70
Dushman se Najāt kī Duā
Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yāddāsht ke lie.
Ai Allāh, jaldī se ā kar mujhe bachā! Ai Rab, merī madad karne meṅ jaldī kar!
Mere jānī dushman sharmindā ho jāeṅ, un kī saḳht ruswāī ho jāe. Jo merī musībat deḳhne se lutf uṭhāte haiṅ wuh pīchhe haṭ jāeṅ, un kā muṅh kālā ho jāe.
Jo merī musībat dekh kar qahqahā lagāte haiṅ wuh sharm ke māre pusht dikhāeṅ.
Lekin tere tālib shādmān ho kar terī ḳhushī manāeṅ. Jinheṅ terī najāt pyārī hai wuh hameshā kaheṅ, “Allāh azīm hai!”
Lekin maiṅ nāchār aur muhtāj hūṅ. Ai Allāh, jaldī se mere pās ā! Tū hī merā sahārā aur merā najātdahindā hai. Ai Rab, der na kar!