22
Milkiyat kī Hifāzat
1 Jis ne koī bail yā bheṛ chorī karke use zabah kiyā yā bech ḍālā hai use har chorī ke bail ke ewaz pāṅch bail aur har chorī kī bheṛ ke ewaz chār bheṛeṅ wāpas karnā hai.
2 Ho saktā hai ki koī chor naqb lagā rahā ho aur log use pakaṛ kar yahāṅ tak mārte pīṭte raheṅ ki wuh mar jāe. Agar rāt ke waqt aisā huā ho to wuh us ke ḳhūn ke zimmedār nahīṅ ṭhahar sakte.
3 Lekin agar sūraj ke tulū hone ke bād aisā huā ho to jis ne use mārā wuh qātil ṭhahregā.
Chor ko har churāī huī chīz kā ewazānā denā hai. Agar us ke pās dene ke lie kuchh na ho to use ġhulām banā kar bechnā hai. Jo paise use bechne ke ewaz mileṅ wuh churāī huī chīzoṅ ke badle meṅ die jāeṅ.
4 Agar chorī kā jānwar chor ke pās zindā pāyā jāe to use har jānwar ke ewaz do dene paṛeṅge, chāhe wuh bail, bheṛ, bakrī yā gadhā ho.
5 Ho saktā hai ki koī apne maweshī ko apne khet yā angūr ke bāġh meṅ chhoṛ kar charne de aur hote hote wuh kisī dūsre ke khet yā angūr ke bāġh meṅ jā kar charne lage. Aisī sūrat meṅ lāzim hai ki maweshī kā mālik nuqsān ke ewaz apne angūr ke bāġh aur khet kī behtarīn paidāwār meṅ se de.
6 Ho saktā hai ki kisī ne āg jalāī ho aur wuh kāṅṭedār jhāṛiyoṅ ke zariye paṛosī ke khet tak phail kar us ke anāj ke pūloṅ ko, us kī pakī huī fasal ko yā khet kī kisī aur paidāwār ko barbād kar de. Aisī sūrat meṅ jis ne āg jalāī ho use us kī pūrī qīmat adā karnī hai.
7 Ho saktā hai ki kisī ne kuchh paise yā koī aur māl apne kisī wāqifkār ke sapurd kar diyā ho tāki wuh use mahfūz rakhe. Agar yih chīzeṅ us ke ghar se chorī ho jāeṅ aur bād meṅ chor ko pakaṛā jāe to chor ko us kī dugnī qīmat adā karnī paṛegī.
8 Lekin agar chor pakaṛā na jāe to lāzim hai ki us ghar kā mālik jis ke sapurd yih chīzeṅ kī gaī thīṅ Allāh ke huzūr khaṛā ho tāki mālūm kiyā jāe ki us ne ḳhud yih māl chorī kiyā hai yā nahīṅ.
9 Ho saktā hai ki do logoṅ kā āpas meṅ jhagaṛā ho, aur donoṅ kisī chīz ke bāre meṅ dāwā karte hoṅ ki yih merī hai. Agar koī qīmtī chīz ho masalan bail, gadhā, bheṛ, bakrī, kapṛe yā koī khoī huī chīz to muāmalā Allāh ke huzūr lāyā jāe. Jise Allāh qusūrwār qarār de use dūsre ko zer-e-bahs chīz kī dugnī qīmat adā karnī hai.
10 Ho saktā hai ki kisī ne apnā koī gadhā, bail, bheṛ, bakrī yā koī aur jānwar kisī wāqifkār ke sapurd kar diyā tāki wuh use mahfūz rakhe. Wahāṅ jānwar mar jāe yā zaḳhmī ho jāe, yā koī us par qabzā karke use us waqt le jāe jab koī na dekh rahā ho.
11 Yih muāmalā yoṅ hal kiyā jāe ki jis ke sapurd jānwar kiyā gayā thā wuh Rab ke huzūr qasam khā kar kahe ki maiṅ ne apne wāqifkār ke jānwar ke lālach meṅ yih kām nahīṅ kiyā. Jānwar ke mālik ko yih qabūl karnā paṛegā, aur dūsre ko is ke badle kuchh nahīṅ denā hogā.
12 Lekin agar wāqaī jānwar ko chorī kiyā gayā hai to jis ke sapurd jānwar kiyā gayā thā use us kī qīmat adā karnī paṛegī.
13 Agar kisī janglī jānwar ne use phāṛ ḍālā ho to wuh sabūt ke taur par phāṛī huī lāsh ko le āe. Phir use us kī qīmat adā nahīṅ karnī paṛegī.
14 Ho saktā hai ki koī apne wāqifkār se ijāzat le kar us kā jānwar istemāl kare. Agar jānwar ko mālik kī ġhairmaujūdagī meṅ choṭ lage yā wuh mar jāe to us shaḳhs ko jis ke pās jānwar us waqt thā us kā muāwazā denā paṛegā.
15 Lekin agar jānwar kā mālik us waqt sāth thā to dūsre ko muāwazā dene kī zarūrat nahīṅ hogī. Agar us ne jānwar ko kirāe par liyā ho to us kā nuqsān kirāe se pūrā ho jāegā.
Laṛkī ko Warġhalāne kā Jurm
16 Agar kisī kuṅwārī kī mangnī nahīṅ huī aur koī mard use warġhalā kar us se hambistar ho jāe to wuh mahr de kar us se shādī kare.
17 Lekin agar laṛkī kā bāp us kī us mard ke sāth shādī karne se inkār kare, is sūrat meṅ bhī mard ko kuṅwārī ke lie muqarrarā raqam denī paṛegī.
Sazā-e-Maut ke Lāyq Jarāym
18 Jādūgarnī ko jīne na denā.
19 Jo shaḳhs kisī jānwar ke sāth jinsī tālluqāt rakhtā ho use sazā-e-maut dī jāe.
20 Jo na sirf Rab ko qurbāniyāṅ pesh kare balki dīgar mābūdoṅ ko bhī use qaum se nikāl kar halāk kiyā jāe.
Kamzoroṅ kī Hifāzat ke lie Ahkām
21 Jo pardesī tere mulk meṅ mehmān hai use na dabānā aur na us se burā sulūk karnā, kyoṅki tum bhī Misr meṅ pardesī the.
22 Kisī bewā yā yatīm se burā sulūk na karnā.
23 Agar tū aisā kare aur wuh chillā kar mujh se fariyād kareṅ to maiṅ zarūr un kī sunūṅgā.
24 Maiṅ baṛe ġhusse meṅ ā kar tumheṅ talwār se mār ḍālūṅgā. Phir tumhārī bīwiyāṅ ḳhud bewāeṅ aur tumhāre bachche ḳhud yatīm ban jāeṅge.
25 Agar tū ne merī qaum ke kisī ġharīb ko qarz diyā hai to us se sūd na lenā.
26 Agar tujhe kisī se us kī chādar girwī ke taur par milī ho to use sūraj ḍūbne se pahle hī wāpas kar denā hai,
27 kyoṅki isī ko wuh sone ke lie istemāl kartā hai. Warnā wuh kyā chīz oṛh kar soegā? Agar tū chādar wāpas na kare aur wuh shaḳhs chillā kar mujh se fariyād kare to maiṅ us kī sunūṅgā, kyoṅki maiṅ mehrbān hūṅ.
Allāh se Mutālliq Farāyz
28 Allāh ko na kosnā, na apnī qaum ke kisī sardār par lānat karnā.
29 Mujhe waqt par apne khet aur kolhuoṅ kī paidāwār meṅ se nazarāne pesh karnā. Apne pahlauṭhe mujhe denā.
30 Apne bailoṅ, bheṛoṅ aur bakriyoṅ ke pahlauṭhoṅ ko bhī mujhe denā. Jānwar kā pahlauṭhā pahle sāt din apnī māṅ ke sāth rahe. Āṭhweṅ din wuh mujhe diyā jāe.
31 Apne āp ko mere lie maḳhsūs-o-muqaddas rakhnā. Is lie aise jānwar kā gosht mat khānā jise kisī janglī jānwar ne phāṛ ḍālā hai. Aise gosht ko kuttoṅ ko khāne denā.