32
Muāfī kī Barkat (Taubā kā Dūsrā Zabūr)
1 Dāūd kā zabūr. Hikmat kā gīt.
Mubārak hai wuh jis ke jarāym muāf kie gae. Jis ke gunāh ḍhāṅpe gae haiṅ.
2 Mubārak hai wuh jis kā gunāh Rab hisāb meṅ nahīṅ lāegā aur jis kī rūh meṅ fareb nahīṅ hai.
3 Jab maiṅ chup rahā to din-bhar āheṅ bharne se merī haḍḍiyāṅ galne lagīṅ.
4 Kyoṅki din rāt maiṅ tere hāth ke bojh tale pistā rahā, merī tāqat goyā mausam-e-garmā kī jhulastī tapish meṅ jātī rahī. (Silāh)
5 Tab maiṅ ne tere sāmne apnā gunāh taslīm kiyā, maiṅ apnā gunāh chhupāne se bāz āyā. Maiṅ bolā, “Maiṅ Rab ke sāmne apne jarāym kā iqrār karūṅga.” Tab tū ne mere gunāh ko muāf kar diyā. (Silāh)
6 Is lie tamām īmāndār us waqt tujh se duā kareṅ jab tū mil saktā hai. Yaqīnan jab baṛā sailāb āe to un tak nahīṅ pahuṅchegā.
7 Tū merī chhupne kī jagah hai, tū mujhe pareshānī se mahfūz rakhtā, mujhe najāt ke naġhmoṅ se gher letā hai. (Silāh)
8 “Maiṅ tujhe tālīm dūṅgā, tujhe wuh rāh dikhāūṅgā jis par tujhe jānā hai. Maiṅ tujhe mashwarā de kar terī dekh-bhāl karūṅga.
9 Nāsamajh ghoṛe yā ḳhachchar kī mānind na ho, jin par qābū pāne ke lie lagām aur dahāne kī zarūrat hai, warnā wuh tere pās nahīṅ āeṅge.”
10 Bedīn kī muta'addid pareshāniyāṅ hotī haiṅ, lekin jo Rab par bharosā rakhe use wuh apnī shafqat se ghere rakhtā hai.
11 Ai rāstbāzo, Rab kī ḳhushī meṅ jashn manāo! Ai tamām diyānatdāro, shādmānī ke nāre lagāo!