16
Etamād kī Duā
Dāūd kā ek sunahrā zabūr.
Ai Allāh, mujhe mahfūz rakh, kyoṅki tujh meṅ maiṅ panāh letā hūṅ.
Maiṅ ne Rab se kahā, “Tū merā āqā hai, tū hī merī ḳhushhālī kā wāhid sarchashmā hai.”
Mulk meṅ jo muqaddasīn haiṅ wuhī mere sūrme haiṅ, unhīṅ ko maiṅ pasand kartā hūṅ.
Lekin jo dīgar mābūdoṅ ke pīchhe bhāge rahte haiṅ un kī taklīf baṛhtī jāegī. Na maiṅ un kī ḳhūn kī qurbāniyoṅ ko pesh karūṅga, na un ke nāmoṅ kā zikr tak karūṅga.
 
Ai Rab, tū merī mīrās aur merā hissā hai. Merā nasīb tere hāth meṅ hai.
Jab qurā ḍālā gayā to mujhe ḳhushgawār zamīn mil gaī. Yaqīnan merī mīrās mujhe bahut pasand hai.
Maiṅ Rab kī satāish karūṅga jis ne mujhe mashwarā diyā hai. Rāt ko bhī merā dil merī hidāyat kartā hai.
Rab har waqt merī āṅkhoṅ ke sāmne rahtā hai. Wuh mere dahne hāth rahtā hai, is lie maiṅ nahīṅ ḍagmagāūṅgā.
Is lie merā dil shādmān hai, merī jān ḳhushī ke nāre lagātī hai. Hāṅ, merā badan pursukūn zindagī guzāregā.
10 Kyoṅki tū merī jān ko Pātāl meṅ nahīṅ chhoṛegā, aur na apne muqaddas ko galne-saṛne kī naubat tak pahuṅchne degā.
11 Tū mujhe zindagī kī rāh se āgāh kartā hai. Tere huzūr se bharpūr ḳhushiyāṅ, tere dahne hāth se abadī masarrateṅ hāsil hotī haiṅ.