15
Āsā Rab se Ahd kī Tajdīd Kartā Hai
1 Allāh kā Rūh Azariyāh bin Odīd par nāzil huā,
2 aur wuh Āsā se milne ke lie niklā aur kahā, “Ai Āsā aur Yahūdāh aur Binyamīn ke tamām bāshindo, merī bāt suno! Rab tumhāre sāth hai agar tum usī ke sāth raho. Agar tum us ke tālib raho to use pā loge. Lekin jab bhī tum use tark karo to wuh tumhīṅ ko tark karegā.
3 Lambe arse tak Isrāīlī haqīqī Ḳhudā ke baġhair zindagī guzārte rahe. Na koī imām thā jo unheṅ Allāh kī rāh sikhātā, na sharīat.
4 Lekin jab kabhī wuh musībat meṅ phaṅs jāte to dubārā Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke pās lauṭ āte. Wuh use talāsh karte aur natīje meṅ use pā lete.
5 Us zamāne meṅ safr karnā ḳhatarnāk hotā thā, kyoṅki amn-o-amān kahīṅ nahīṅ thā.
6 Ek qaum dūsrī qaum ke sāth aur ek shahr dūsre ke sāth laṛtā rahtā thā. Is ke pīchhe Allāh kā hāth thā. Wuhī unheṅ har qism kī musībat meṅ ḍāltā rahā.
7 Lekin jahāṅ tak tumhārā tālluq hai, mazbūt ho aur himmat na hāro. Allāh zarūr tumhārī mehnat kā ajr degā.”
8 Jab Āsā ne Odīd ke beṭe Azariyāh Nabī kī peshgoī sunī to us kā hauslā baṛh gayā, aur us ne apne pūre ilāqe ke ghinaune butoṅ ko dūr kar diyā. Is meṅ Yahūdāh aur Binyamīn ke alāwā Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke wuh shahr shāmil the jin par us ne qabzā kar liyā thā. Sāth sāth us ne us qurbāngāh kī marammat karwāī jo Rab ke ghar ke darwāze ke sāmne thī.
9 Phir us ne Yahūdāh aur Binyamīn ke tamām logoṅ ko Yarūshalam bulāyā. Un Isrāīliyoṅ ko bhī dāwat milī jo Ifrāīm, Manassī aur Shamāūn ke qabāylī ilāqoṅ se muntaqil ho kar Yahūdāh meṅ ābād hue the. Kyoṅki beshumār log yih dekh kar ki Rab Āsā kā Ḳhudā us ke sāth hai Isrāīl se nikal kar Yahūdāh meṅ jā base the.
10 Āsā Bādshāh kī hukūmat ke 15weṅ sāl aur tīsre mahīne meṅ sab Yarūshalam meṅ jamā hue.
11 Wahāṅ unhoṅ ne lūṭe hue māl meṅ se Rab ko 700 bail aur 7,000 bheṛ-bakriyāṅ qurbān kar dīṅ.
12 Unhoṅ ne ahd bāndhā, ‘Ham pūre dil-o-jān se Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ke tālib raheṅge.
13 Aur jo Rab Isrāīl ke Ḳhudā kā tālib nahīṅ rahegā use sazā-e-maut dī jāegī, ḳhāh wuh chhoṭā ho yā baṛā, mard ho yā aurat.’
14 Buland āwāz se unhoṅ ne qasam khā kar Rab se apnī wafādārī kā elān kiyā. Sāth sāth turam aur narsinge bajte rahe.
15 Yih ahd tamām Yahūdāh ke lie ḳhushī kā bāis thā, kyoṅki unhoṅ ne pūre dil se qasam khā kar use bāndhā thā. Aur chūṅki wuh pūre dil se Ḳhudā ke tālib the is lie wuh use pā bhī sake. Natīje meṅ Rab ne unheṅ chāroṅ taraf amn-o-amān muhaiyā kiyā.
16 Āsā kī māṅ Mākā bādshāh kī māṅ hone ke bāis bahut asar-o-rasūḳh rakhtī thī. Lekin Āsā ne yih ohdā ḳhatm kar diyā jab māṅ ne Yasīrat Dewī kā ghinaunā khambā banwā liyā. Āsā ne yih but kaṭwā kar ṭukṛe ṭukṛe kar diyā aur Wādī-e-Qidron meṅ jalā diyā.
17 Afsos ki us ne Isrāīl kī ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ ko dūr na kiyā. To bhī Āsā apne jīte-jī pūre dil se Rab kā wafādār rahā.
18 Sonā-chāṅdī aur bāqī jitnī chīzeṅ us ke bāp aur us ne Rab ke lie maḳhsūs kī thīṅ un sab ko wuh Rab ke ghar meṅ lāyā.
19 Āsā kī hukūmat ke 35weṅ sāl tak jang dubārā na chhiṛī.