24
Ḳhidmat ke lie Imāmoṅ ke Guroh
Hārūn kī aulād ko bhī muḳhtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā gayā. Hārūn ke chār beṭe Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar the. Nadab aur Abīhū apne bāp se pahle mar gae. Aur un ke beṭe nahīṅ the. Iliyazar aur Itamar imām ban gae. Dāūd ne imāmoṅ ko ḳhidmat ke muḳhtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. Sadoq aur Aḳhīmalik ne is meṅ Dāūd kī madad kī. (Sadoq Iliyazar kī aulād meṅ se aur Aḳhīmalik Itamar kī aulād meṅ se thā.) Iliyazar kī aulād ko 16 gurohoṅ meṅ aur Itamar kī aulād ko 8 gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā gayā, kyoṅki Iliyazar kī aulād ke itne hī zyādā ḳhāndānī sarparast the. Tamām zimmedāriyāṅ qurā ḍāl kar in muḳhtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kī gaīṅ, kyoṅki Iliyazar aur Itamar donoṅ ḳhāndānoṅ ke bahut sāre aise afsar the jo pahle se maqdis meṅ Rab kī ḳhidmat karte the.
Yih zimmedāriyāṅ taqsīm karne ke lie Iliyazar aur Itamar kī aulād bārī bārī qurā ḍālte rahe. Qurā ḍālte waqt bādshāh, Isrāīl ke buzurg, Sadoq Imām, Aḳhīmalik bin Abiyātar aur imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke ḳhāndānī sarparast hāzir the. Mīrmunshī Samāyāh bin Nataniyel ne jo ḳhud Lāwī thā ḳhidmat ke in gurohoṅ kī fahrist zail kī tartīb se likh lī jis tarah wuh qurā ḍālne se muqarrar kie gae.
1. Yahūyarīb,
2. Yadāyāh,
3. Hārim,
4. Saūrīm,
5. Malkiyāh,
6. Miyāmīn,
10 7. Haqqūz,
8. Abiyāh,
11 9. Yashua,
10. Sakaniyāh,
12 11. Iliyāsib,
12. Yaqīm,
13 13. Ḳhuffāh,
14. Yasbiyāb,
14 15. Biljā,
16. Immer,
15 17. Ḳhazīr,
18. Fizzīz,
16 19. Fatahiyāh,
20. Yahizqel,
17 21. Yakīn,
22. Jamūl,
18 23. Dilāyāh,
24. Māziyāh.
19 Imāmoṅ ko isī tartīb ke mutābiq Rab ke ghar meṅ ā kar apnī ḳhidmat saranjām denī thī, un hidāyāt ke mutābiq jo Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne unheṅ un ke bāp Hārūn kī mārifat dī thīṅ.
Ḳhidmat ke lie Lāwiyoṅ ke Mazīd Guroh
20 Zail ke Lāwiyoṅ ke mazīd ḳhāndānī sarparast haiṅ:
Amrām kī aulād meṅ se Sūbāel,
Sūbāel kī aulād meṅ se Yahadiyāh
21 Rahabiyāh kī aulād meṅ se Yissiyāh sarparast thā,
22 Izhār kī aulād meṅ se Salūmīt,
Salūmīt kī aulād meṅ se Yahat,
23 Habrūn kī aulād meṅ se baṛe se le kar chhoṭe tak Yariyāh, Amariyāh, Yahziyel aur Yaqamiyām,
24 Uzziyel kī aulād meṅ se Mīkāh,
Mīkāh kī aulād meṅ se Samīr,
25 Mīkāh kā bhāī Yissiyāh,
Yissiyāh kī aulād meṅ se Zakariyāh,
26 Mirārī kī aulād meṅ se Mahlī aur Mūshī,
us ke beṭe Yāziyāh kī aulād,
27 Mirārī ke beṭe Yāziyāh kī aulād meṅ se Sūham, Zakkūr aur Ibrī,
28-29 Mahlī kī aulād meṅ se Iliyazar aur Qīs. Iliyazar beaulād thā jabki Qīs ke hāṅ Yarahmiyel paidā huā.
30 Mūshī kī aulād meṅ se Mahlī, Idar aur Yarīmot bhī Lāwiyoṅ ke in mazīd ḳhāndānī sarparastoṅ meṅ shāmil the.
31 Imāmoṅ kī tarah un kī zimmedāriyāṅ bhī qurā-andāzī se muqarrar kī gaīṅ. Is silsile meṅ sab se chhoṭe bhāī ke ḳhāndān ke sāth aur sab se baṛe bhāī ke ḳhāndān ke sāth sulūk barābar thā. Is kār-rawāī ke lie bhī Dāūd Bādshāh, Sadoq, Aḳhīmalik aur imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke ḳhāndānī sarparast hāzir the.