63
Allāh ke lie Ārzū
Dāūd kā zabūr. Yih us waqt se mutālliq hai jab wuh Yahūdāh ke registān meṅ thā.
Ai Allāh, tū merā Ḳhudā hai jise maiṅ ḍhūṅḍtā hūṅ. Merī jān terī pyāsī hai, merā pūrā jism tere lie tarastā hai. Maiṅ us ḳhushk aur niḍhāl mulk kī mānind hūṅ jis meṅ pānī nahīṅ hai.
Chunāṅche maiṅ maqdis meṅ tujhe deḳhne ke intazār meṅ rahā tāki terī qudrat aur jalāl kā mushāhadā karūṅ.
Kyoṅki terī shafqat zindagī se kahīṅ behtar hai, mere hoṅṭ terī madahsarāī kareṅge.
Chunāṅche maiṅ jīte-jī terī satāish karūṅga, terā nām le kar apne hāth uṭhāūṅgā.
Merī jān umdā ġhizā se ser ho jāegī, merā muṅh ḳhushī ke nāre lagā kar terī hamd-o-sanā karegā.
Bistar par maiṅ tujhe yād kartā, pūrī rāt ke daurān tere bāre meṅ sochtā rahtā hūṅ.
Kyoṅki tū merī madad karne āyā, aur maiṅ tere paroṅ ke sāye meṅ ḳhushī ke nāre lagātā hūṅ.
Merī jān tere sāth lipṭī rahtī, aur terā dahnā hāth mujhe saṅbhāltā hai.
 
Lekin jo merī jān lene par tule hue haiṅ wuh tabāh ho jāeṅge, wuh zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ utar jāeṅge.
10 Unheṅ talwār ke hawāle kiyā jāegā, aur wuh gīdaṛoṅ kī ḳhurāk ban jāeṅge.
 
11 Lekin bādshāh Allāh kī ḳhushī manāegā. Jo bhī Allāh kī qasam khātā hai wuh faḳhr karegā, kyoṅki jhūṭ bolne wāloṅ ke muṅh band ho jāeṅge.