125
Chāroṅ Taraf se Qaum kī Hifāzat
Ziyārat kā gīt.
Jo Rab par bharosā rakhte haiṅ wuh Koh-e-Siyyūn kī mānind haiṅ jo kabhī nahīṅ ḍagmagātā balki abad tak qāym rahtā hai.
Jis tarah Yarūshalam pahāṛoṅ se ghirā rahtā hai usī tarah Rab apnī qaum ko ab se abad tak chāroṅ taraf se mahfūz rakhtā hai.
Kyoṅki bedīnoṅ kī rāstbāzoṅ kī mīrās par hukūmat nahīṅ rahegī, aisā na ho ki rāstbāz badkārī karne kī āzmāish meṅ paṛ jāeṅ.
Ai Rab, un se bhalāī kar jo nek haiṅ, jo dil se sīdhī rāh par chalte haiṅ.
Lekin jo bhaṭak kar apnī ṭeṛhī-meṛhī rāhoṅ par chalte haiṅ unheṅ Rab badkāroṅ ke sāth ḳhārij kar de. Isrāīl kī salāmatī ho!