅki merā qarz jo āp par hai wuh āp ḳhud haiṅ.
20 Chunāṅche mere bhāī, mujh par yih mehrbānī kareṅ ki mujhe Ḳhudāwand meṅ āp se kuchh fāydā mile. Masīh meṅ merī jān ko tāzā kareṅ.
21 Maiṅ āp kī farmāṅbardārī par etibār karke āp ko yih likh rahā hūṅ. Kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki āp na sirf merī suneṅge balki is se kahīṅ zyādā mere lie kareṅge.
22 Ek aur guzārish bhī hai, mere lie ek kamrā taiyār kareṅ, kyoṅki mujhe ummīd hai ki āp kī duāoṅ ke jawāb meṅ mujhe āp ko wāpas diyā jāegā.
Āḳhirī Salām
23 Ipafrās jo Masīh Īsā meṅ mere sāth qaidī hai āp ko salām kahtā hai.
24 Isī tarah Marqus, Aristarḳhus, Demās aur Lūqā bhī āp ko salām kahte haiṅ.
25 Ḳhudāwand Īsā kā fazl āp sab ke sāth hotā rahe.