128
Jis Ḳhāndān ko Allāh Barkat Detā Hai
Ziyārat kā gīt.
Mubārak hai wuh jo Rab kā ḳhauf mān kar us kī rāhoṅ par chaltā hai.
Yaqīnan tū apnī mehnat kā phal khāegā. Mubārak ho, kyoṅki tū kāmyāb hogā.
Ghar meṅ terī bīwī angūr kī phaldār bel kī mānind hogī, aur tere beṭe mez ke irdgird baiṭh kar zaitūn kī tāzā shāḳhoṅ * kī mānind hoṅge.
Jo ādmī Rab kā ḳhauf māne use aisī hī barkat milegī.
Rab tujhe Koh-e-Siyyūn se barkat de. Wuh kare ki tū jīte-jī Yarūshalam kī ḳhushhālī dekhe,
ki tū apne potoṅ-nawāsoṅ ko bhī dekhe. Isrāīl kī salāmatī ho!
* 128:3 Is se murād hai paiwandkārī ke lie daraḳht se kāṭī gaī ṭahniyāṅ.