39
Yūsuf aur Fūtīfār kī Bīwī
1 Ismāīliyoṅ ne Yūsuf ko Misr le jā kar bech diyā thā. Misr ke bādshāh ke ek ālā afsar banām Fūtīfār ne use ḳharīd liyā. Wuh shāhī muhāfizoṅ kā kaptān thā.
2 Rab Yūsuf ke sāth thā. Jo bhī kām wuh kartā us meṅ kāmyāb rahtā. Wuh apne Misrī mālik ke ghar meṅ rahtā thā
3 jis ne dekhā ki Rab Yūsuf ke sāth hai aur use har kām meṅ kāmyābī detā hai.
4 Chunāṅche Yūsuf ko mālik kī ḳhās mehrbānī hāsil huī, aur Fūtīfār ne use apnā zātī naukar banā liyā. Us ne use apne gharāne ke intazām par muqarrar kiyā aur apnī pūrī milkiyat us ke sapurd kar dī.
5 Jis waqt se Fūtīfār ne apne gharāne kā intazām aur pūrī milkiyat Yūsuf ke sapurd kī us waqt se Rab ne Fūtīfār ko Yūsuf ke sabab se barkat dī. Us kī barkat Fūtīfār kī har chīz par thī, ḳhāh ghar meṅ thī yā khet meṅ.
6 Fūtīfār ne apnī har chīz Yūsuf ke hāth meṅ chhoṛ dī. Aur chūṅki Yūsuf sab kuchh achchhī tarah chalātā thā is lie Fūtīfār ko khānā khāne ke siwā kisī bhī muāmale kī fikr nahīṅ thī.
Yūsuf nihāyat ḳhūbsūrat ādmī thā.
7 Kuchh der ke bād us ke mālik kī bīwī kī āṅkh us par lagī. Us ne us se kahā, “Mere sāth hambistar ho!”
8 Yūsuf inkār karke kahne lagā, “Mere mālik ko mere sabab se kisī muāmale kī fikr nahīṅ hai. Unhoṅ ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai.
9 Ghar ke intazām par un kā iḳhtiyār mere iḳhtiyār se zyādā nahīṅ hai. Āp ke siwā unhoṅ ne koī bhī chīz mujh se bāz nahīṅ rakhī. To phir maiṅ kis tarah itnā ġhalat kām karūṅ? Maiṅ kis tarah Allāh kā gunāh karūṅ?”
10 Mālik kī bīwī roz baroz Yūsuf ke pīchhe paṛī rahī ki mere sāth hambistar ho. Lekin wuh hameshā inkār kartā rahā.
11 Ek din wuh kām karne ke lie ghar meṅ gayā. Ghar meṅ aur koī naukar nahīṅ thā.
12 Fūtīfār kī bīwī ne Yūsuf kā libās pakaṛ kar kahā, “Mere sāth hambistar ho!” Yūsuf bhāg kar bāhar chalā gayā lekin us kā libās pīchhe aurat ke hāth meṅ hī rah gayā.
13 Jab mālik kī bīwī ne dekhā ki wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā hai
14 to us ne ghar ke naukaroṅ ko bulā kar kahā, “Yih dekho! Mere mālik is Ibrānī ko hamāre pās le āe haiṅ tāki wuh hameṅ zalīl kare. Wuh merī ismatdarī karne ke lie mere kamre meṅ ā gayā, lekin maiṅ ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī.
15 Jab maiṅ madad ke lie ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.”
16 Us ne mālik ke āne tak Yūsuf kā libās apne pās rakhā.
17 Jab wuh ghar wāpas āyā to us ne use yihī kahānī sunāī, “Yih Ibrānī ġhulām jo āp le āe haiṅ merī tazlīl ke lie mere pās āyā.
18 Lekin jab maiṅ madad ke lie chīḳhne lagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.”
Yūsuf Qaidḳhāne Meṅ
19 Yih sun kar Fūtīfār baṛe ġhusse meṅ ā gayā.
20 Us ne Yūsuf ko giriftār karke us jel meṅ ḍāl diyā jahāṅ bādshāh ke qaidī rakhe jāte the. Wahīṅ wuh rahā.
21 Lekin Rab Yūsuf ke sāth thā. Us ne us par mehrbānī kī aur use qaidḳhāne ke dāroġhe kī nazar meṅ maqbūl kiyā.
22 Yūsuf yahāṅ tak maqbūl huā ki dāroġhe ne tamām qaidiyoṅ ko us ke sapurd karke use pūrā intazām chalāne kī zimmedārī dī.
23 Dāroġhe ko kisī bhī muāmale kī jise us ne Yūsuf ke sapurd kiyā thā fikr na rahī, kyoṅki Rab Yūsuf ke sāth thā aur use har kām meṅ kāmyābī baḳhshī.