137
Bābal meṅ Jilāwatanoṅ kī Āh-o-Zārī
Jab Siyyūn kī yād āī to ham Bābal kī nahroṅ ke kināre hī baiṭh kar ro paṛe.
Ham ne wahāṅ ke safedā ke daraḳhtoṅ se apne sarod laṭkā die,
kyoṅki jinhoṅ ne hameṅ giriftār kiyā thā unhoṅ ne hameṅ wahāṅ gīt gāne ko kahā, aur jo hamārā mazāq uṛāte haiṅ unhoṅ ne ḳhushī kā mutālabā kiyā, “Hameṅ Siyyūn kā koī gīt sunāo!”
Lekin ham ajnabī mulk meṅ kis tarah Rab kā gīt gāeṅ?
Ai Yarūshalam, agar maiṅ tujhe bhūl jāūṅ to merā dahnā hāth sūkh jāe.
Agar maiṅ tujhe yād na karūṅ aur Yarūshalam ko apnī azīmtarīn ḳhushī se zyādā qīmtī na samjhūṅ to merī zabān tālū se chipak jāe.
 
Ai Rab, wuh kuchh yād kar jo Adomiyoṅ ne us din kiyā jab Yarūshalam dushman ke qabze meṅ āyā. Us waqt wuh bole, “Use ḍhā do! Bunyādoṅ tak use girā do!”
Ai Bābal Beṭī jo tabāh karne par tulī huī hai, mubārak hai wuh jo tujhe us kā badlā de jo tū ne hamāre sāth kiyā hai.
Mubārak hai wuh jo tere bachchoṅ ko pakaṛ kar patthar par paṭaḳh de.