16
Nae Bādshāh Dāūd ko Muqarrar Kiyā Jātā Hai
Ek din Rab Samuel se hamkalām huā, “Tū kab tak Sāūl kā mātam karegā? Maiṅ ne to use radd karke bādshāh kā ohdā us se le liyā hai. Ab menḍhe kā sīṅg zaitūn ke tel se bhar kar Bait-laham chalā jā. Wahāṅ ek ādmī se mil jis kā nām Yassī hai. Kyoṅki maiṅ ne us ke beṭoṅ meṅ se ek ko chun liyā hai ki wuh nayā bādshāh ban jāe.” Lekin Samuel ne etarāz kiyā, “Maiṅ kis tarah jā saktā hūṅ? Sāūl yih sun kar mujhe mār ḍālegā.” Rab ne jawāb diyā, “Ek jawān gāy apne sāth le kar logoṅ ko batā de ki maiṅ ise Rab ke huzūr qurbān karne ke lie āyā hūṅ. Yassī ko dāwat de ki wuh qurbānī kī ziyāfat meṅ sharīk ho jāe. Āge maiṅ tujhe batāūṅgā ki kyā karnā hai. Maiṅ tujhe dikhāūṅgā ki kis beṭe ko mere lie masah karke chun lenā hai.”
Samuel mān gayā. Jab wuh Bait-laham pahuṅch gayā to log chaunk uṭhe. Larazte larazte shahr ke buzurg us se milne āe aur pūchhā, “Ḳhairiyat to hai ki āp hamāre pās ā gae haiṅ?” Samuel ne unheṅ tasallī de kar kahā, “Ḳhairiyat hai. Maiṅ Rab ke huzūr qurbānī pesh karne ke lie āyā hūṅ. Apne āp ko Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ aur phir mere sāth qurbānī kī ziyāfat meṅ sharīk ho jāeṅ.” Samuel ne Yassī aur us ke beṭoṅ ko bhī dāwat dī aur unheṅ apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas karne ko kahā.
Jab Yassī apne beṭoṅ samet qurbānī kī ziyāfat ke lie āyā to Samuel kī nazar Iliyāb par paṛī. Us ne sochā, “Beshak yih wuh hai jise Rab masah karke bādshāh banānā chāhtā hai.” Lekin Rab ne farmāyā, “Is kī shakl-o-sūrat aur lambe qad se muta'assir na ho, kyoṅki yih mujhe nāmanzūr hai. Maiṅ insān kī nazar se nahīṅ deḳhtā. Kyoṅki insān zāhirī sūrat par ġhaur karke faislā kartā hai jabki Rab ko har ek kā dil sāf sāf nazar ātā hai.”
Phir Yassī ne apne dūsre beṭe Abīnadāb ko bulā kar Samuel ke sāmne se guzarne diyā. Samuel bolā, “Nahīṅ, Rab ne ise bhī nahīṅ chunā.” Is ke bād Yassī ne tīsre beṭe Sammā ko pesh kiyā. Lekin yih bhī nahīṅ chunā gayā thā. 10 Yoṅ Yassī ne apne sāt beṭoṅ ko ek ek karke Samuel ke sāmne se guzarne diyā. In meṅ se koī Rab kā chunā huā bādshāh na niklā. 11 Āḳhirkār Samuel ne pūchhā, “In ke alāwā koī aur beṭā to nahīṅ hai?” Yassī ne jawāb diyā, “Sab se chhoṭā beṭā abhī bāqī rah gayā hai, lekin wuh bāhar khetoṅ meṅ bheṛ-bakriyoṅ kī nigarānī kar rahā hai.” Samuel ne kahā, “Use fauran bulā leṅ. Us ke āne tak ham khāne ke lie nahīṅ baiṭheṅge.”
12 Chunāṅche Yassī chhoṭe ko bulā kar andar le āyā. Yih beṭā gorā thā. Us kī āṅkheṅ ḳhūbsūrat aur shakl-o-sūrat qābil-e-tārīf thī. Rab ne Samuel ko batāyā, “Yihī hai. Uṭh kar ise masah kar.” 13 Samuel ne tel se bharā huā menḍhe kā sīṅg le kar use Dāūd ke sar par unḍel diyā. Sab bhāī maujūd the. Usī waqt Rab kā Rūh Dāūd par nāzil huā aur us kī sārī umr us par ṭhahrā rahā. Phir Samuel Rāmā wāpas chalā gayā.
Dāūd Sāūl ko Badrūh se Ārām Dilātā Hai
14 Lekin Rab ke Rūh ne Sāūl ko chhoṛ diyā thā. Is ke bajāe Rab kī taraf se ek burī rūh use dahshatzadā karne lagī. 15 Ek din Sāūl ke mulāzimoṅ ne us se kahā, “Allāh kī taraf se ek burī rūh āp ke dil meṅ dahshat paidā kar rahī hai. 16 Hamārā āqā apne ḳhādimoṅ ko hukm de ki wuh kisī ko ḍhūnḍ lāeṅ jo sarod bajā sake. Jab bhī Allāh kī taraf se yih burī rūh āp par āe to wuh apnā sāz bajā kar āp ko sukūn dilāegā.”
17 Sāūl ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, aisā hī karo. Kisī ko bulā lāo jo sāz bajāne meṅ māhir ho.” 18 Ek mulāzim bolā, “Maiṅ ne ek ādmī ko dekhā hai jo ḳhūb bajā saktā hai. Wuh Bait-laham ke rahne wāle Yassī kā beṭā hai. Wuh na sirf mahārat se sarod bajā saktā hai balki baṛā jangjū bhī hai. Yih bhī us kī ek ḳhūbī hai ki wuh har mauqe par samajhdārī se bāt kar saktā hai. Aur wuh ḳhūbsūrat bhī hai. Rab us ke sāth hai.”
19 Sāūl ne fauran apne qāsidoṅ ko Yassī ke pās bhej kar use ittalā dī, “Apne beṭe Dāūd ko jo bheṛ-bakriyoṅ ko saṅbhāltā hai mere pās bhej denā.” 20 Yih sun kar Yassī ne roṭī, mai kā mashkīzā aur ek jawān bakrī gadhe par lād kar Dāūd ke hawāle kar dī aur use Sāūl ke darbār meṅ bhej diyā.
21 Is tarah Dāūd Sāūl kī ḳhidmat meṅ hāzir ho gayā. Wuh bādshāh ko bahut pasand āyā balki Sāūl ko itnā pyārā lagā ki use apnā silāhbardār banā liyā. 22 Sāūl ne Yassī ko ittalā bhejī, “Dāūd mujhe bahut pasand āyā hai, is lie use mustaqil taur par merī ḳhidmat karne kī ijāzat deṅ.” 23 Aur jab bhī burī rūh Sāūl par ātī to Dāūd apnā sarod bajāne lagtā. Tab Sāūl ko sukūn miltā aur burī rūh us par se dūr ho jātī.