29
Rab ke Jalāl kī Tamjīd
1 Dāūd kā zabūr.
Ai Allāh ke farzando, Rab kī tamjīd karo! Rab ke jalāl aur qudrat kī satāish karo!
2 Rab ke nām ko jalāl do. Muqaddas libās se ārāstā ho kar Rab ko sijdā karo.
3 Rab kī āwāz samundar ke ūpar gūṅjtī hai. Jalāl kā Ḳhudā garajtā hai, Rab gahre pānī ke ūpar garajtā hai.
4 Rab kī āwāz zordār hai, Rab kī āwāz purjalāl hai.
5 Rab kī āwāz deodār ke daraḳhtoṅ ko toṛ ḍāltī hai, Rab Lubnān ke deodār ke daraḳhtoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar detā hai.
6 Wuh Lubnān ko bachhṛe aur Koh-e-Siryūn ko janglī bail ke bachche kī tarah kūdne phāṅdne detā hai.
7 Rab kī āwāz āg ke shole bhaṛkā detī hai.
8 Rab kī āwāz registān ko hilā detī hai, Rab Dasht-e-Qādis ko kāṅpne detā hai.
9 Rab kī āwāz sun kar hirnī dard-e-zah meṅ mubtalā ho jātī aur jangloṅ ke patte jhaṛ jāte haiṅ. Lekin us kī sukūnatgāh meṅ sab pukārte haiṅ, “Jalāl!”
10 Rab sailāb ke ūpar taḳhtnashīn hai, Rab bādshāh kī haisiyat se abad tak taḳhtnashīn hai.
11 Rab apnī qaum ko taqwiyat degā, Rab apne logoṅ ko salāmatī kī barkat degā.