2
Allāh kā Masīh
1 Aqwām kyoṅ taish meṅ ā gaī haiṅ? Ummateṅ kyoṅ bekār sāzisheṅ kar rahī haiṅ?
2 Duniyā ke bādshāh uṭh khaṛe hue, hukmrān Rab aur us ke Masīh ke ḳhilāf jamā ho gae haiṅ.
3 Wuh kahte haiṅ, “Āo, ham un kī zanjīroṅ ko toṛ kar āzād ho jāeṅ, un ke rassoṅ ko dūr tak phaiṅk deṅ.”
4 Lekin jo āsmān par taḳhtnashīn hai wuh haṅstā hai, Rab un kā mazāq uṛātā hai.
5 Phir wuh ġhusse se unheṅ ḍānṭtā, apnā shadīd ġhazab un par nāzil karke unheṅ ḍarātā hai.
6 Wuh farmātā hai, “Maiṅ ne ḳhud apne Bādshāh ko apne muqaddas pahāṛ Siyyūn par muqarrar kiyā hai!”
7 Āo, maiṅ Rab kā farmān sunāūṅ. Us ne mujh se kahā, “Tū merā Beṭā hai, āj maiṅ terā Bāp ban gayā hūṅ.
8 Mujh se māṅg to maiṅ tujhe mīrās meṅ tamām aqwām atā karūṅga, duniyā kī intahā tak sab kuchh baḳhsh dūṅgā.
9 Tū unheṅ lohe ke shāhī asā se pāsh pāsh karegā, unheṅ miṭṭī ke bartanoṅ kī tarah chaknāchūr karegā.”
10 Chunāṅche ai bādshāho, samajh se kām lo! Ai duniyā ke hukmrāno, tarbiyat qabūl karo!
11 Ḳhauf karte hue Rab kī ḳhidmat karo, larazte hue ḳhushī manāo.
12 Beṭe ko bosā do, aisā na ho ki wuh ġhusse ho jāe aur tum rāste meṅ hī halāk ho jāo. Kyoṅki wuh ek dam taish meṅ ā jātā hai. Mubārak haiṅ wuh sab jo us meṅ panāh lete haiṅ.