38
Yahūdāh aur Tamr
1 Un dinoṅ meṅ Yahūdāh apne bhāiyoṅ ko chhoṛ kar ek ādmī ke pās rahne lagā jis kā nām Hīrā thā aur jo Adullām Shahr se thā.
2 Wahāṅ Yahūdāh kī mulāqāt ek Kanānī aurat se huī jis ke bāp kā nām Sua thā. Us ne us se shādī kī.
3 Beṭā paidā huā jis kā nām Yahūdāh ne Er rakhā.
4 Ek aur beṭā paidā huā jis kā nām bīwī ne Onān rakhā.
5 Us ke tīsrā beṭā bhī paidā huā. Us ne us kā nām Selā rakhā. Yahūdāh qazīb meṅ thā jab wuh paidā huā.
6 Yahūdāh ne apne baṛe beṭe Er kī shādī ek laṛkī se karāī jis kā nām Tamr thā.
7 Rab ke nazdīk Er sharīr thā, is lie us ne use halāk kar diyā.
8 Is par Yahūdāh ne Er ke chhoṭe bhāī Onān se kahā, “Apne baṛe bhāī kī bewā ke pās jāo aur us se shādī karo tāki tumhāre bhāī kī nasl qāym rahe.”
9 Onān ne aisā kiyā, lekin wuh jāntā thā ki jo bhī bachche paidā hoṅge wuh qānūn ke mutābiq mere baṛe bhāī ke hoṅge. Is lie jab bhī wuh Tamr se hambistar hotā to nutfā ko zamīn par girā detā, kyoṅki wuh nahīṅ chāhtā thā ki merī mārifat mere bhāī ke bachche paidā hoṅ.
10 Yih bāt Rab ko burī lagī, aur us ne use bhī sazā-e-maut dī.
11 Tab Yahūdāh ne apnī bahū Tamr se kahā, “Apne bāp ke ghar wāpas chalī jāo aur us waqt tak bewā raho jab tak merā beṭā Selā baṛā na ho jāe.” Us ne yih is lie kahā ki use ḍar thā ki kahīṅ Selā bhī apne bhāiyoṅ kī tarah mar na jāe chunāṅche Tamr apne maike chalī gaī.
12 Kāfī dinoṅ ke bād Yahūdāh kī bīwī jo Sua kī beṭī thī mar gaī. Mātam kā waqt guzar gayā to Yahūdāh apne Adullāmī dost Hīrā ke sāth Timnat gayā jahāṅ Yahūdāh kī bheṛoṅ kī pashm katrī jā rahī thī.
13 Tamr ko batāyā gayā, “Āp kā susar apnī bheṛoṅ kī pashm katarne ke lie Timnat jā rahā hai.”
14 Yih sun kar Tamr ne bewā ke kapṛe utār kar ām kapṛe pahan lie. Phir wuh apnā muṅh chādar se lapeṭ kar Ainīm Shahr ke darwāze par baiṭh gaī jo Timnat ke rāste meṅ thā. Tamr ne yih harkat is lie kī ki Yahūdāh kā beṭā Selā ab bāliġh ho chukā thā to bhī us kī us ke sāth shādī nahīṅ kī gaī thī.
15 Jab Yahūdāh wahāṅ se guzarā to us ne use dekh kar sochā ki yih kasbī hai, kyoṅki us ne apnā muṅh chhupāyā huā thā.
16 Wuh rāste se haṭ kar us ke pās gayā aur kahā, “Zarā mujhe apne hāṅ āne deṅ.” (Us ne nahīṅ pahchānā ki yih merī bahū hai.) Tamr ne kahā, “Āp mujhe kyā deṅge?”
17 Us ne jawāb diyā, “Maiṅ āp ko bakrī kā bachchā bhej dūṅgā.” Tamr ne kahā, “Ṭhīk hai, lekin use bhejne tak mujhe zamānat deṅ.”
18 Us ne pūchhā, “Maiṅ āp ko kyā dūṅ?” Tamr ne kahā, “Apnī muhr aur use gale meṅ laṭkāne kī ḍorī. Wuh lāṭhī bhī deṅ jo āp pakaṛe hue haiṅ.” Chunāṅche Yahūdāh use yih chīzeṅ de kar us ke sāth hambistar huā. Natīje meṅ Tamr ummīd se huī.
19 Phir Tamr uṭh kar apne ghar wāpas chalī gaī. Us ne apnī chādar utār kar dubārā bewā ke kapṛe pahan lie.
20 Yahūdāh ne apne dost Hīrā Adullāmī ke hāth bakrī kā bachchā bhej diyā tāki wuh chīzeṅ wāpas mil jāeṅ jo us ne zamānat ke taur par dī thīṅ. Lekin Hīrā ko patā na chalā ki aurat kahāṅ hai.
21 Us ne Ainīm ke bāshindoṅ se pūchhā, “Wuh kasbī kahāṅ hai jo yahāṅ saṛak par baiṭhī thī?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yahāṅ aisī koī kasbī nahīṅ thī.”
22 Us ne Yahūdāh ke pās wāpas jā kar kahā, “Wuh mujhe nahīṅ milī balki wahāṅ ke rahne wāloṅ ne kahā ki yahāṅ koī aisī kasbī thī nahīṅ.”
23 Yahūdāh ne kahā, “Phir wuh zamānat kī chīzeṅ apne pās hī rakhe. Use chhoṛ do warnā log hamārā mazāq uṛāeṅge. Ham ne to pūrī koshish kī ki use bakrī kā bachchā mil jāe, lekin khoj lagāne ke bāwujūd āp ko patā na chalā ki wuh kahāṅ hai.”
24 Tīn māh ke bād Yahūdāh ko ittalā dī gaī, “Āp kī bahū Tamr ne zinā kiyā hai, aur ab wuh hāmilā hai.” Yahūdāh ne hukm diyā, “Use bāhar lā kar jalā do.”
25 Tamr ko jalāne ke lie bāhar lāyā gayā to us ne apne susar ko ḳhabar bhej dī, “Yih chīzeṅ dekheṅ. Yih us ādmī kī haiṅ jis kī mārifat maiṅ ummīd se hūṅ. Patā kareṅ ki yih muhr, us kī ḍorī aur yih lāṭhī kis kī haiṅ.”
26 Yahūdāh ne unheṅ pahchān liyā. Us ne kahā, “Maiṅ nahīṅ balki yih aurat haq par hai, kyoṅki maiṅ ne us kī apne beṭe Selā se shādī nahīṅ karāī.” Lekin bād meṅ Yahūdāh kabhī bhī Tamr se hambistar na huā.
27 Jab janm dene kā waqt āyā to mālūm huā ki juṛwāṅ bachche haiṅ.
28 Ek bachche kā hāth niklā to dāī ne use pakaṛ kar us meṅ surḳh dhāgā bāndh diyā aur kahā, “Yih pahle paidā huā.”
29 Lekin us ne apnā hāth wāpas khīṅch liyā, aur us kā bhāī pahle paidā huā. Yih dekh kar dāī bol uṭhī, “Tū kis tarah phūṭ niklā hai!” Us ne us kā nām Fāras yānī Phūṭ rakhā.
30 Phir us kā bhāī paidā huā jis ke hāth meṅ surḳh dhāgā bandhā huā thā. Us kā nām Zārah yānī Chamak rakhā gayā.