109
Berahm Muḳhālif ke sāmne Allāh se Duā
Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie.
Ai Allāh mere faḳhr, ḳhāmosh na rah!
Kyoṅki unhoṅ ne apnā bedīn aur farebdeh muṅh mere ḳhilāf khol kar jhūṭī zabān se mere sāth bāt kī hai.
Wuh mujhe nafrat ke alfāz se gher kar bilāwajah mujh se laṛe haiṅ.
Merī muhabbat ke jawāb meṅ wuh mujh par apnī dushmanī kā izhār karte haiṅ. Lekin duā hī merā sahārā hai.
Merī nekī ke ewaz wuh mujhe nuqsān pahuṅchāte aur mere pyār ke badle mujh se nafrat karte haiṅ.
 
Ai Allāh, kisī bedīn ko muqarrar kar jo mere dushman ke ḳhilāf gawāhī de, koī muḳhālif us ke dahne hāth khaṛā ho jāe jo us par ilzām lagāe.
Muqaddame meṅ use mujrim ṭhahrāyā jāe. Us kī duāeṅ bhī us ke gunāhoṅ meṅ shumār kī jāeṅ.
Us kī zindagī muḳhtasar ho, koī aur us kī zimmedārī uṭhāe.
Us kī aulād yatīm aur us kī bīwī bewā ban jāe.
10 Us ke bachche āwārā phireṅ aur bhīk māṅgne par majbūr ho jāeṅ. Unheṅ un ke tabāhshudā gharoṅ se nikal kar idhar-udhar roṭī ḍhūṅḍnī paṛe.
11 Jis se us ne qarzā liyā thā wuh us ke tamām māl par qabzā kare, aur ajnabī us kī mehnat kā phal lūṭ leṅ.
12 Koī na ho jo us par mehrbānī kare yā us ke yatīmoṅ par rahm kare.
13 Us kī aulād ko miṭāyā jāe, aglī pusht meṅ un kā nām-o-nishān tak na rahe.
14 Rab us ke bāpdādā kī nāinsāfī kā lihāz kare, aur wuh us kī māṅ kī ḳhatā bhī darguzar na kare.
15 Un kā burā kirdār Rab ke sāmne rahe, aur wuh un kī yād rū-e-zamīn par se miṭā ḍāle.
16 Kyoṅki us ko kabhī mehrbānī karne kā ḳhayāl na āyā balki wuh musībatzadā, muhtāj aur shikastādil kā tāqqub kartā rahā tāki use mār ḍāle.
17 Use lānat karne kā shauq thā, chunāṅche lānat usī par āe! Use barkat denā pasand nahīṅ thā, chunāṅche barkat us se dūr rahe.
18 Us ne lānat chādar kī tarah oṛh lī, chunāṅche lānat pānī kī tarah us ke jism meṅ aur tel kī tarah us kī haḍḍiyoṅ meṅ sirāyat kar jāe.
19 Wuh kapṛe kī tarah us se lipṭī rahe, paṭke kī tarah hameshā us se kamarbastā rahe.
 
20 Rab mere muḳhālifoṅ ko aur unheṅ jo mere ḳhilāf burī bāteṅ karte haiṅ yihī sazā de.
21 Lekin tū ai Rab Qādir-e-mutlaq, apne nām kī ḳhātir mere sāth mehrbānī kā sulūk kar. Mujhe bachā, kyoṅki terī hī shafqat tasallībaḳhsh hai.
22 Kyoṅki maiṅ musībatzadā aur zarūratmand hūṅ. Merā dil mere andar majrūh hai.
23 Shām ke ḍhalte sāye kī tarah maiṅ ḳhatm hone wālā hūṅ. Mujhe ṭiḍḍī kī tarah jhāṛ kar dūr kar diyā gayā hai.
24 Rozā rakhte rakhte mere ghuṭne ḍagmagāne lage aur merā jism sūkh gayā hai.
25 Maiṅ apne dushmanoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hūṅ. Mujhe dekh kar wuh sar hilā kar “Taubā taubā” kahte haiṅ.
26 Ai Rab mere Ḳhudā, merī madad kar! Apnī shafqat kā izhār karke mujhe chhuṛā!
27 Unheṅ patā chale ki yih tere hāth se pesh āyā hai, ki tū Rab hī ne yih sab kuchh kiyā hai.
28 Jab wuh lānat kareṅ to mujhe barkat de! Jab wuh mere ḳhilāf uṭheṅ to baḳhsh de ki sharmindā ho jāeṅ jabki terā ḳhādim ḳhush ho.
29 Mere muḳhālif ruswāī se mulabbas ho jāeṅ, unheṅ sharmindagī kī chādar oṛhnī paṛe.
 
30 Maiṅ zor se Rab kī satāish karūṅga, bahutoṅ ke darmiyān us kī hamd karūṅga.
31 Kyoṅki wuh muhtāj ke dahne hāth khaṛā rahtā hai tāki use un se bachāe jo use mujrim ṭhahrāte haiṅ.