6
Ahd kā Sandūq Isrāīl Wāpas Lāyā Jātā Hai
Allāh kā sandūq ab sāt mahīne Filistiyoṅ ke pās rahā thā. Āḳhirkār unhoṅ ne apne tamām pujāriyoṅ aur rammāloṅ ko bulā kar un se mashwarā kiyā, “Ab ham Rab ke sandūq kā kyā kareṅ? Hameṅ batāeṅ ki ise kis tarah is ke apne mulk meṅ wāpas bhejeṅ.”
Pujāriyoṅ aur rammāloṅ ne jawāb diyā, “Agar āp use wāpas bhejeṅ to waise mat bhejnā balki qusūr kī qurbānī sāth bhejnā. Tab āp ko shifā milegī, aur āp jān leṅge ki wuh āp ko sazā dene se kyoṅ nahīṅ bāz āyā.”
Filistiyoṅ ne pūchhā, “Ham use kis qism kī qusūr kī qurbānī bhejeṅ?”
Unhoṅ ne jawāb diyā, “Filistiyoṅ ke pāṅch hukmrān haiṅ, is lie sone ke pāṅch phoṛe aur pāṅch chūhe banwāeṅ, kyoṅki āp sab is ek hī wabā kī zad meṅ āe hue haiṅ, ḳhāh hukmrān hoṅ, ḳhāh riāyā. Sone ke yih phoṛe aur mulk ko tabāh karne wāle chūhe banā kar Isrāīl ke dewatā kā ehtirām kareṅ. Shāyad wuh yih dekh kar āp, āp ke dewatāoṅ aur mulk ko sazā dene se bāz āe. Āp kyoṅ purāne zamāne ke Misriyoṅ aur un ke bādshāh kī tarah aṛ jāeṅ? Kyoṅki us waqt Allāh ne Misriyoṅ ko itnī saḳht musībat meṅ ḍāl diyā ki āḳhirkār unheṅ Isrāīliyoṅ ko jāne denā paṛā.
Ab bailgāṛī banā kar us ke āge do gāeṅ joteṅ. Aisī gāeṅ hoṅ jin ke dūdh pīne wāle bachche hoṅ aur jin par ab tak juā na rakhā gayā ho. Gāyoṅ ko bailgāṛī ke āge joteṅ, lekin un ke bachchoṅ ko sāth jāne na deṅ balki unheṅ kahīṅ band rakheṅ. Phir Rab kā sandūq bailgāṛī par rakhā jāe aur us ke sāth ek thailā jis meṅ sone kī wuh chīzeṅ hoṅ jo āp qusūr kī qurbānī ke taur par bhej rahe haiṅ. Is ke bād gāyoṅ ko khulā chhoṛ deṅ. Ġhaur kareṅ ki wuh kaun-sā rāstā iḳhtiyār kareṅgī. Agar Isrāīl ke Bait-shams kī taraf chaleṅ to phir mālūm hogā ki Rab ham par yih baṛī musībat lāyā hai. Lekin agar wuh kahīṅ aur chaleṅ to matlab hogā ki Isrāīl ke dewatā ne hameṅ sazā nahīṅ dī balki sab kuchh ittafāq se huā hai.”
10 Filistiyoṅ ne aisā hī kiyā. Unhoṅ ne do gāeṅ naī bailgāṛī meṅ jot kar un ke chhoṭe bachchoṅ ko kahīṅ band rakhā. 11 Phir unhoṅ ne ahd kā sandūq us thaile samet jis meṅ sone ke chūhe aur phoṛe the bailgāṛī par rakhā.
12 Jab gāyoṅ ko chhoṛ diyā gayā to wuh ḍakrātī ḍakrātī sīdhī Bait-shams ke rāste par ā gaīṅ aur na dāīṅ, na bāīṅ taraf haṭīṅ. Filistiyoṅ ke sardār Bait-shams kī sarhad tak un ke pīchhe chale.
13 Us waqt Bait-shams ke bāshinde nīche wādī meṅ gandum kī fasal kāṭ rahe the. Ahd kā sandūq dekh kar wuh nihāyat ḳhush hue. 14 Bailgāṛī ek khet tak pahuṅchī jis kā mālik Bait-shams kā rahne wālā Yashua thā. Wahāṅ wuh ek baṛe patthar ke pās ruk gaī. Logoṅ ne bailgāṛī kī lakaṛī ṭukṛe ṭukṛe karke use jalā diyā aur gāyoṅ ko zabah karke Rab ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kiyā. 15 Lāwī ke qabīle ke kuchh mardoṅ ne Rab ke sandūq ko bailgāṛī se uṭhā kar sone kī chīzoṅ ke thaile samet patthar par rakh diyā. Us din Bait-shams ke logoṅ ne Rab ko bhasm hone wālī aur zabah kī qurbāniyāṅ pesh kīṅ.
16 Yih sab kuchh deḳhne ke bād Filistī sardār usī din Aqrūn wāpas chale gae. 17 Filistiyoṅ ne apnā qusūr dūr karne ke lie har ek shahr ke lie sone kā ek phoṛā banā liyā thā yānī Ashdūd, Ġhazzā, Askqalūn, Jāt aur Aqrūn ke lie ek ek phoṛā. 18 Is ke alāwā unhoṅ ne har shahr aur us ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ ke lie sone kā ek ek chūhā banā liyā thā. Jis baṛe patthar par ahd kā sandūq rakhā gayā wuh āj tak Yashua Bait-shamsī ke khet meṅ is bāt kī gawāhī detā hai.
Ahd kā Sandūq Qiriyat-yārīm Meṅ
19 Lekin Rab ne Bait-shams ke bāshindoṅ ko sazā dī, kyoṅki un meṅ se bāz ne ahd ke sandūq meṅ nazar ḍālī thī. Us waqt 70 afrād halāk hue. Rab kī yih saḳht sazā dekh kar Bait-shams ke log mātam karne lage. 20 Wuh bole, “Kaun is muqaddas Ḳhudā ke huzūr qāym rah saktā hai? Yih hamāre bas kī bāt nahīṅ, lekin ham Rab kā sandūq kis ke pās bhejeṅ?” 21 Āḳhir meṅ unhoṅ ne Qiriyat-yārīm ke bāshindoṅ ko paiġhām bhejā, “Filistiyoṅ ne Rab kā sandūq wāpas kar diyā hai. Ab āeṅ aur use apne pās le jāeṅ!”