24
Bādshāh kā Istiqbāl
Dāūd kā zabūr.
Zamīn aur jo kuchh us par hai Rab kā hai, duniyā aur us ke bāshinde usī ke haiṅ. Kyoṅki us ne zamīn kī buniyād samundaroṅ par rakhī aur use dariyāoṅ par qāym kiyā.
 
Kis ko Rab ke pahāṛ par chaṛhnī kī ijāzat hai? Kaun us ke muqaddas maqām meṅ khaṛā ho saktā hai?
Wuh jis ke hāth pāk aur dil sāf haiṅ, jo na fareb kā irādā rakhtā, na qasam khā kar jhūṭ boltā hai.
Wuh Rab se barkat pāegā, use apnī najāt ke Ḳhudā se rāstī milegī.
Yih hogā un logoṅ kā hāl jo Allāh kī marzī dariyāft karte, jo tere chehre ke tālib hote haiṅ, ai Yāqūb ke Ḳhudā. (Silāh)
 
Ai phāṭako, khul jāo! Ai qadīm darwāzo, pūre taur par khul jāo tāki jalāl kā Bādshāh dāḳhil ho jāe.
Jalāl kā Bādshāh kaun hai? Rab jo qawī aur qādir hai, Rab jo jang meṅ zorāwar hai.
Ai phāṭako, khul jāo! Ai qadīm darwāzo, pūre taur par khul jāo tāki jalāl kā Bādshāh dāḳhil ho jāe.
10 Jalāl kā Bādshāh kaun hai? Rabbul-afwāj, wuhī jalāl kā Bādshāh hai. (Silāh)