6
Imām-e-Āzam kī Nasl (Lāwī kā Qabīlā)
Lāwī ke beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. Qihāt ke beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the.
Amrām ke beṭe Hārūn aur Mūsā the. Beṭī kā nām Mariyam thā. Hārūn ke beṭe Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar the.
Iliyazar ke hāṅ Fīnhās paidā huā, Fīnhās ke Abīsua, Abīsua ke Buqqī, Buqqī ke Uzzī, Uzzī ke Zaraḳhiyāh, Zaraḳhiyāh ke Mirāyot, Mirāyot ke Amariyāh, Amariyāh ke Aḳhītūb, Aḳhītūb ke Sadoq, Sadoq ke Aḳhīmāz, Aḳhīmāz ke Azariyāh, Azariyāh ke Yūhanān 10 aur Yūhanān ke Azariyāh. Yihī Azariyāh Rab ke us ghar kā pahlā imām-e-āzam thā jo Sulemān ne Yarūshalam meṅ banwāyā thā. 11 Us ke hāṅ Amariyāh paidā huā, Amariyāh ke Aḳhītūb, 12 Aḳhītūb ke Sadoq, Sadoq ke Sallūm, 13 Sallūm ke Ḳhilqiyāh, Ḳhilqiyāh ke Azariyāh, 14 Azariyāh ke Sirāyāh aur Sirāyāh ke Yahūsadaq. 15 Jab Rab ne Nabūkadnazzar ke hāth se Yarūshalam aur pūre Yahūdāh ke bāshindoṅ ko jilāwatan kar diyā to Yahūsadaq bhī un meṅ shāmil thā.
Lāwī kī Aulād
16 Lāwī ke tīn beṭe Jairsom, Qihāt aur Mirārī the. 17 Jairsom ke do beṭe Libnī aur Simaī the. 18 Qihāt ke chār beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the. 19 Mirārī ke do beṭe Mahlī aur Mūshī the.
Zail meṅ Lāwī ke ḳhāndānoṅ kī fahrist un ke bāniyoṅ ke mutābiq darj hai.
20 Jairsom ke hāṅ Libnī paidā huā, Libnī ke Yahat, Yahat ke Zimmā, 21 Zimmā ke Yuāḳh, Yuāḳh ke Iddū, Iddū ke Zārah aur Zārah ke Yatrī.
22 Qihāt ke hāṅ Ammīnadāb paidā huā, Ammīnadāb ke Qorah, Qorah ke Assīr, 23 Assīr ke Ilqānā, Ilqānā ke Abiyāsaf, Abiyāsaf ke Assīr, 24 Assīr ke Tahat, Tahat ke Ūriyel, Ūriyel ke Uzziyāh aur Uzziyāh ke Sāūl. 25 Ilqānā ke beṭe Amāsī, Aḳhīmot 26 aur Ilqānā the. Ilqānā ke hāṅ Zūfī paidā huā, Zūfī ke Nahat, 27 Nahat ke Iliyāb, Iliyāb ke Yarohām, Yarohām ke Ilqānā aur Ilqānā ke Samuel. 28 Samuel kā pahlā beṭā Yoel aur dūsrā Abiyāh thā.
29 Mirārī ke hāṅ Mahlī paidā huā, Mahlī ke Libnī, Libnī ke Simaī, Simaī ke Uzzā, 30 Uzzā ke Simā, Simā ke Hajjiyāh aur Hajjiyāh ke Asāyāh.
Lāwī kī Zimmedāriyāṅ
31 Jab ahd kā sandūq Yarūshalam meṅ lāyā gayā tāki āindā wahāṅ rahe to Dāūd Bādshāh ne kuchh Lāwiyoṅ ko Rab ke ghar meṅ gīt gāne kī zimmedārī dī. 32 Is se pahle ki Sulemān ne Rab kā ghar banwāyā yih log apnī ḳhidmat mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne saranjām dete the. Wuh sab kuchh muqarrarā hidāyāt ke mutābiq adā karte the. 33 Zail meṅ un ke nām un ke beṭoṅ ke nāmoṅ samet darj haiṅ.
Qihāt ke ḳhāndān kā Haimān pahlā gulūkār thā. Us kā pūrā nām yih thā: Haimān bin Yoel bin Samuel 34 bin Ilqānā bin Yarohām bin Iliyel bin Tūḳh 35 bin Sūf bin Ilqānā bin Mahat bin Amāsī 36 bin Ilqānā bin Yoel bin Azariyāh bin Safaniyāh 37 bin Tahat bin Assīr bin Abiyāsaf bin Qorah 38 bin Izhār bin Qihāt bin Lāwī bin Isrāīl.
39 Haimān ke dahne hāth Āsaf khaṛā hotā thā. Us kā pūrā nām yih thā: Āsaf bin Barakiyāh bin Simā 40 bin Mīkāel bin Bāsiyāh bin Malkiyāh 41 bin Atnī bin Zārah bin Adāyāh 42 bin Aitān bin Zimmā bin Simaī 43 bin Yahat bin Jairsom bin Lāwī.
44 Haimān ke bāeṅ hāth Aitān khaṛā hotā thā. Wuh Mirārī ke ḳhāndān kā fard thā. Us kā pūrā nām yih thā: Aitān bin Qīsī bin Abdī bin Mallūk 45 bin Hasbiyāh bin Amasiyāh bin Ḳhilqiyāh 46 bin Amsī bin Bānī bin Samar 47 bin Mahlī bin Mūshī bin Mirārī bin Lāwī.
48 Dūsre Lāwiyoṅ ko Allāh kī sukūnatgāh meṅ bāqīmāndā zimmedāriyāṅ dī gaī thīṅ.
49 Lekin sirf Hārūn aur us kī aulād bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh karte aur baḳhūr kī qurbāngāh par baḳhūr jalāte the. Wuhī Muqaddastarīn Kamre meṅ har ḳhidmat saranjām dete the. Isrāīl kā kaffārā denā unhīṅ kī zimmedārī thī. Wuh sab kuchh ain un hidāyāt ke mutābiq adā karte the jo Allāh ke ḳhādim Mūsā ne unheṅ dī thīṅ.
50 Hārūn ke hāṅ Iliyazar paidā huā, Iliyazar ke Fīnhās, Fīnhās ke Abīsua, 51 Abīsua ke Buqqī, Buqqī ke Uzzī, Uzzī ke Zaraḳhiyāh, 52 Zaraḳhiyāh ke Mirāyot, Mirāyot ke Amariyāh, Amariyāh ke Aḳhītūb, 53 Aḳhītūb ke Sadoq, Sadoq ke Aḳhīmāz.
Lāwiyoṅ kī Ābādiyāṅ
54 Zail meṅ wuh ābādiyāṅ aur charāgāheṅ darj haiṅ jo Lāwiyoṅ ko qurā ḍāl kar dī gaīṅ.
Qurā ḍālte waqt pahle Hārūn ke beṭe Qihāt kī aulād ko jagheṅ mil gaīṅ. 55 Use Yahūdāh ke qabīle se Habrūn Shahr us kī charāgāhoṅ samet mil gayā. 56 Lekin gird-o-nawāh ke khet aur dehāt Kālib bin Yafunnā ko die gae. 57 Habrūn un shahroṅ meṅ shāmil thā jin meṅ har wuh panāh le saktā thā jis ke hāthoṅ ġhairirādī taur par koī halāk huā ho. Habrūn ke alāwā Hārūn kī aulād ko zail ke maqām un kī charāgāhoṅ samet die gae: Libnā, Yattīr, Istimua, 58 Haulūn, Dabīr, 59 Asan, aur Bait-shams. 60 Binyamīn ke qabīle se unheṅ Jibaūn, Jibā, Alamat aur Anatot un kī charāgāhoṅ samet die gae. Is tarah Hārūn ke ḳhāndān ko 13 shahr mil gae.
61 Qihāt ke bāqī ḳhāndānoṅ ko Manassī ke maġhribī hisse ke das shahr mil gae.
62 Jairsom kī aulād ko Ishkār, Āshar, Naftālī aur Manassī ke qabīloṅ ke 13 shahr die gae. Yih Manassī kā wuh ilāqā thā jo Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Mulk-e-Basan meṅ thā.
63 Mirārī kī aulād ko Rūbin, Jad aur Zabūlūn ke qabīloṅ ke 12 shahr mil gae.
64-65 Yoṅ Isrāīliyoṅ ne qurā ḍāl kar Lāwiyoṅ ko mazkūrā shahr de die. Sab Yahūdāh, Shamāūn aur Binyamīn ke qabāylī ilāqoṅ meṅ the.
66 Qihāt ke chand ek ḳhāndānoṅ ko Ifrāīm ke qabīle se shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae. 67 In meṅ Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe kā shahr Sikam shāmil thā jis meṅ har wuh panāh le saktā thā jis se koī ġhairirādī taur par halāk huā hotā thā, phir Jazar, 68 Yuqmiyām, Bait-haurūn, 69 Aiyālon aur Jāt-rimmon. 70 Qihāt ke bāqī kunboṅ ko Manassī ke maġhribī hisse ke do shahr Āner aur Bilām un kī charāgāhoṅ samet mil gae.
71 Jairsom kī aulād ko zail ke shahr bhī un kī charāgāhoṅ samet mil gae: Manassī ke mashriqī hisse se Jaulān jo Basan meṅ hai aur Astārāt. 72 Ishkār ke qabīle se Qādis, Dābarat, 73 Rāmāt aur Ānīm. 74 Āshar ke qabīle se Misāl, Abdon, 75 Huqūq aur Rahob. 76 Aur Naftālī ke qabīle se Galīl kā Qādis, Hammūn aur Qiriyatāym.
77 Mirārī ke bāqī ḳhāndānoṅ ko zail ke shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae: Zabūlūn ke qabīle se Rimmon aur Tabūr. 78-79 Rūbin ke qabīle se registān kā Basar, Yahaz, Qadīmāt aur Mifāt. (Yih shahr Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Yarīhū ke muqābil wāqe haiṅ.) 80 Jad ke qabīle se Jiliyād kā Rāmāt, Mahanāym, 81 Hasbon aur Yāzer.