Chauthī Kitāb 90-106
90
Fānī Insān Allāh meṅ Panāh Le
Mard-e-Ḳhudā Mūsā kī duā.
Ai Rab, pusht-dar-pusht tū hamārī panāhgāh rahā hai.
Is se pahle ki pahāṛ paidā hue aur tū zamīn aur duniyā ko wujūd meṅ lāyā tū hī thā. Ai Allāh, tū azal se abad tak hai.
Tū insān ko dubārā ḳhāk hone detā hai. Tū farmātā hai, ‘Ai ādamzādo, dubārā ḳhāk meṅ mil jāo!’
Kyoṅki terī nazar meṅ hazār sāl kal ke guzare hue din ke barābar yā rāt ke ek pahar kī mānind haiṅ.
Tū logoṅ ko sailāb kī tarah bahā le jātā hai, wuh nīnd aur us ghās kī mānind haiṅ jo subah ko phūṭ nikaltī hai.
Wuh subah ko phūṭ nikaltī aur ugtī hai, lekin shām ko murjhā kar sūkh jātī hai.
 
Kyoṅki ham tere ġhazab se fanā ho jāte aur tere qahr se hawāsbāḳhtā ho jāte haiṅ.
Tū ne hamārī ḳhatāoṅ ko apne sāmne rakhā, hamāre poshīdā gunāhoṅ ko apne chehre ke nūr meṅ lāyā hai.
Chunāṅche hamāre tamām din tere qahr ke taht ghaṭte ghaṭte ḳhatm ho jāte haiṅ. Jab ham apne sāloṅ ke iḳhtitām par pahuṅchte haiṅ to zindagī sard āh ke barābar hī hotī hai.
10 Hamārī umr 70 sāl yā agar zyādā tāqat ho to 80 sāl tak pahuṅchtī hai, aur jo din faḳhr kā bāis the wuh bhī taklīfdeh aur bekār haiṅ. Jald hī wuh guzar jāte haiṅ, aur ham parindoṅ kī tarah uṛ kar chale jāte haiṅ.
11 Kaun tere ġhazab kī pūrī shiddat jāntā hai? Kaun samajhtā hai ki terā qahr hamārī ḳhudātarsī kī kamī ke mutābiq hī hai?
12 Chunāṅche hameṅ hamāre dinoṅ kā sahīh hisāb karnā sikhā tāki hamāre dil dānishmand ho jāeṅ.
 
13 Ai Rab, dubārā hamārī taraf rujū farmā! Tū kab tak dūr rahegā? Apne ḳhādimoṅ par tars khā!
14 Subah ko hameṅ apnī shafqat se ser kar! Tab ham zindagī-bhar bāġh bāġh hoṅge aur ḳhushī manāeṅge.
15 Hameṅ utne hī din ḳhushī dilā jitne tū ne hameṅ past kiyā hai, utne hī sāl jitne hameṅ dukh sahnā paṛā hai.
16 Apne ḳhādimoṅ par apne kām aur un kī aulād par apnī azmat zāhir kar.
17 Rab hamārā Ḳhudā hameṅ apnī mehrbānī dikhāe. Hamāre hāthoṅ kā kām mazbūt kar, hāṅ hamāre hāthoṅ kā kām mazbūt kar!